Baarish hoti hai
un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai
dil sambhaltaa nahi laakh sambhaale us pal
jitnaa roknaa chaahen, machaltaa rehtaa hai
koshish karte hain shaant ho jaaye do pal
magar dil yeh haathon se fisaltaa rehtaa hai
nishabd se ho jaate hain lab unhe dekh kar
dil ki unse khaas kuch sifaarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai
un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai
paagal saa dil meraa poochhtaa hai mujhse
jo gum ho jaaun kahin to dhundoge kaise tum
kabhi unki aankhon mein jo doob jaaun main
to us gegraai se mujhe nikaaloge kaise tum
tadapte rehte hain door khade reh kar unse
baahon mein unhe lene ki guzaarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai
un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai
No comments:
Post a Comment