Meraa koi thikaanaa nahi
kitni hi khwahishein dil ki, dil mein hi dum tod dete hain
aksar hamraahi manzil ke kareeb aake haath chhod dete hain
bhaagte rehte hain apni hi parchhai se pichha chhudaane ko
paaye kaise manzil hawaayein aksar raaste hi mod dete hain
samjhaayaa thaa logon ne dil ko lagaanaa nahi
main naasamajh kisi ki baat kabhi maanaa nahi
yun huwaa hoon gum main gham ke samundar mein
milaa hazaaron se par kisi ne pehchaanaa nahi
daakiyaa thaili mein bhar kar ghumaataa rahaa
main woh khat hoon jis kaa koi thikaanaa nahi
main udtaa rahaa sukhey kisi pattey ki tarhaa
naa le jaaye hawaa to kahin mujhe jaanaa nahi
do pal chain ki saans main loon bhi to kaise
thahar jaaun kahin aisaa koi aashiyaanaa nahi
haste hain dekh haalat raah se guzarne waale
kehte hain ki mujh jaisaa koi deewaanaa nahi
dhundtaa rehtaa hoon wajah muskuraane ki main
shaayad kismat mein hi mere muskuraanaa nahi
kuch to hai wajah ki itnaa dard hai mere paas
main zamaane kaa nahi yaa meraa zamaanaa nahi
No comments:
Post a Comment