Ek lamhaa
bas ek baar tumne mud ke dekhaa hotaa
to shaayad aaj hum saath hote, shaayad...
abhi main tumhaari moujudgi ko
mehsoos bhi naa kar paayaa thaa
ki tumne jaane ki baat kar di
dur hameshaa hameshaa ke liye....
ek lamhe mein main toot gayaa
jaise kuch apnaa chhoot rahaa ho
kuch khaas, jiski mujhe zarurat hai
jiske binaa main bilkul akelaa hoon....
main tumhe jaate huye dekh rahaa thaa
dil se awaaz aa rahi thi tumhe rokun
magar jaane kyun hothon tak pahuchi nahi
kuch thaa jo mujhe rok rahaa thaa....
ek aawaaz kuch koshish mein thi
kuch samjhaa rahi thi, magar kyaa
shaayad kehnaa chaahti thi mujhse
ki tum khush nahi ho, saath mere....
mumkin nahi hai tumhe baandhe rakhnaa
tumhaare liye to khulaa aasmaan hai
kyaa milegaa is gareeb ke paas tumhe
pyaar ke siwaa kuch bhi de saktaa nahi....
bas ki baat nahi mere tumhe kuch doon
kuch khaas jo ho tumhaare jaisaa, anmol
tum chaand ho, aur main hoon kankad koi
zameen par padaa huwaa, jise kuchlaa sabne....
bas inhi khayaalon mein khud ko baandh ke
maine tumhe aawaaz nahi lagaayi, chup rahaa
rotaa rahaa dil meraa, cheekh cheekh ke
aur zubaan khaamosh rahi, main chup rahaa....
kasoor naa tumhaaraa naa meraa hi thaa kuch
kasoor to bas us lamhe kaa thaa jo guzar gayaa
naa maine rokaa tumhe, naa hi tum ruk paaye
woh lamhaa humein sadaa ke liye judaa kar gayaa....
No comments:
Post a Comment