Mujhe naa jalaao yaaron
log ishq mein mar jaate the aisaa ek zamaanaa huwaa kartaa thaa
jisne tumhaare liye jaan di woh koi deewaanaa huwaa kartaa thaa
naa-samajh hoon main, mujhe der tak samjhaao yaaron
naa karun mohabbat, magar kyun yeh to bataao yaaron
maanaa meri kismat mein woh nahi jise chaahaa maine
hai kaun khushnasib, use mere saamne to laao yaaron
kaun hai jis ke haathon mein hai naam likhaa us kaa
haath ki lakeeren kabhi laa ke mujhe dikhaao yaaron
naa mar jaaun kahin meri deewaangi ke badh jaane se
deewaanaa hoon meri deewaangi ko naa badhaao yaaron
hai jalan is baat kaa mujhe mujh mein kyaa kami hai
lagi hai aag mere dil mein, koi aake bujhaao yaaron
sunaate ho kisse uski mohabbat ke kisi aur ke sangh
ab woh kisi aur ki hai yeh kehke naa tadpaao yaaron
rehne do kuch lamhaa aur mujhe mere shareer ke sangh
use aanaa hai, aane se pehle mujhe naa jalaao yaaron
main zindaa hoon abhi laash mein ek deedaar ke liye
meri laash par phool chadhaane ko use bulaao yaaron
No comments:
Post a Comment