Dastoor zamaane kaa
sadiyon se zamaane kaa yahi dastoor rahaa
kisi ne qatl kiyaa, kisi kaa kasoor rahaa
mahalon kaa khwaab to dekhaa gareeb ne bhi
magar haalaat ke haathon woh majboor rahaa
nahi fursat thi, kisi ko khaanaa khilaaye
raees daulat ke nashe mein hi choor rahaa
sirf mehnat ke dum par kyaa kartaa bhalaa
betaa majdoor kaa bhi aksar majdoor rahaa
jis bete ko seene se lagaa ke badaa kiyaa
woh betaa hi maa baap se bahut door rahaa
bas meri hi ghazal thi jise thokrein mili
warnaa har shaayar yahaan mash-hoor rahaa
jo maa ki mamtaa ko kabhi samjhaa hi nahi
aisaa betaa maa ki aankhon kaa noor rahaa
No comments:
Post a Comment