Wednesday, September 29, 2010

Teri yaad aati hai

dhalti har shaam ke saath teri yaad aati hai,
teri yaad ke saath dhadkan thahar jaati hai,

bhool jaate hain hum har ek gum har ek baat,
jab humein yaadon ki parchhai nazar aati hai,

yaad aati hai humein tere chehre ki maasoomiyat,
aankhon ki wo nami humein aaj bhi yaad aati hai,

takiye ko baahon me bhar tujhe mehsoos karte hain,
teri wo baahon ki narmi humein aaj bhi yaad aati hai,

chumte hain haathon ko apne tera haath samajh ke,
aaj humein tanhaayi me teri bahut yaad aati hai,

sharaabi har shaam me aaj tujh ko yaad karte hain,
mai ke har ek jaam me mujhe bas tu nazar aati hai,

aaj bhi meri dhadkane tujhko yaad karte hain,
likhta hoon koi geet to adhuri hi reh jaati hai...

No comments:

Post a Comment