Wednesday, September 29, 2010

Teri mohabbat ka deewaana hua

aaj kuch is qadar mehek raha hai saara samaa,
jaane kaise khushboo ka mere ghar aana hua,

har gulaab aaj kuch zyaada hi laal hai,
aur us rang me tere hothon ka rang jaana hua,

samundar me bhi lehren aaj kuch paagal si hain,
aur unke paagalpan me mera bhi behek jaana hua,

dekh ke teri husn ki jaadugari aaj fir se,
mera to aaj khayaalon me kahin gum jaana hua,

likhe the kai geet teri mohabbat k naam humne,
aaj apne hothon se un geeton ka gungunana hua,

kal tak teri muskaan dekh tadapte the hum,
aaj tujhe dekh mere hothon ka muskuraana hua,

tujhe baahon me bhane ki chaahat jaagi hai aaj,
jaane kyun ye paagal aaj fir se deewaana hua,

chumne tere labo ki laali teri or badh jaana hua,
dekh teri madmast jawaani mera to behek jaana hua,

tere chaahat ke samundar me mera to doob jaana hua,
kisi toofaan ka aake mere chaukhat pe thahar jaana hua,

aake meri bahon me aaj tera to pighal jaana hua,
aaj fir se ye dil teri mohabbat ka deewaana hua...

No comments:

Post a Comment