Wednesday, September 29, 2010

Mera muskuraana hua

aaj fir se us khidki pe mera thahar jaana hua,
dekh ke tujhe parde me chhipte mera muskuraana hua,

baarish bhi bahut khoob thi, garajte baadal bhi the,
mohabbat ki us baarish me fir tera bheeg jaana hua,

dekh tere bheege badan ko, chunri ko tere bheege huye,
mera khud ko chunri samajh tujhse lipat jaana hua,

aaj tujhko dekh jaise aankh bhi maikhaana hua,
aankhon se tujhko pi bhi liya, mera machal jaana hua,

baarish ki ek boond ko tere hothon pe rukte dekh,
khud ko wo boond samajh tere hothon ko chhuu jaana hua,

aankh teri jhuk si gayi, tera kuch yun sharmaana hua,
jab beheki us baarish me hamaara khidki pe nazar aana hua,

kya kahoon us baarish ka main uska kuch yun aana hua,
bheeg ke us baarish me hi tan badan ka jal jaana hua....

No comments:

Post a Comment