Friday, September 3, 2010

Ji Karta hai

tumhaare kareeb aa jaane ka ji karta hai,
tumhe apna banaa jaane ka ji karta hai,
kab se banjar hai pyaar ki ye dharti meri,
tumhare pyaar me bheeg jaane ka ji karta hai,

tumhaare hothon ko chhoo jaane ka ji karta hai,
tumhaari julfon me gum ho jaane ka ji karta hai,
gehri tumhaari aankhen kisi samundar se kam to nahi,
un aankhon ki gehraayi me doob jaane ka ji karta hai,

tumhaare sang humein behek jaane ka ji karta hai,
tumhaari khushboo se mehek jaane ka ji karta hai,
na koi roke ab humein, na koi toke ab humein,
mohabbat me hadd se guzar jaane ka ji karta hai,

haan ek baar fir mohabbat aazmaane ka ji karta hai,
khoke sab kuch apna tumhe paane ka ji karta hai,
kuch to asar hai tumhaare chahat ka ki kya kahen,
humein do jism se ek jaan ho jaane ka ji karta hai...

No comments:

Post a Comment