Thursday, June 30, 2016

Kashmakash



khwaab aankhon mein sajte hain fir bikhar jaate hain
din aur raat bas haan aur naa mein guzar jaate hain

kai kai baar sochaa ki jaakar mil len unse hum magar
kadam hamaare hain jo uth kar bhi thahar jaate hain

umeed to hai ki woh fir se apnaa lenge humein, magar
kahin thukraa naa den is baat ko soch dar jaate hain


har raat waadaa karte hain khudse ki milenge unse kal
aur har subhah hum apne hi waadon se mukar jaate hain

pankh lagaakar armaa machalte to hain dil mein hamaare
magar kuch hi der mein woh zameen par utar jaate hain

naa koshish woh karte hain, naa koshish hum karte hain
galti qubool karne mein hi aksar beet umar jaate hain

sochte hain kabhi to aayegi khushi hamaare paas bhi
aur ghum bhari zindagi mein aur ghum bhar jaate hain

kyaa sahi hai, kyaa galat hai bas is kashmakash mein
hum khud ko unse aur bhi zyaadaa duur kar jaate hain


Tuesday, June 28, 2016

Tum



prem ki koi kahaani ho tum
kisi shaayar ki jawaani ho tum
tum hi jalaane waali aag ho
baarishon kaa paani ho tum

tum hi to mere har khwaab ho
tum har sawaal kaa jawaab ho
mohabbat ki nishaani ho tum
tum hi to khiltaa ghulaab ho

tum bin mile naa chainaa
tum ko hai dhunde nainaa
tum bin naa guzre din aur
tum bin naa beete rainaa

khiltaa huwaa kamal ho tum
khoobsurat saa koi pal ho tum
isse zyaadaa kya taarif karun
poori si koi ghazal ho tum




Monday, June 27, 2016



ek chhoti si kahaani hai, use bas apnaa naam de do
aaghaaz main kar chukaa hoon, tum bas anjaam de do




humein deewaanaa banaane ko naa koi kasar baaki rahaa
teri do aankhein rahi, sirf unhi kaa asar baaki rahaa

bhulaa to dete zarur tujhe dekhne ke baad hi hum magar
asar haseen shaam ki laali kaa, raat bhar baaki rahaa




aaj tum meri adhuri kahaani sun lo
meri aankhon kaa tum paani sun lo
jo sukhaa huwaa ghulaab rakha hai
woh mohabbat ki thi nishaani sun lo


deewaaron sangh hui baatein sun lo
khaamosh si aaj woh raatein sun lo
kuch meethi hain, kuch khatti hain
kyaa kyaa mili saugaatein sun lo

Sunday, June 26, 2016

Saahil pe thahar jaaungaa



ghum kaa maaraa hoon... jaane kidhar jaaungaa
jo chali thandi hawaa... saath guzar jaaungaa

kaunsi kashti mein hoon baithaa... kyaa pataa
jo lage thik jagah.. main wahin utar jaaungaa

roz bantaa hoon main.... roz toot jaataa hoon
lahar hoon... saahil pe jaake bikhar jaaungaa

likhtaa hoon roz kai.. geet apne dard ke main
jab ruki saans tab.. main bhi thahar jaaungaa

jee rahaa hoon.. shaayad tumhe main yaad nahi
jab karoge yaad tum. tab main to mar jaaungaa


Saturday, June 25, 2016


 
kehte hain humse humein bhulaa dijiye
yaa fir humein paas apne bulaa lijiye

aap aake humein seene se lagaa lijiye
yun rehke dur dur ab naa sazaa dijiye




tanhaa si zindagi kaa yeh ajab hi afsaanaa hai
meri mohabbat hai, isey mujhe hi nibhaanaa hai

woh hamaari pehli mohabbat hai, jaanti hai woh
uske liye to yeh bas uska ek aur deewaanaa hai

hain dil jo lagaa baithe hum unse anjaane mein
meri naadaani hai, aur mujhe hi samjhaanaa hai



Achchaa thaa

mohabaat kaa woh bhi ek afsaanaa achcha thaa
barbaad huwaa ek aur deewaanaa, achchaa thaa

hum unko samjhaate bhi kaise kuch jinke liye
hum hi bas bure the aur zamaanaa achchaa thaa

waadaa kiyaa thaa umra bhar saath nibhaane kaa
waadon se woh unkaa mukar jaanaa achchaa thaa

tohfe mein hamaare hi likhe huwe khat de gaye
hamaare liye unkaa woh nazraanaa achchaa thaa

apne ghar waalo ko manaa nahi paayi hoon main
dil tod jaane kaa unkaa bahaanaa achchaa thaa

jaate huwe keh gayi khush rehnaa zindagi bhar
dil todkar unkaa aisaa keh jaanaa achchaa thaa

us din aakhri baar dekhaa thaa unhe kareeb se
jaate huwe woh unkaa muskuraanaa achchaa thaa


Thursday, June 23, 2016



main kaagaz ke panno par likhaa woh afsaanaa hoon
raah par chaltaa har shaqs mudke dekhtaa zarur hai


khwaabon mein tujh sangh mulaaquaatein kar loon
bheegi hui baarishon se main ab baatein kar loon
tere chehre ko apni aankhon mein sajaa loon main
tujhse hi khoobsootrat main apni raatein kar loon


Wednesday, June 22, 2016

Kyun ladkhadaaun main



aankhein churaaun yaa aankhein milaaun main
yaa fir tumhein dekhkar bas muskuraaun main

dil to kehtaa hai ki sab kuch keh dun tumse
magar saamne tum raho to bas ghabraaun main

yeh kaisi bekaraari hai is dil ki bataao naa
seedhe raaston par bhi kyun ladkhadaaun main

yun to bante nahi geet kai kai din tak magar
dekh loon tumhe to kai geet gungunaaun main

hothon tak le aaun woh baat jo hai dil mein
yaa aaj bhi kuch kahe binaa laut jaaun main


Monday, June 20, 2016


dil ki saari baatein aaj aankhon ko keh lene do
do pal hi sahi humein khwaabon mein reh lene do

dil ki har baat apni hawaaon mein ghol di maine
aaj in hawaaon ko bas apne kareeb se beh lene do

Sunday, June 19, 2016

Khoobsoorat saa koi jahaan de de



muskuraahat ko koi khoi hui pehchaan de de
kareebi rishton mein fir se koi jaan de de

kuch lamhein hi to chaahiye saath bitaane ko
kaun kehtaa hai kisi ke liye koi jaan de de

agar paison se khushi kharidi jaa sake to
har gali mein khushiyon ki ek dukaan de de

jahaan rishton mein koi karwaahat hi naa ho
humein aisaa ek khoobsoorat saa jahaan de de

jiski sachche mann se hum poojaa kar saken
humein apno mein hi aisaa koi bhagwaan de de

insaaniyat ki kami nahi hai is zamaane mein
bas koi is duniyaa ko do chaar insaan de de


Kaun yeh kaam karne detaa hai



bejaan geeton mein bhalaa kaun jaan bharne detaa hai
woh ek teraa chehraa hai jo yeh kaam karne detaa hai

itni taazgi hai mohabbat mein ki kyaa bataayein hum
sukhey gulaabon ko bhi kahaan woh bikharne detaa hai

chhukar aai hai jo hawaa teri saanson ki khushboo ko
jaane kaun un hawaaon ko yahaan se guzarne detaa hai

koshish bahut karte hain ki rok len dil ko hum apne
dil yeh kahaan khudko seene mein thaharne detaa hai

maikhaane mein jaakar ghanto baithke bhi dekh liyaa
teraa chehraa kahaan tere nashe ko utarne detaa hai

surur mohabbat kaa kuch aisaa hai kyaa bataayen hum
naa woh jeene detaa hai, naa humein marne detaa hai


Saturday, June 18, 2016

Umar beet gayi tere deedaar ke liye



naa kar dillagi, ki umar beet gayi tere deedaar ke liye
do pal hi sahi, saamne to aa apne deewaane yaar ke liye

haalat hamaari aisi hai ki tu nazar aajaaye bas ek baar
fir to hum tayyar hain zindagi bhar ke intezaar ke liye

rog aisaa lagaa hai ishq kaa ki haalat sudharti hi nahi
jaantaa hoon main tu hi bas dawaa hai is bimaar ke liye

kaise yakeen dilaaun tujhe ki tu hi zindagi hai hamaari
aaj tu hi bataa de kyaa karun main tere aetbaar ke liye

tu muskuraa ke haan keh de bas ek baar, sach kehte hain
hadd se bhi guzar jaayegaa 'Hriday' tere pyaar ke liye

aa bhi jaa saamne tu, kyun tadpaa rahi hai humein itnaa
deedaar dede humein ab deewaane is dil ke qaraar ke liye