Majboor
koi bataa de humein ki hamaaraa kyaa kasoor rahaa
chaahaa jis ko bhi humne, kyun humi se door rahaa
oonchi oonchi imaaratein khadi ki sab ke liye usne
beghar to ghar banaane waalaa bas ek mazdoor rahaa
pyaasaa rahaa insaan jahaan par bhi sukhaa padaa
jahaan zaroorat nahi, wahaan paani bharpoor rahaa
budhaape kaa sahaaraa banne se, jisne inkaar kiyaa
woh betaa aksar budhi maa ki aankhon kaa noor rahaa
jisko viraasat mein baap daadaa ki daulat hai mili
bas ek wahi shaqs daulat ke nashe mein choor rahaa
qatl karke qaatil chaadar odhe rahaa sharaafat kaa
bas ek naam 'Hriday' qaatilon mein mash-hoor rahaa
dilon ko tod ke jaane waale khush rahe zamaane mein
bas mohabbat karne waala hi har jagah majboor rahaa
No comments:
Post a Comment