Thursday, August 21, 2014

Kahaan hain kinaarey

haan kuch saal pehle, yahaan ek shahar thaa
yahaan is gali mein, ek meraa bhi ghar thaa



woh bachpan ki yaadein, haan woh mere khilauney
hain yaadon mein ab bhi, woh din, woh puraaney

jahaan baithey the ghanto, woh nadi ke kinaarey
kahaan hain woh nadiyaan, hain kahaan woh kinaarey

woh kaagaz ki kashti, aur woh baarish kaa paani
kahaan hain, kahaan hain, woh lamhen suhaaney

woh koyal ki koo koo, woh baadal kaa ghurr ghurr
jaane kahaan kho gaye hain, haseen woh nazaarey

hai zaalim yeh duniyaa, aur dhokhey ke rishtey
bas ab nahi hain kahin bhi, woh maasoom chehrey

woh saari sharaarat, aur woh mamtaa kaa aanchal
nahi hai, nahi hai, woh ab kahin bhi nahi hai

daulat bhi hai ab, shohrat bhi hai ab, magar
bas maa ki woh loree, ab woh nahi hain hamaarey

No comments:

Post a Comment