Wednesday, August 27, 2014

Yun naa muskuraaiye

aap rehke dur humse yun naa bas muskuraaiye
hai achchi nahi aadat, humein naa tadpaaiye

hain bheege kamal ke phool jaise lab jo aapke
chhoo len labon se apne, kareeb aa bhi jaaiye

ki dil mein hone lagtaa hai dard jaisaa kuch
haseen shaam jaisi zulfein yun naa lehraaiye

gehri jheel si aankhon mein kuch to baat hai
koi raaz hai dil mein dabaa, use khol jaaiye

keh dijiye in aankhon ko hai kiskaa intezaar
palkein jhukaake apni, aap yun naa sharmaaiye

kab tak chhipaake rakhenge us baat ko sanam
jo baat hai dil mein, zubaan tak le hi aaiye

naa khelaa kijiye yun hamaare dil ke saath aap
hai lenaa agar to saansein hamaari le hi jaaiye

zaraa dekhiye hai 'Hriday' yahaan saamne khadaa
de dijiye humein pyaar, yaa jaan le hi jaaiye

No comments:

Post a Comment