Thursday, August 28, 2014

Majboor

koi bataa de humein ki hamaaraa kyaa kasoor rahaa
chaahaa jis ko bhi humne, kyun humi se door rahaa

oonchi oonchi imaaratein khadi ki sab ke liye usne
beghar to ghar banaane waalaa bas ek mazdoor rahaa

pyaasaa rahaa insaan jahaan par bhi sukhaa padaa
jahaan zaroorat nahi, wahaan paani bharpoor rahaa

budhaape kaa sahaaraa banne se, jisne inkaar kiyaa
woh betaa aksar budhi maa ki aankhon kaa noor rahaa

jisko viraasat mein baap daadaa ki daulat hai mili
bas ek wahi shaqs daulat ke nashe mein choor rahaa

qatl karke qaatil chaadar odhe rahaa sharaafat kaa
bas ek naam 'Hriday' qaatilon mein mash-hoor rahaa

dilon ko tod ke jaane waale khush rahe zamaane mein
bas mohabbat karne waala hi har jagah majboor rahaa

Wednesday, August 27, 2014

Yun naa muskuraaiye

aap rehke dur humse yun naa bas muskuraaiye
hai achchi nahi aadat, humein naa tadpaaiye

hain bheege kamal ke phool jaise lab jo aapke
chhoo len labon se apne, kareeb aa bhi jaaiye

ki dil mein hone lagtaa hai dard jaisaa kuch
haseen shaam jaisi zulfein yun naa lehraaiye

gehri jheel si aankhon mein kuch to baat hai
koi raaz hai dil mein dabaa, use khol jaaiye

keh dijiye in aankhon ko hai kiskaa intezaar
palkein jhukaake apni, aap yun naa sharmaaiye

kab tak chhipaake rakhenge us baat ko sanam
jo baat hai dil mein, zubaan tak le hi aaiye

naa khelaa kijiye yun hamaare dil ke saath aap
hai lenaa agar to saansein hamaari le hi jaaiye

zaraa dekhiye hai 'Hriday' yahaan saamne khadaa
de dijiye humein pyaar, yaa jaan le hi jaaiye

Sunday, August 24, 2014

achchi hai aadat unki humein yun sataane ki
jaankar hamaari haalat, uspar muskuraane ki

Saturday, August 23, 2014

ambar mein boondein, hain boondon mein baarish
qaatil hain aankhein, hain aankhon mein saazish.....
nashe ki botalon mein, ab rahaa asar kahaan
do aankhein aapki, aur hai asar saaraa aapkaa
Yun naa muskuraayaa kijiye

naa dekhaa kijiye yun gaur se meri aankhon mein
bade bholey hain, keh denge ki humein pyaar hai



qaatil adaaon se yun naa lubhaayaa kijiye
duur humse rehke yun naa tadpaayaa kijiye

aake lag jaayiye aap seene se hamaare aaj
paagal ko paagal yun naa banaayaa kijiye

mar naa jaayein hum dekh aapki aankhon ko
jhukaake palken yun naa sharmaayaa kijiye

chhoolen geele lab aapke labon se hum apne
hamaari pyaas ko yun naa badhaayaa kijiye

madhoshi si chhaa jaati hai neendon mein
raat khwaabon mein yun naa aayaa kijiye

baarish ho naa jaaye aapke muskuraane se
humein dekhke yun naa muskuraayaa kijiye

jalti hai kaali raat bhi aap ke zulfon se
ghani zulfon ko yun naa lehraayaa kijiye

naa keh paayenge humein mohabbat nahi hai
'Hriday' se jhoot yun naa bulwaayaa kijiye
hamaari mohabbat ki kahaani kaa, kuch yun anjaam rahe
ho shuru tere naam se, aakhir mein bhi teraa naam rahe

Friday, August 22, 2014

hum teri mohabbat mein itne majboor ho gaye
dhundne nikle khudko, khud se hi door ho gaye
mujhe meri woh bhooli kahaani de do
thodi si baarish, thodaa paani de do

Thursday, August 21, 2014

Kahaan hain kinaarey

haan kuch saal pehle, yahaan ek shahar thaa
yahaan is gali mein, ek meraa bhi ghar thaa



woh bachpan ki yaadein, haan woh mere khilauney
hain yaadon mein ab bhi, woh din, woh puraaney

jahaan baithey the ghanto, woh nadi ke kinaarey
kahaan hain woh nadiyaan, hain kahaan woh kinaarey

woh kaagaz ki kashti, aur woh baarish kaa paani
kahaan hain, kahaan hain, woh lamhen suhaaney

woh koyal ki koo koo, woh baadal kaa ghurr ghurr
jaane kahaan kho gaye hain, haseen woh nazaarey

hai zaalim yeh duniyaa, aur dhokhey ke rishtey
bas ab nahi hain kahin bhi, woh maasoom chehrey

woh saari sharaarat, aur woh mamtaa kaa aanchal
nahi hai, nahi hai, woh ab kahin bhi nahi hai

daulat bhi hai ab, shohrat bhi hai ab, magar
bas maa ki woh loree, ab woh nahi hain hamaarey

Saturday, August 16, 2014

Machal jaao tum

hosh bhi tumhe aur behoshi bhi
giro to kabhi sambhal jaao tum

ho agan mere saanson mein itni
bas chhoolo to pighal jaao tum

aaj tod do haddon ko tum saare
dur, bahaut dur nikal jaao tum

bhool jaao khud ko tum aaj aur
mujh mein hi aaj dhal jaao tum

ho bas naam ek meraa hothon par
aur usi naam se machal jaao tum
Achchaa lagtaa hai

achchaa lagtaa hai teraa aankhon aankhon mein sab keh jaanaa
teraa muskuraate huwe chehre ko chhipaanaa achchaa lagtaa hai
kaat_ti hai jab tu naakhun apne hi daanton se sharmaate huwe
uuuufff teraa sharam se paani paani ho jaanaa achchaa lagtaa hai....

Saturday, August 9, 2014

Naa muskuraane ki baat kijiye

naa ho paayegaa, naa humse ab muskuraane ki baat kijiye
hai mushkil bahut, naa humse bhool jaane ki baat kijiye

hain ghaayal bahut, ab hamaaraa ilaaz kyaa kar paayenge
laailaaj hai, naa humse ab marhum lagaane ki baat kijiye

jisko bhi maanaa apnaa humne, humein dagaa usi ne diyaa
yeh hamaaraa nahi, naa husme is zamaane ki baat kijiye

behte aansoo hamaare hi, ab to bahut hain hamaare liye
ab naa humse aap baarish mein bheeg jaane ki baat kijiye

they woh kashti hum le ke chale jis mein ek suraag thaa
hain majdhaar, naa saahil tak pahuchaane ki baat kijiye

aakhir kyun karte hain ab bhi us haseen chehre ko yaad
wajah hazaar hain, naa humse ab bahaane ki baat kijiye

ab aansoo hi geet hain, aur ghazal is dil kaa dard hai
naa humse ab aap mehfilon mein kuch gaane ki baat kijiye

woh 'Hriday' koi aur thaa jo kabhi mohabbat kartaa thaa
aap is deewaane se, naa ab kisi afsaane ki baat kijiye
Maalaa paththar ko

deepak ki lau ko hawaaon se bachaane chale they
yaa haath apnaa usi mein hum jalaane chale they

naa samajh paayein hum lehrein samundar ki kabhi
samundar mein kaagaz ki kashti bahaane chale they

jaante they ki unke dil mein naa koi baat hi thi
dekhiye hum to paththar ko hi pighlaane chale they

hui baarish ko failaa kar baahein hum bheeg liye
apne aansoo hum baarish mein chhipaane chale they

khaai jab chot tab har ek baat hi hum jaan gaye
maalaa phool kaa paththar ko pehnaane chale they

Wednesday, August 6, 2014

Tujhse pyaar kar jaaun main

chhin loon tujhe tujhi se, is qadar pyaar kar jaaun main
jee loon tujhe baahon mein bharke, yaa aaj mar jaaun main
naa sambhalne denaa tu mujhe aaj ki yeh haseen raat sanam
gir hi jaaun zameen par aaj, kuch aise fisal jaaun main

pyaase yeh dhadkan hai, inki pyaas ko zaraa badhaaun main
chhooke geele lab tere fir in labon ki pyaas bujhaaun main
sholay mohabbat ke kuch is qadar jal rahe hain dil mein
yaa to jalaa doon tujhe unhi mein, yaa khud jal jaaun main

khelun tere zulfon se, tujhe seene se apne lagaaun mein
dhadkan mere seene ki, aaj har dhadkan tujhe sunaaun main
tu machle meri baahon mein, badh jaaye meraa paagalpan  
fir apne paagalpan mein, khoob paagal tujhe banaaun main

ho aahat tere saanson ki, meri saanson ko sunaaun main
woh teri nahi meri hai, meri saanson ko samjhaaun main
naa doori ho jismon mein, naa hawaa ke liye rastaa ho
khud ko hi bhulaa kar main, bas teraa hi ho jaaun main

Tuesday, August 5, 2014

Aajao naa

arsaa ho gayaa tumhe seene se lagaaye huwe
aao naa, ek baar nazar ke saamne aajaao naa
tadap rahaa hoon main, sholon par chal rahaa hoon
aake bas ek baar is agan ko bujhaa jaao naa
aao naa, meri jaane jaanaa, bas ek baar aajaao naa

dekho naa kab se baarish tak nahi huwi yahaan
sukhi hai yeh zameen saari, aur meri zindagi bhi
bas ek tumhaare naa hone se kuch bhi baaki naa rahaa
pyaasaa hoon, aake meri pyaas ko bujhaa jaao naa
aao naa, bas ek baar aake seene se lag jaao naa

jaante hain hum bhi ki humein bhulaa chuke ho tum
duur, bahut duur jaa chuke ho tum hamaari yaadon se
is paagal dil ko hamaare aake ek baar samjhaa jaao naa
koi wajah naa sahi, kisi bahaane se hi aajaao naa
aao naa, meri jaanaa aake fir mere ban jaao naa

aao naa, aa jaao naa, meri jaanaa, aa bhi jaao naa...