Friday, August 9, 2013

Jab baatein hui ishaaron mein

jab baatein huyi un se ishaaron mein
tab khabar chhap gayi akhbaaron mein

jaa pahunchi aasmaan tak khabar apni
hone lage charche chaand taaron mein

har baat mein baat bas unki hai aayi
agar kissa chhidaa kahin yaaron mein

ab nazar hamaari unko hi dhundti hai
galiyon mein to kabhi baazaaron mein

rog chaahat kaa kuch yun lagaa humko
ab naam aayaa hamaaraa beemaron mein

bheege labz baarish mein ehsaason ke
kai ghazal banne lage bahaaron mein

yeh baat kehne se ab kyaa ghabraanaa
maashooqaa hai hamaari hazaaron mein

No comments:

Post a Comment