Sunday, July 14, 2013

Kahaani apni

kuch to hai baat jo apni yeh haalat kharaab rakhte hain
bhulaane ko unhein hum haathon mein sharaab rakhte hain

jalaa chuke hain unki har tasveer, har khat unke, magar
kitaab mein chhipaake unkaa diyaa laal gulaab rakhte hain

unse jo meraa rishtaa thaa woh ab bas ek kahaani hi hai
logon ke har sawaal kaa bas yahi hum jawaab rakhte hain

bheegte hain baarish mein koi dekh naa le aansoo hamaare
logon ko dikhaane ke liye muskaan hum janaab rakhte hain

unki kyaa taarif karein hum, bepardaa hai sabhi ke liye
mohabbat hai humse itni, humi se woh hijaab rakhte hain

kehne ko kehte hain sabse hum mitaa chuke unki har yaad
magar, dil mein unke liye mohabbat behisaab rakhte hain

haqeeqat mein woh hain nahi, naa hi humko milenge kabhi
hum sajaake unki yaadon se apnaa har khwaab rakhte hain

No comments:

Post a Comment