Wednesday, July 31, 2013

Har shaqs anjaan milaa

meri kismat thi, mujhe soonaa saa jahaan milaa
gali mein bheed rahi, meraa ghar veeraan milaa

milaa hazaaron se, par koi apnaa naa ban sakaa
zindagi ke har mod par, har shaqs anjaan milaa

dhundaa har chehre mein kisi ko apnaa keh saku
samajh paaye mujhe, naa aisaa koi insaan milaa

kisi se kehtaa bhi kaise, main dil ki baat apne
jo milaa woh apni hi zindagi se pareshaan milaa

ishwar ek hai agar fark kyun hai itnaa sab mein
kahin geetaa, kahin bible to kahin quraan milaa

kabhi waadaa nibhaane ko log jaan apni dete the
ab baazaaron mein biktaa hamaaraa hi imaan milaa

kabhi mohabbat ke naam par qurbaan log hote the
aajkal mohabbat hi har jagah hotaa qurbaan milaa

Monday, July 29, 2013

Woh din kab aayegaa

saath chhoot gayaa, woh rishte toot gaye
magar woh bandhan jo woh baandh gayi
meri saanson kaa apni saanson se
woh bandhan kaise toot paayegaa
yeh deewaanaa tadaptaa rahegaa
aur ek din yunhi haste haste
uski mohabbat mein mar jaayegaa...

kahaa thaa logo ne mohabbat thik nahi
main hi thaa jo samjhaa nahi unki baat
har ek nayi subah ke saath
rishtaa meraa unse yun bantaa gayaa
ki mazboot se aur mazboot ho gayaa
ab jab woh nahi hai saath to lagtaa hai
ye duniyaa veeraani hai
koi apnaa nahi, koi sapnaa nahi
ye ghum kaa andheraa kab tak yunhi reh jaayegaa
jaane kab tak woh saweraa aayegaa....

jab subah ki pehli kiran ke saath ek khushi hogi
khushi, zindaa rehne mein, khushi muskuraane mein
naa koi ghum hogaa dil me, naa koi dard hogaa
bas ek hamsafar hogaa saath nibhaane ko
aur ek wajah hogi muskuraane ko
ek din woh saweraa zarur aayegaa
yeh deewaanaa bhi ek din muskuraayegaa...

Saturday, July 27, 2013

Naa rulaao tum

mere is paagal dil ko ab aur naa jalaao tum
bahut ro chukaa hoon, ab aur naa rulaao tum

main khoney lagaa hoon bharosaa apne aap se
mujhe mohabbat pe yakeen yun naa dilaao tum

waadaa kiyaa thaa tumne dur chale jaane kaa
apne uss waade ko is tarhaa naa bhulaao tum

maine faislaa kar liyaa tumse dur jaane kaa
apne aur kareeb fir se mujhe naa bulaao tum

mahal sapno ke, kitni baar banke toote hain
ab mujhe jhoote sapne aur naa dikhlaao tum

aadat ho chuki hai mujhe ghum mein jeene ki
jhooti baaton se mere dilko naa behlaao tum

naa daro, tumhaare haath se haske pi lungaa
zeher mein mere liye shahad to naa milaao tum

mar naa jaaun kahin mohabbat mein fir ek baar
jaanaa! khud ko mere itne kareeb naa laao tum

Thursday, July 25, 2013

Rog mohabbat kaa

raahon par mohabbat ke, kuch is tarha se chal rahe hain
kabhi ladkhadaa rahe hain to kabhi ab sambhal rahe hain

kal shaam jaate jaate unhone is tarhaa se mud ke dekhaa
naa poochho humse ab hum kis tarhaa se pighal rahe hain

kal shaam ki woh laali aur unkaa woh khilaa saa chehraa
bas sochke woh chehraa, hum dil hi dil machal rahe hain

humne aankhon se hi pi hai, unke aankhon kaa nashaa woh
humein hosh hi nahi kuch, hum har kadam fisal rahe hain

naa to chain hai dilko aur naa hi hai qaraar ek pal kaa
kaise bataayen ab hum yeh lamhein kaise nikal rahe hain

aankhon se unkaa chehraa mere dhadkan mein aa basaa hai 
hamaare khwaab saare judd ke, dekho ban mahal rahe hain

unke hasi nazar kaa asar hum pe kuch is qadar huwaa hai
woh shabd jo bikhre huwe they, sab ban ghazal rahe hain

deedaar jab se huwaa hai, hamaaraa unki haseen nazar se
jaane kaise kaise armaan hamaare dil mein pal rahe hain

woh jo rog mohabbat kaa shaayad hum ko bhi ho gayaa hai
ab lag rahaa hai aisaa hum mohabbat mein badal rahe hain

Tuesday, July 23, 2013

Tere intezaar mein

sau saawan aa ke guzar gaye, ek tere intezaar mein
dosh ek hamaaraa rahaa, paagal rahe tere pyaar mein

hosh humko thaa hi nahi samajh paate teri baaton ko
humne bas iqraar hi samjhaa, tere har ek inkaar mein

waadaa karke gayi thi humse lautke waapas aane kaa
khud ko bhulaaye baithe rahe hum tere aetbaar mein

sabko bhulaake tujhko chaahaa, sabse badi galti apni
dil jo tere naam kiyaa thaa, humne kiyaa bekaar mein

pehle jab hum likhte the, hum likhte the mohabbat pe
humse ab koi ghazal nahi bantaa ishq mein, khumaar mein

dard bahut hai dil mein apne, har pal rotaa rehtaa hai
jab se dil kaa saudaa kiyaa humne ishq ke baazaar mein

dosh thaa apne kismat kaa, apne liye hi kuch naa rahaa
paake tujhko paa naa sake, hum tanhaa rahe sansaar mein
Meraa waadaa

kaise soch liyaa tumse bichhad jaaungaa
tumse judaa hoke main to bikhar jaaungaa

saanson me tum ho, mere dhadkan me tum ho
khud se saanson ko judaa naa kar paaungaa

aankhon mein tumhaare ashq aa jaayen kabhi
tumhaari hasi ke liye hadd se guzar jaaungaa

waadaa hai tumse meraa saath nibhaane kaa
mar kar bhi har waadaa pooraa kar jaaungaa

jaanaa padaa agar tumhe mujh se pehle to
sach kehta hoon jaanaa main bhi mar jaaungaa...

Sunday, July 21, 2013

Hamaari khabar poochhte hain

humse milte hain jab bhi, hamaari khabar poochhte hain
kahaan se aaye hain hum, hamaaraa shahar poochhte hain

kehte nahi hothon se kuch bhi magar ishaare karte hain
paagal se ho jaate hain hum woh is qadar poochhte hain

madbhari unki aankhen hain, sharbat se unke honth hain
pyaasi meri aankhon pe kitnaa huwaa asar poochhte hain

hum dekhte hi unhe rehte hain doobke unki aankhon mein
hum unse jo bhi pochhte hain sab be-asar poochhte hain

hum hi hain, kabhi keh nahi paaye dil mein jo baat hai
kyaa humein mohabbat hai woh humse aksar poochhte hain
Har kaam hum bekaar karte hain

yaad tumko dil se hum yaar karte hain
warnaa har kaam hum bekaar karte hain
tum maanti nahi hamaari baat ho lekin
beshumaar tum se hum pyaar karte hain

hum tumhaari tasveer se har baat karte hain
bas yahi ek kaam to hum har raat karte hain
band aankhon se bhi hum to dekhte tumhein
khwaabon mein hum tumse mulaquaat karte hain
bas yahi kaam hum to khaas karte hain
warnaa har kaam hum....

tum maanti nahi hamaari baat ho lekin
beshumaar tum se hum pyaar karte hain

hum tumhaare waade pe aetbaar karte hain
aaoge tum yeh soch ke intezaar karte hain
keh naa paaye tumse kabhi hum baat yeh, lekin
hum tumse mohabbat mere yaar karte hain
baatein tumhaari hum do chaar karte hain
warnaa har kaam hum....

tum maanti nahi hamaari baat ho lekin
beshumaar tum se hum pyaar karte hain

apni har ghazal tumhaare naam karte hain
sirf itnaa saa hi hum to kaam karte hain
milte hain jab kabhi apne doston se hum
tumhaari hi baatein har shaam karte hain
karne ko to bas yahi ek kaam karte hain
warnaa har kaam hum....

tum maanti nahi hamaari baat ho lekin
beshumaar tum se hum pyaar karte hain

yaad tumko dil se hum yaar karte hain
warnaa har kaam hum....

Friday, July 19, 2013

Mohabbat nibhaataa hoon main

ret pe uskaa naam likhtaa hoon, mitaataa hoon main
aur kuch is tarhaa se mohabbat nibhaataa hoon main

din jo kabhi beete the gungunaate huye uske saath
un haseen yaadon se apnaa dil behlaataa hoon main

kabhi kehtaa hoon itnaa naa ho khatam baatein meri
kabhi kuch kehte huye chup saa ho jaataa hoon main

kabhi dard jo badh jaataa hai hadd se zyaadaa meraa
uske naam pe likhe geeton ko gungunaataa hoon main

ek dil hai, kuch dhadkan, bas aur kuch bhi nahi hai
bas inhi ke kisse mehfilon mein sunaataa hoon main

maine haste rehne kaa waadaa usse kiyaa thaa kabhi
ek yahi wajah hai ki aaj bhi muskuraataa hoon main

Tuesday, July 16, 2013

Daastaan wafaa ki

naa tu aayi, naa hi teraa koi paigaam aayaa
ek teraa chehraa mujhe yaad har shaam aayaa

koshish bahut kee tujhe bhul jaane ki maine
magar mere geeton mein bas teraa naam aayaa

kami nahi ki kabhi maine tujhe chaahne mein
par mere hisse bas nafraton kaa inaam aayaa

tu qatl karti rahi mere armaano kaa har pal
magar mujh par hi har qatl kaa ilzaam aayaa

tujhe sukuun milaa kisi gair ki baahon mein
mere hisse bas aansuon se bharaa jaam aayaa

tadaptaa rahaa main apne dhadkano ke shor se
mujhe tadaptaa huwaa dekh tujhe aaraam aayaa

tu mashoor hoti rahi ameeron ki mehfil mein
is gareeb ke hisse to bas kissa-e-aam aayaa

tujhe talaash rahi mehlon ke shohrat ki, aur 
main ek kankad jo kabhi naa tere kaam aayaa

Sunday, July 14, 2013

Kahaani apni

kuch to hai baat jo apni yeh haalat kharaab rakhte hain
bhulaane ko unhein hum haathon mein sharaab rakhte hain

jalaa chuke hain unki har tasveer, har khat unke, magar
kitaab mein chhipaake unkaa diyaa laal gulaab rakhte hain

unse jo meraa rishtaa thaa woh ab bas ek kahaani hi hai
logon ke har sawaal kaa bas yahi hum jawaab rakhte hain

bheegte hain baarish mein koi dekh naa le aansoo hamaare
logon ko dikhaane ke liye muskaan hum janaab rakhte hain

unki kyaa taarif karein hum, bepardaa hai sabhi ke liye
mohabbat hai humse itni, humi se woh hijaab rakhte hain

kehne ko kehte hain sabse hum mitaa chuke unki har yaad
magar, dil mein unke liye mohabbat behisaab rakhte hain

haqeeqat mein woh hain nahi, naa hi humko milenge kabhi
hum sajaake unki yaadon se apnaa har khwaab rakhte hain
Khwaaish

kyun naa aaj fir se wahi puraani shaam ho jaaye
hothon pe tumhaare hothon kaa woh jaam ho jaaye

barastaa rahe paani kuch is tarhaa se aaj jaanaa
bheeg jaayen hum aur dhadkano ko aaraam ho jaaye

tumhaari nashili aankhon se chalaao teer mujhpe
kisi teer se tumhaare meraa qatl-e-aam ho jaaye

duwaaon mein tumhi ho, chaahaton mein tum hi ho
mil jaaye mohabbat tumhaari, har inaam ho jaaye

kahaani mere mohabbat ki bas itni si ho jaanaa
aaghaaz tum se ho aur tum hi pe anzaam ho jaaye

Friday, July 12, 2013

Tum chale aaye

dil ne mere aawaaz di aur tum chale aaye
pukaaraa tumhaaraa naam, tum chale aaye

kabse tanhaa thaa main, koi thaa nahi saath
duur karne meri tanhaayi tum chale aaye

waadaa karo naa chhodo ge saath ab kabhi
dene ko umra bhar kaa saath, tum chale aaye
Dard judaai kaa

ab dard judaai kaa sahaa nahi jaataa
ab aur tumse judaa rahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

wo baatein puraani, raatein puraani
tum sangh apni mulaquaatein puraani
kuch aisi tadap hai yaadon mein
oh meri jaanaa sahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

kabhi haathon me thaa haath tumhaaraa
mere jeewan mein thaa saath tumhaaraa
kabhi tumse judi har khushi thi meri
ab tum bin jaanaa rahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

tasveer tumhaari dekhtaa hoon rehtaa
tanhaayi mein main kuch kuch kehtaa
sangi saathi bahut hain apne magar
kisi se kuch bhi kahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

koi poochhe agar kyun hoon gumsum rehtaa
koi wajah nahi main bas itnaa hi kehtaa
main khaamoshi se har dard ko chhipaataa
magar ab dard hai itnaa sahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

koi jaaye jaake tumhe itnaa bataa de
tum tak meraa ye sandesh pahuchaa de
tanhaa bahut hain hum tum bin jaanaa
aur tanhaa humse ab rahaa nahi jaataa
hum kehne ko keh dete hain har baat
magar dard dil kaa kahaa nahi jaataa

dard judaai kaa ab sahaa nahi jaataa
ab aur tumse judaa rahaa nahi jaataa...

Thursday, July 11, 2013

Mohabbat karke dekho naa

kisi ki aankhon me utarke dekho naa
ek baar tum mohabbat karke dekho naa

bahut mazaa hai dil ke lagaane mein
tum bhi kisi se lagaakarke dekho naa

kyaa hai khoobsoorti haqeeqat mein
kisi ke naam se sanwarke dekho naa

kab tak rahoge deewaaron se ghir ke
kabhi haddon ko paar karke dekho naa

mushkil nahi ghamon se duur jaanaa
bas ek baar muskuraakarke dekho naa

kaise udte hain panchhi aasmaan mein
tum bhi pankh failaakarke dekho naa

saare gham chheen lungaa tum se main
meri taraf kadam badhaakarke dekho naa

asar karegi meri yeh mohabbat tumpe
tum mujhpe  aetbaar karke dekho naa

Dil ki baat

meraa dil to sadiyon se tumhaaraa gulaam rahaa hai
hothon pe har lamhaa bas tumhaaraa naam rahaa hai

raat jab bhi tum rahe ho meri baahon me jaane jaan
meri saanson ko, meri dhadkano ko aaraam rahaa hai

jab tak tum saath rahe duniyaa meri tum se hi rahi
tumko hi chaahte rehnaa, yahi meraa kaam rahaa hai

tumse judaa hone pe tumhaari kami kaa ehsaas huwaa
tumhaare aane kaa intezaar subah se shaam rahaa hai

tumse judaa hoke bhi tumse judaa naa ho paayaa main
'Hriday' ke har geet mein bas tumhaaraa  naam rahaa hai

Wednesday, July 10, 2013

Ek teraa deewaanaa hai

ek teraa deewaanaa hai, tere dar par aaye baithaa hai
ek tere deedaar ke khaatir jo aas lagaaye baithaa hai

kabhi fursat miley to aake dekh jaanaa is deewaane ko
jo ab bhi teri tasveer ko seene se lagaaye baitha hai

tere aane se roshani hogi uski andheri is duniyaa mein
is aas mein woh paagal har diyaa bujhaaye baithaa hai

neend mein doobi aankhein uski kabse hain soyi hi nahi
tere aane ki aas mein, woh nazrein jamaaye baithaa hai

sangi saathi bahut hain uske, rishton ki hai kami nahi
tujhe apnaane ke liye har rishtaa bhulaaye baithaa hai 

na sonaa na chaandi maangaa, rupaya paisa maangaa nahi
bas teri mohabbat paane ko, jholi failaaye baithaa hai

ek teraa deewaanaa hai, tere dar par aaye baithaa hai
ek tere deedaar ke khaatir jo aas lagaaye baithaa hai
Achchi baat nahi

yun duur baithe baithe muskuraanaa achchi baat nahi
yun hamaare dil ko jalaanaa jaanaa achchi baat nahi

kabhi to dekhti rehti ho humein be-khauff tum dur se
hum dekh len to tumhaaraa chhip jaanaa achchi baat nahi

apni qaatil adaaon se tum deewaanaa hum ko banaati ho
deewaano ko deewaanaa banaanaa jaanaa achchi baat nahi

kehnaa nahi hai kuch bhi fir ishaare kyun tum karti ho
yun ishaaron se har baat bataanaa jaanaa achchi baat nahi

jo hum poochhen to har baar tum inkaar hi to karti ho
yun mohabbat ko aazmaanaa jaanaa achchi baat nahi

hai mohabbat humse to jaanaa kehne se tum darti kyun ho
yun apno se har baat chhipaanaa jaanaa achchi baat nahi

Tuesday, July 9, 2013

Kyun tu samajh paataa nahi

ghadi bhar naa dekhun tujhe to chain dil ko aataa nahi
jabse tujhko dekhaa maine, koi aur mujhko bhaataa nahi

ek teraa chehraa hai, aur pyaari si teri aankhein hain
dooboon ki main tairun unmein yeh hi samajh paataa nahi

madiraa jaise hain honth tere, geele geele rehte hain
dekh unhe behosh hoon main, hosh mein reh paataa nahi

maikhaane mein peene ko, jaataa thaa main aksar pehle
jo pee lee tere hothon se ab bin tere reh paataa nahi

khuli zulfon ke baadal tere, aankhon mein samundar hai
dekh tujhe ab baarish bhi, zameen pe baras paataa nahi

kabhi tu paagal banaati hai, kabhi deewaanaa karti hai
koi apne chaahne waalon ko is tarhaa to tadpaataa nahi

geeton mein, tu ghazalon mein, har dishaa mein tu hi tu
ab meri yun haalat hai, tujh bin kuch samajh aataa nahi

tere liye hi jeetaa hoon main, tere liye hi martaa hoon
kitni mohabbat tujhse hai yeh kyun tu samajh paataa nahi

Thursday, July 4, 2013

.

Keedaa mohabbat kaa

yeh majnu dard-e-dil se aaj bahut chillaayaa hai
lagtaa hai mohabbat ke keede ne kaat khaayaa hai

kahaa thaa naa jaanaa tum haseeno ke mehfil mein
ab dekho wahaan se kaise daudaa daudaa aayaa hai

phool, card aur tohfon pe khoob paise udaaye usne
mehenge hotelon mein use khaanaa bhi khilaayaa hai

pehle to ghanton phone pe lagaa rehtaa thaa usse
ab phone kaa  bill sirf pachpan sau ka aayaa hai

jeb khaali kar ke jab use kangaal banaa diyaa to
woh kehtaa hai ki ladki ne use ullu banaayaa hai

waqt pe jo samajh paayaa nahi kyaa hai haqqeeqat
kyaa faaidaa ab jo waqt jaane pe pachhtaayaa hai

jo kamaayaa thaa kuch paisaa apne future ke liye
saale ne ishaq ke naam pe hi saaraa gawaayaa hai

Tuesday, July 2, 2013

.

Jab tum

jab jab tum balcony me aake apni zulfen lehraate ho
gali ke bad boys ke dilo pe khanjar chalaa jaate ho

main bhi dekhtaa rehtaa hoon tumhe apne open eyes se
aur tum mere eyes ke through heart me samaa jaate ho

main kho jaataa hoon kisi dream mein tumein dekh ke
tum mere khwaabon mein aake mujhe hi jalaa jaate ho

jalne lagtaa hoon jab kabhi tumhaari mohabbat mein
fire brigade bann ke tum aag bujhaane chale aate ho

kabhi fever, kabhi viral to kabhi malaria ho jaaye
kuch is tarhaa love se judi bimaariyaan failaate ho

marti rehti hai public tumhaari mohabbat mein roz
aur tum unki laashon pe chalke muskuraa ke jaate ho

yeh aadat achchi nahi hai yun dilon se khel jaane ki
tum binaa baaje ke hi lovers ke band bajaa jaate ho