Tuesday, March 27, 2012

Wo pyaar nahi

jo zubaan se zaahir ho wo pyaar nahi,
jo dil me chhipa rahe wo inkaar nahi,

pehli nazar me tumhe pyaar ho jaaye,
wo kuch aur hi hai lekin pyaar nahi,

pyaar ko umra lag jaata hai hone me,
jo pal bhar me ho jaaye wo pyaar nahi,

kisi ki aankhon me doob jaana pyaar nahi,
kisi ki julfon me kho jaana pyaar nahi,

kisi ka khwabon me aajaana pyaar nahi,
kisi ka har pal yaad aana pyaar nahi,

pyaar saanson ka bandhan hai saanso se,
jo bandhan tut jaaye kabhi wo pyaar nahi,

jo dil me chhipa rahe wo inkaar nahi,
jo zubaan se zaahir ho wo pyaar nahi...

No comments:

Post a Comment