Monday, March 19, 2012

Jee karta hai

un dino me laut ke jaane ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai,

chhupke zamaane se hum milte the tujhse,
tera chhupke milne aana yaad aata hai,
mujhe dekh ke tera rang nikhar jaata tha,
mujhe dekh tera muskuraana yaad aata hai,

firse tere sang muskuraane ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai,

raat si kaali zulfen bikherti thi tu mujhpe,
tera mere seene se lipat jaana yaad aata hai,
gulaabi honth tere kamal ke phool jaise,
mera tere hothon ko chum lena yaad aata hai,

firse tere hothon ko chhoone ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka mera jee karta hai,

jaate jaate ye kahaa tha ki laut aayegi tu,
tera wo duur jaata huwa chehra yaad aata hai,
main un raahon pe aankhen bichhaye baitha hoon,
un raahon pe mujhe tera chehra nazar aata hai,

firse tujhe paane ka mera jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai...

No comments:

Post a Comment