Tuesday, March 13, 2012

Aaj fir uski yaad aayi hai

aaj fir us jheel ke kinaare baith
uski yaad aayi mujhe
haan us haseen sathi ki yaad
jiske sang ghnato baitha karte the
batein kiya karte the
ek aisa saathi jiske hone se
has lamha khoobsurat lagta tha
aur jiske chale jaane se
jaise andhera chhaa jaata tha
haan fir se dekho na kyun
usi khoobsurat saathi ki yaad aayi hai
sang apne kuch khushiyan
kuch aansoo laayi hai

wo haseen lamhe jo bitaaye the humne sang
unhi lamho ki yaad fir se laut aayi hai
wo chhoti chhoti baaton pe hasna khilkhilaana
wo uska roothna aur wo mera manana
wo uska duur jaate fir theher jaana
wo aake fir uska mere seene se lag jaanaa
dekho na kyun aaj uski yaad fir se aayi hai
lag raha hai jaise wo laut aayi hai

par ye sach nahi hai bas ek sapna hai
main tanha akele usi jheel k kinaare baitha hoon
wo apni duniya me kahin khush hai
jaane kyun baar baar uski yaad aati hai mujhe
aana hi hai to yaad kyun, wo kyun nahi
mujhe yaadon ki aadat na pad jaaye
ki jaao koi use mere paas le aao
ab nahi raha jaata uske bina
bin uske mujhe ab nahi hai jeena

koi poochhe jaake usse ki
kya main itna bura hoon
kyun ek baar bhi
use meri yaad nahi aati
kyun main rota hoon yahaan tanha akele
kya isiliye pyaar kiya tha mujhse
ki yun akela chhod jaaye yahaan
ab to meri saanse bhi chaahti hai
ki main azaad kar doon unhe
unhe bhi mera saath pasand nahi
tanha tha main tanha aaj bhi hoon....

No comments:

Post a Comment