Sunday, June 27, 2010


Wo Aaj Bhi Meri Lagti Hai

chaahne ke baad usko na hum chaah paaye the kisi aur ko,
bhulane ki koshish karke bhi na bhula paaye hain hum usko,
kuch to khaas hoga usme jo meri na hoke bhi meri lagti hai,
kuch to kami hogi mujhme jo meri hoke bhi wo meri nahi hai,

sau kamiyaan hongi usme par humne to usse mohabbat ki hai,
doston ne bhi khub samjhaaya par dost bhi dushman lagte hain,
maloom to humein bhi hai ki mohabbat hamesha andhi hoti hai,
par jaane kyun hum jaan bujhke duniya me mohabbat karte hain,

raah hum takte rahe ki wo aayegi ek din hamari duniya basaane,
aur wo hamaare hi saamne chali gayi kisi aur ka haath thaamke,
wo to aaj bhi mere seene me dil banke bahut tez dhadakti hai,
mujhe aaj bhi mohabbat hai usse, wo aaj bhi meri lagti hai...

1 comment:

  1. Bahut khoob Kapil ji,heart touching ad midblowing creation,mujhe hamesha aapke poems ka intezaar raheti hai.keep it up.madhu

    ReplyDelete