Wednesday, June 2, 2010

Kisi ke hothon ki muskaan ban sakta hoon

aaj itne ghum hain mere paas ki unhe bech k main lakhpati ban sakta hoon,
aasuon ki itni baarish hoti hai aankhon se ki main saagar ban sakta hoon,

aaj itna andhera hai meri zindagi me ki main har pal raat ban sakta hoon,
itni khamoshi hai meri dhadkano me ki main chain ki neend ban sakta hoon,

par ye na socho ki chahat ka naata khatam ho chuka hai hamari zindagi se,
zaraa koshish to karke dekho main ab bhi kisi ki mohabbat ban sakta hoon,

haan ehsaas hai mujhe ki is zindagi ne mujhe ghum ke siwa kuch bhi nahi diya,
par kyun is zindagi ko badnaam karun main bhi kisi ki zindagi ban sakta hoon,

zindagi ke safar me itni thokrein khai hain maine aur itna dard hai mere paas,
par jaane kyun mujhe lagta hai ab bhi kisi ke hothon ki muskaan ban sakta hoon.

1 comment:

  1. Wow wow wow Kapil ji.bahut khoob,heart touching lovely and mindblowing creation.kamaal ke likhte ho.ufffffffff ye tere likhe ki andaaz.hats off.madhu

    ReplyDelete