Sunday, June 27, 2010


Baras Jaayengi

aaj fir se wo kaali kaali ghatayein aasmaan me chhayi hai,
barasja paani banke warna mere aankhon se baras jaayengi,
kisi ki yaadon ne mujhe aaj fir se aake aise chheda hai,
lagta hai ki ab bhi wo yaadein aansoo banke baras jaayengi,

haan sach hai ki maine mohabbat ki thi usse, uski aankhon se,
to kyun ab aaj uski aankhein saath nahi hain saath nam hone ko,
chaha to usne bhi tha mujhe kabhi apni jaan se badhke,jaan samajhke,
par kya pata tha kabhi meri aankhen use dekhne ko taras jaayengi....

1 comment:

  1. Wah bahut hi dard aur khoobsurti se likha aapne Kapil ji,great work.keep up the good work.excellent.madhu

    ReplyDelete