Wednesday, June 30, 2010

Meri Mohabbat Hai Tu

jisse meri har subha roshan hoti hai,
suraj ki wo pehli kiran hai tu,

jisse mere pyaase dil ko raahat milti hai,
baarish ki wo pehli boond hai tu,

jisse mere zindagi ki thakaan dur hoti hai,
peepal ki wo thandi chaon hai tu,

jise dekh main zindagi ke safar pe chal raha hoon,
meri wo pehli aur aakhri manzil hai tu,

tere hi hone se to meri saanse chalti hain,
tu meri zindai hai, meri mohabbat hai tu...

Monday, June 28, 2010



Apni Muskaan Bachake Rakhna


na mil paayega tujhe dhundke humsa koi paagal sarfira aashiq kahin,
tu kisi hosh waale samajhdaar ke liye apni aashiqui bachake rakhna,

hum to wo aashiq hain jo aashiqui ke naam pe sirf aashiqui karte hain,
na pasand ho tujhe hum to jo ho pasand uske liye khudko bachake rakhna,

maangte rahe har lamha us rab se ki tu meri mohabbat bachake rakhna,
na suni usne meri fariyaad to kahaa usse tu meri arthi sajake rakhna,

jis bewafaa ko hum apni jaane tamanna jaane wafaa samajh baithe the,
kaha usse humne tu mere baad apne khushiyon ka sansaar sajake rakhna,

meri laash me bahane ke liye apni aansuon ke do boond bachake rakhna,
aur meri maut ke baad muskuraane ke liye apni muskaan bachake rakhna...

Sunday, June 27, 2010


Wo Aaj Bhi Meri Lagti Hai

chaahne ke baad usko na hum chaah paaye the kisi aur ko,
bhulane ki koshish karke bhi na bhula paaye hain hum usko,
kuch to khaas hoga usme jo meri na hoke bhi meri lagti hai,
kuch to kami hogi mujhme jo meri hoke bhi wo meri nahi hai,

sau kamiyaan hongi usme par humne to usse mohabbat ki hai,
doston ne bhi khub samjhaaya par dost bhi dushman lagte hain,
maloom to humein bhi hai ki mohabbat hamesha andhi hoti hai,
par jaane kyun hum jaan bujhke duniya me mohabbat karte hain,

raah hum takte rahe ki wo aayegi ek din hamari duniya basaane,
aur wo hamaare hi saamne chali gayi kisi aur ka haath thaamke,
wo to aaj bhi mere seene me dil banke bahut tez dhadakti hai,
mujhe aaj bhi mohabbat hai usse, wo aaj bhi meri lagti hai...

Baras Jaayengi

aaj fir se wo kaali kaali ghatayein aasmaan me chhayi hai,
barasja paani banke warna mere aankhon se baras jaayengi,
kisi ki yaadon ne mujhe aaj fir se aake aise chheda hai,
lagta hai ki ab bhi wo yaadein aansoo banke baras jaayengi,

haan sach hai ki maine mohabbat ki thi usse, uski aankhon se,
to kyun ab aaj uski aankhein saath nahi hain saath nam hone ko,
chaha to usne bhi tha mujhe kabhi apni jaan se badhke,jaan samajhke,
par kya pata tha kabhi meri aankhen use dekhne ko taras jaayengi....

Monday, June 21, 2010


Nahi keh sakte


kisi ke gunaahon ki sazaa kisi aur ko nahi de sakte,
kisi ki bewafai ke kaaran ishq ko dard nahi keh sakte,

ishq to meetha nasha hai to saanso me samaa jaata hai,
ek baar mar jaane se ishq ko zeher to nahi keh sakte,

kisi hawa ke jhaunke se dil tutke bikhar sakta hai,
par har hawa ke jhaunke ko toofaan to nahi keh sakte,

hote hain kuch log jo pyaar chhal ke liye karte hain,
par har aashiq ko iske liye bewafaa to nahi keh sakte,

khata wo hamari thi jo use waqt pe pehchaan na sake hum,
par iske liye hum khudko gunehgaar to nahi keh sakte...

Saturday, June 19, 2010


Mohabbat ya dard

kya mohabbat usi ka naam hai jisme hum tutke bikhar jaate hain,
kyun kisi ka sahara banne ki wajaye sahara maangte firte hain,
mohabbat karke hum itne drid ho jaate hain apne sankalpo mein,
fir kyun usi mohabbat ke tutne se hum khud bhi tut jaate hain,

mohabbat , ye naam sunne me bahut pyaara sa lagta hai,
par sach kaho kya sach me ye itna pyaara hi hota hai,
agar ye hota itna khoobsurat itna hi suhana to kyun fir,
mohabbat karne waala khud ko aansuon me hi dubota hai...

Wednesday, June 2, 2010

Kisi ke hothon ki muskaan ban sakta hoon

aaj itne ghum hain mere paas ki unhe bech k main lakhpati ban sakta hoon,
aasuon ki itni baarish hoti hai aankhon se ki main saagar ban sakta hoon,

aaj itna andhera hai meri zindagi me ki main har pal raat ban sakta hoon,
itni khamoshi hai meri dhadkano me ki main chain ki neend ban sakta hoon,

par ye na socho ki chahat ka naata khatam ho chuka hai hamari zindagi se,
zaraa koshish to karke dekho main ab bhi kisi ki mohabbat ban sakta hoon,

haan ehsaas hai mujhe ki is zindagi ne mujhe ghum ke siwa kuch bhi nahi diya,
par kyun is zindagi ko badnaam karun main bhi kisi ki zindagi ban sakta hoon,

zindagi ke safar me itni thokrein khai hain maine aur itna dard hai mere paas,
par jaane kyun mujhe lagta hai ab bhi kisi ke hothon ki muskaan ban sakta hoon.
Log bhool jaate hain

ab insaano me insaaniyat hi nahi rahi,
log khoon ke rishtey bhool jaate hain,

matlabi duniya aur matlabi log hain yahaan,
dosti karke log nibhaana bhool jaate hain,

mohabbat to bahut dur ki baat hai aajkal,
log pyaar se haath milana bhool jaate hain,

amiri garibi ka fark bahut jyaada hai,
log aaj apna astitwa bhool jaate hain,

kisi ko pahuchaye chot ka ehsaas kya hoga,
yahan to log qatl tak karke bhool jaate hain...

Tuesday, June 1, 2010

Muskaan

muskaan kabhi bazaaron me nahi hai bikti,
ye har kisi ke chehre pe nahi hai dikhti,
jisne arth samjha jeewan ka wahi samjhega,
ye lambe samay tak hothon pe nahi hai tikti...

Chahat

saare ghumo ka kaaran chahat hi to hai,
chahke bhi milti nahi raahat hi to hai,
ek ke poore hote hi dusre ki talash shuru,
jo nahi milti wo muskuraahat hi to hai...

Ajeeb bandhan

ye bhi ajeeb bandhan hai kisi aur ko chahne nahi deta,
chahte huye bhi ye kisi aur ko dil me aane nahi deta,
kisi se mohabbat kar ke usi se har rishta jod leta hai,
koshish karke bhi fir us rishtey ko bhulaane nahi deta...
Hum kuch na kuch likh lete the


jab tum mere saath thi hum mohabbat pe likh lete the,
tumhaari judai me hum tumhaare ghum me likh lete the,
ab na to tum mere saath ho na hi meri kalam meri hai,
kal tak tumhari yaadein thi to unhi pe likh lete the,

wo kuch haseen pal jo humne bitaayein hain saath mein,
wo kuch haseen khwaab jo hote the hamare din raat mein,
kya ise achcha kahun ya kahun bura soch raha hoon main,
yahi to kuch baatein thi jinhe soch ke hum likh lete the,

jane kyun tumhe bhul chuke hain tab bhi yaad karte hain,
aur jab tum humein yaad aati ho to bhulna chahte hain,
tumhaare jaane se tumhe bhulaake kalam se chahat ki thi,
tumhaare har andaaz ko soch kuch na kuch likh lete the,

ab to lagta hai kalam ko bhi kuch narazgi ho gai hai humse,
tumhaare chale jaane se kalam ko bhi nafrat ho gai hai humse,
ab tanha raaton ko khamoshi se tanhaayion me guzaar lete hain,
warna pehle ghum bhulaane ke liye hum kuch likh lete the...