beete huye kuch lamho k baare me,
sochta hoon kabhi kabhi main,
tanha apne hi soch k ghere me,
rehta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...
apne hi aasuon k samundar me,
tairta hoon kabhi kabhi main,
unhi aasuon se pyaas apni,
bujhata hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...
aaine me surat teri dekhke use,
todta hoon kabhi kabhi main,
aur usme apne dil k tute tukdo ko,
jodta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...
zindagi ke suney safar me tujhe,
dhundta hoon kabhi kabhi main,
raat ki tanhaiyon me tujhe,
mangta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...
paththar ki bani us murti ko,
poojta hoon kabhi kabhi main,
adhure kuch sapno k kaaran usse,
roothta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...
No comments:
Post a Comment