jis din main is duniya me aayi,
roti hui aankhen thi meri maa ki,
ghum k nahi wo khsuhi k the aansun,
aankhen tab nam thi meri maa ki,
us din se roti hai meri maa,
aaj bhi nam aankhen hain uski,
bachpan me mujhe chalna sikhaya,
maa ne hi maa kehna sikhaya,
mujhe agar kabhi chot lag jaati,
tab meri maa ki aankh bhar aati,
dard se tab meri maa roti thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,
jab padhne ko college jaana tha,
aur rehne mujhe hostel jaana tha,
maa ki gili aankhon ne mujhko,
us roz bhi rokna chaha tha,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,
jis din main bani thi dulhan,
tha mujhko duje ghar jaana,
saath apni maa ka chhodke,
tha ek naye ghar ko apnana,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,
sochti hoon kabhi kabhi main,
kya uska aansu se hai naata,
aaj main usse dur hoon itna,
tab bhi meri maa roti hai,
janam se mere roti rahi hain,
aaj bhi aankhen nam hain uski,
aaj main tere paas nahi hoon,
maa pochhle aaj aansu tu apne,
ek roz mujhe bhi to hai maa banna,
par chahti nahi hoon main yu rona,
ye baat sun k maa fir royi thi,
aaj bhi aankhen nam hain uski...
No comments:
Post a Comment