kal tak jo gulaab tere pyaar ko mehkaya karta tha,
aaj wo kisi kitab me dabkar ek adhuri kahani sunata hai,
hum to uski laali se tere hothon ko rangna chahte the,
usi ke laal rang se tera maang bharna chahte the,
kal tak jiski khushboo se mehekta tha aangan mera,
hum uski khushboo se saara jahaan mehkana chahte the,
wo gulaab jo suraj ki paawan dhup se dhul k aaya tha,
aaj murjhaake beete lamho ki katha sunaya karta hai,
duniya k saare rishte todke tujhko apnana chahte the,
hum teri mohabbat se saara jahaan rangna chahte the,
kal tak jiske khilne se chehra khil jaata tha tera,
hum tere har pal ko waisa khilta dekhna chahte the,
wo gulaab jo tune ek roz haath me mere thamaya tha,
bhule bhatke ab to bas wo teri yaad dilata hai,
hum to uski pankhudiyon se ehsaas jagana chahte the,
uski hi narmi se tere gaalon ko sehlaana chahte the,
kal tak jiske laal rang se holi rangta tha mera,
hum to usi rang se har tyohaar ko rangna chahte the,
kal tak jo gulaab hamare khushion ki gaatha sunata tha,
aaj wo kisi kitaab me dabke ghum k ghazal sunata hai,
hum to uske laal rang se pyaar ko rangna chahte the,
jeewan k har pal me tere saath chalna chahte the,
kal tak tere hone se na dard se rishta tha mera,
aaj tere na hone se bas wo hai jo na chahte the...
No comments:
Post a Comment