Sunday, August 6, 2017

Armaan Adhure Se


armaan kuch adhure se
is dil mein bhi machalte hain
kehnaa chaate hain baatein kai
magar jaane kyun chup reh jaate hain
aksar tanhaayi mein
dil mein angdaai lete hain
akele hi muskuraate hain
kisi ki tasveer dekhkar
dheere se kuch kehte hain
jaane kyaa , jaane kyun....

kabhi darte hain
kabhi ghabraate hain
kabhi thodi himmat karke
sab keh lenaa chaahte hain
magar kyaa, kaise kahein
bas yahi soch kar
chup se ho jaate hain
khaamosh reh jaate hain...

haan kuch armaan is dil ke
is dil mein bhi machalte hain
chhipaake dil mein kuch baat
aksar tanhaayi mein
khud se hi baatein karte hain
kehte hain jaane kyaa
bas paagal se yeh armaan
dil mein hi paagal bane rehte hain...

kyaa tumhe maloom hai?
kyun karte hain yeh aisaa paagalpan
kyun deewaane se huwe jaate hain?
poochho naa tum apne geele labon se inse
nashili aankhein dekhkar tumhaari
shaayad keh de kuch tumse yeh
dil ki saari baatein apni...

haan kuch armaan adhure se
is dil mein bhi machalte hain...


No comments:

Post a Comment