Saturday, April 25, 2015

Woh muskuraane lagte hain





kabhi dur jaate hain, kabhi paas aane lagte hain
kabhi kabhi humse hi aankhein churaane lagte hain

kabhi kehte nahi hain dil ki baat apni humse par
dekhte hain jab bhi humko, muskuraane lagte hain

pehle to chhedte hain humein ki rooth jaayen hum
jab rooth jaate hain, tab woh manaane lagte hain

koshish bahut karte hain hum, samajh jaayen unko
woh aksar humein baaton mein uljhaane lagte hain

kuch alag hi aadat hai unki, kyaa bataayen aapse
khud hi aag lagaakar fir woh bujhaane lagte hain

baatein karte rehte hain tasveeron se mere aksar
chhip ke mere hi geeton ko gungunaane lagte hain

jab poochh lete hain hum unse, kyaa mohabbat hai
apni aankhein jhukaa ke woh sharmaane lagte hain

paagal khud banaate hain humko apni adaaon se aur
woh humse kehte hain, hum ab deewaane lagte hain



No comments:

Post a Comment