Tuesday, April 28, 2015

Zindagi muskuraai bhi thi





jab pehli baar mili thi mujhse, shamraai bhi thi
jhuki jhuki si nazron se apne, muskuraai bhi thi

waise to ajeeb hi rang dikhaati rahi hai zindagi
hamaare hi dhun pe tab zindagi gungunaai bhi thi

aaj tak to kabhi huwaa nahi, hamaare saath aisaa
kismat ne shaayad hamaare tab li angdaai bhi thi

yun to aadat ho chuki thi tanhaa rehne ki humein
kuch pal hi sahi magar duur huwi tanhaai bhi thi

hum samajhte they ki kisi ko mohabbat nahi humse
dabey dabey paaon se chalke mohabbat aai bhi thi



Iraadaa kyaa hai



kyaa hai pooraa aur aadhaa kyaa hai
kyaa hai kam aur ab zyaadaa kyaa hai

tohfey mein humko ek khanjar de gaye
samajh hi naa aayaa ki iraadaa kyaa hai

unhone dil tak tod diyaa hamaaraa
kyaa hai kasam aur waadaa kyaa hai...



Saturday, April 25, 2015

Woh muskuraane lagte hain





kabhi dur jaate hain, kabhi paas aane lagte hain
kabhi kabhi humse hi aankhein churaane lagte hain

kabhi kehte nahi hain dil ki baat apni humse par
dekhte hain jab bhi humko, muskuraane lagte hain

pehle to chhedte hain humein ki rooth jaayen hum
jab rooth jaate hain, tab woh manaane lagte hain

koshish bahut karte hain hum, samajh jaayen unko
woh aksar humein baaton mein uljhaane lagte hain

kuch alag hi aadat hai unki, kyaa bataayen aapse
khud hi aag lagaakar fir woh bujhaane lagte hain

baatein karte rehte hain tasveeron se mere aksar
chhip ke mere hi geeton ko gungunaane lagte hain

jab poochh lete hain hum unse, kyaa mohabbat hai
apni aankhein jhukaa ke woh sharmaane lagte hain

paagal khud banaate hain humko apni adaaon se aur
woh humse kehte hain, hum ab deewaane lagte hain



Thursday, April 23, 2015

Jee lene do is lamhe ko





dekho naa kaise firse yeh udaas zindagi muskuraai hai
sangh hawaaon ke chalke aaj fir yaad tumhaari aai hai

humein to aadat si ho chuki thi tanhaai mein jeene ki
hawaa aaj sangh apne tumhaari hi khushbu leke aai hai

kyaa yeh haqeeqat hai, yaa khwaab koi haseen hai yeh
yaa shaayad sirf guzre huwe waqt ki koi parchhaai hai

jo bhi hai achchaa hai yeh, rang nayaa saa mausam kaa
aaj dil mein chhipe ehsaason ne, firse li angdaai hai

jee lene do is lamhe ko, alag saa nashaa hai is mein
warnaa kal se to fir wahi tanhaa hum, aur tanhaai hai



Thursday, April 9, 2015

Haseen koi anjaam dijiye






naa kijiye itni baatein
naa humpe yun ilzaam dijiye
hothon se chhoo kar apne
bas hothon kaa jaam dijiye

aapko hi dekhen har pal
hum aapko hi sochen har pal
aapko hi chaahte rehne kaa
bas humko ab kaam dijiye

aapki zulfon se khelun
main aapki godi mein so loon
aap aur main hi ho bas
humein aisi koi shaam dijiye

hum to aashiq hain aapke
aap par hi likhte hain hum
hamaari in baaton ko naa
aap shaayari kaa naam dijiye

'Hriday' to deewaanaa hai ji
jaanti aap bhi hain naa
mere is deewaanepan ko
aap haseen koi anjaam dijiye


Saturday, April 4, 2015

Unhe bhulaayaa naa gayaa





dil apnaa kisi aur se fir lagaayaa naa gayaa
bujhe chiraag ko fir kabhi jalaaya naa gayaa

samundar ki ret ko jamaa bahut kiyaa humne
magar ret se kabhi ghar banaayaa naa gayaa

har roz yeh sochaa unhe bhulaa denge magar
koshish karke bhi unhe bhulaayaa naa gayaa

dard bahut rahaa seeney mein hamaare magar
dard ko bas lafzon mein sajaayaa naa gayaa

mehfilein to khoob saji hamaari shaan mein
magar hum se hi kabhi fir gaayaa naa gayaa

koshish to bahut ki chaahne waalo ne hamaare
unke jaane ke baad bas muskuraayaa naa gayaa

woh hamaari nahi hai ab yeh jaante hain hum
bas dil ko hi apne yeh samjhaayaa naa gayaa


Gayi aadatein lagaa ke




kabhi paas aake mere to kabhi mukuraa ke
kabhi ehsaas dilaayaa, seene se lagaa ke

woh gudgutaati hui aayi zindagi mein jab
dil ko mere le gayi, mujhse hi churaa ke

usmein thaa jaadoo jo kaise main bataaun
sambhal naa paayaa fir main ladkhadaa ke

zindagi ko usne khushiyon se sajaayaa thaa
rang saare le gayi woh mujhse duur jaa ke

pehle main tanhaa thaa, ab firse ho gayaa
fark bas itnaa hai, gayi aadatein lagaa ke