Wednesday, February 12, 2014

Kyaa baat ho

yunhi kabhi chalte chalte woh mil jaayen to kyaa baat ho
zindagi mein fir ek baar unse mulaquaat ho to kyaa baat ho

hum to jee rahe hain hamaari zindagi bas jeene ke liye hi
humein jeene ke liye koi maksad mil jaaye to kyaa baat ho

hawaayein aaj bhi waisi hi hain jaise pehle chalaa akarti thi
magar in hawaaon mein mehek unki ghul jaaye to kyaa baat ho

thak gaye hain hum sooni si deewaaron se baat kar kar ke
koi hamaaraa bhi haal hum se aake poochh le to kyaa baat ho

chal rahe ho hum anjaan kisi raah par aankhein jhukaaye
nazar uthaate hi unkaa chehraa dikh jaaye to kyaa baat ho

khuli zulfen, gulaabi honth, sharbati aankhen nahi maangte
bas ek ehsaas hi ho unke kareeb hone kaa to kyaa baat ho

aadat chhoot gayi hai likhne ki unke chale jaane ke baad
humein fir se koi aake likhnaa sikhaa jaaye to kyaa baat ho

badi sooni hai zindagi hamaari ek unke chale jaane ke baad
kaash woh aake hamaari baahon se lipat jaayen to kyaa baat ho

No comments:

Post a Comment