Thursday, January 9, 2014

Main fir deewaanaa huwaa

barson baad jo teri yaadon kaa aanaa huwaa
chhalaktaa saa aankhon kaa paimaanaa huwaa

koshish ki rok len boondon ko aankhon mein
par boondon kaa bas yunhi beh jaanaa huwaa

jinhe dil ke sandook mein band rakhaa thaa
un yaadon kaa, aaj achaanak hi aanaa huwaa

naa koi dastak naa hi koi aawaaz di unhone
aa ke meri khaamoshi ko chhed jaanaa huwaa

yaad aayi woh teri gehri do aankhein humein
un aankhon mein hamaaraa doob jaanaa huwaa 

dhundte rahe hum saahil ko majdhaar mein 
aur saahil se meelon dur chale jaanaa huwaa

khoye kuch is tarhaa hum teri yaadon mein
hamaaraa firse khud ko bhool jaanaa huwaa

khud ko badal ke insaan banne chale the hum
'Hriday' firse tere kaaran deewaanaa huwaa

No comments:

Post a Comment