Saturday, September 1, 2012

Kaho naa

tum aaj bhi utne hi khoobsurat ho jitne kal the
wahi aankhen gehre samundar jaise
wahi honth muskuraate huye
wahi chehraaa maasoom saa
wahi hasee jo paagal kar de
kuch bhi to nahi badlaa

tum aaj bhi utne hi khoobsurat ho jitne kal the
wo maathe pe tumhaari safed bindi
wo aankhon me tumhaare kaajal
wo hothon ki laali tumhaare
wo gaalon ke dimple tumhaare
kuch bhi to nahi badlaa

tum aaj bhi utni hi meri ho jitni kal thi

kya huwa agar waqt ne humein judaa kar diya kuch palon ke liye
kya huwa agar hum na mile kuch saalon tak
dekho na, waqt ka hi to khel hai na ye
jo barson baad humein ek dusre ke saamne laa khadaa kiyaa
ek aise mod pe zindagi ke jab fir se main tanha hoon
aur tanha thik meri tarha tum bhi ho


kyun na hum apni tanhaayi ko fir se duur kar de
jo the gile shikwe unhe duur kar de
aao na , hum fir se kho jaaye ek dusre me
fir se kyun na hum mohabbat kar le
kuch is tarha karen mohabbat is baar
ki koi taqat jahaan ki na judaa kar sake
ho ek is baar hum to umra bhar ke liye


kaho na, kya tum saath doge mera is pal me
main tanhaa hoon, mera saath doge naa?
aaye ho is bar to hameshaa mere rahoge naa?
jaise pehle kehte the mujhe "jaanu"
fir se thik usi tarha kahoge naa?
tum mujhse fir se mohabbat karoge naa?
kaho naa... kaho naa....

No comments:

Post a Comment