Monday, September 3, 2012

Hum muskuraate rahe


hum khud ko parwaanaa samajh har baar chiraag me haath jalaate rahe
aur woh paani se aag bujhaane ke liye har baar humi ko rulaate rahe

kee koshish unhone duur jaane ki aur hum unke aur kareeb jaate rahe
aaye naa milne ek bhi baar humse par har baar banke yaad wo aate rahe

na samjhenge wo kabhi hamaare dard ko, ki hum kitnaa tadapte hain
bheegte rahe barsaat me aur usi me apne aansuon ko chhipaate rahe

shayad achcha lagta hai unhe ye dekh ki koi tadpe unke pyaar mein
yahi wajah hai wo duur reh ke humse humein is tarhaa sataate rahe

hum karte rahe yaad unhe subah se shaam, aur wo hume bhulaate rahe
karke bewafaai, meri bewafaai ke kisse mehfilon me wo sunaate rahe

kiyaa waadaa mujhse saath nibhaane ka umra bhar aur bhool gaye wo
na kar sake hum bewafaai aur unse kiye har kasam ko nibhaate rahe

No comments:

Post a Comment