Thursday, September 27, 2012

Main bhool paataa naheen

wo   chehraa   ab  bhi   nazar se duur jaataa naheen
bandhan pyaar kaa aasaani se  tut  paataa   naheen
maine  laakh   koshish  ki   bhulaane   ki  usko  lekin
kuch to hai khaas , main use  bhool  paataa naheen

har   naam    ke saath  naam uusi   kaa aataa rahaa
har khwaab  me  bas uusi ka  chehraa   aataa rahaa
lamhaa  ek   bhi    nahi   din kaa   aisa ki wo duur ho
haseen chehra uskaa  har lamhaa yaad  aataa rahaa

pyaari   aankhen     uski  jheel  si  ab  bhi  yaad hain
pyaari  baatein    uski    saari   ab   bhi     yaad  hain
bhoolaa kuch  bhi naheen main  usse duur jaake bhi
pyaari   mulaaquaatein    usse    ab   bhi    yaad hain

chaahaa  bahut  maine   mitaa du  har nishaani uski
dil  me  likhe   us     naam   ko  mitaa paataa naheen
tadap_ta  hai   dil    mera    aaj   bhi  use   yaad  kar
dil ka dard apne main  kisi ko dikhaa paataa naheen

pyaar tha mera , pyaar hai wo , pyaar rahega sadaa
wo duur hai , par ab bhi  mujhse  judaaa to naheen
hai yakeen mere yaaron  ko wo kabhi aayegi naheen
kaise  maanlu main baat unki, wo khudaa to naheen


Friday, September 7, 2012

Pyaar kiyaa thaa humne


ye naa humse poochho kyaa kyaa kiyaa thaa humne
kisi haseen se nazren do chaar kiyaa thaa humne

hasi kisi chehre ke liye jo kuch kiyaa thaa humne
aayi samajh baadme ki sab bekaar kiyaa thaa humne

bandhwaa ke jab plaster baithe rahe hum ghar me
raaye buzurgon ka sab sweekaar kiyaa thaa humne

wo tudwaake apni taang aaye us mohalle se dekho
jaane se pehle un ko hoshiyaar kiyaa thaa humne

tooti jab meri haddi to aayi akal apne thikaane
sochaa ye tab humne kyun pyaar kiyaa thaa humne

Thursday, September 6, 2012

Humein pyaar sikhaaa do


saagar ho tum, pyaar ke saagar, tum aake zaraa meri pyaas bujhaa do
pyaasaa hoon mohabbat ka main, shabnami hothon se do boond pilaa do

pyaar me dil ko jeeten hum kaise, humko zaraa tum ye to sikhaa do
kyaa karen hum jo chaahne lago tum, humko zaraa tum ye to bataa do

pyaar hi bhakti, pyaar hi pujaa, pyaar me tum humein jannat to dikhaa do
pyaar me hasna, pyaar me jeenaa, pyaar me humein mar jaanaa sikhaa do

aankhen tumhaari jheel ke jaisi, tum unme zaraa humein doob jaane do
tumhaare zulf ghane hain baadal jaise, unse boondon ko baras jaane do

chehraa tumhaaraa chaand ke jaisa, mere jeewan me tum chaandni kar do
indradhanush me rang hain jitne, utne rang mere jeewan me tum bhar do

likhne ko main likhta hi rehta hoon, tum aake zaraa likhna to sikhaa do
alfaaz mere sab bikhre pade hain, tum unse haseen koi ghazal to banaa do

dhadkane bhi khaamosh hai dekho, tum inko zaraa dhadaknaa to sikhaa do
tum aake mujhe seene se lagaa lo, is 'Hriday' ki dhadkan ko to badhaa do

Tuesday, September 4, 2012

Mohabbat naa karnaa


karke mohabbat kisi kaa jahaan kabhi aabaad nahi hotaa
na kare mohabbat jo wo dil ke haathon barbaad nahi hotaa
log dil behlaane ke liye mohabbat kar lete hain aksar
ek waqt ke baad dard ke siwaa kuch bhi to yaad nahi hotaa
Kareeb aajaao tum


dil ko apne naa tarsaao tum
meri baahon me aajaao tum

pyaas meri naa badhaao tum
hothon ko mere chhoo jaao tum

ho pyaar ki baarish kuch is tarha
ki pyar me hi bheeg jaao tum

badh jaaye tezi dhadkano ki
is tarhaa seene se mujhe lagaao tum

do jism ek jaan ho jaaye hum
mere itne kareeb aajaao tum...
Use yaad karta hoon main

uski tasveer ko dekh aaj bhi muskuraataa hoon main
uski yaadon se ab bhi apna dil behlaataa hoon main

naam uska ret pe likhtaa hoon mitaataa hoon main
mehfilon me geet uske aaj bhi gungunaataa hoon main

wo pehlaa pyaar meraa, jise aaj bhi yaad karta hoon main
mil jaaye firse wo mujhe, bas yahi fariyaad karta hoon main...

Monday, September 3, 2012

Hum muskuraate rahe


hum khud ko parwaanaa samajh har baar chiraag me haath jalaate rahe
aur woh paani se aag bujhaane ke liye har baar humi ko rulaate rahe

kee koshish unhone duur jaane ki aur hum unke aur kareeb jaate rahe
aaye naa milne ek bhi baar humse par har baar banke yaad wo aate rahe

na samjhenge wo kabhi hamaare dard ko, ki hum kitnaa tadapte hain
bheegte rahe barsaat me aur usi me apne aansuon ko chhipaate rahe

shayad achcha lagta hai unhe ye dekh ki koi tadpe unke pyaar mein
yahi wajah hai wo duur reh ke humse humein is tarhaa sataate rahe

hum karte rahe yaad unhe subah se shaam, aur wo hume bhulaate rahe
karke bewafaai, meri bewafaai ke kisse mehfilon me wo sunaate rahe

kiyaa waadaa mujhse saath nibhaane ka umra bhar aur bhool gaye wo
na kar sake hum bewafaai aur unse kiye har kasam ko nibhaate rahe

Sunday, September 2, 2012

Aakhri mulaquaat

us chaand ko main dhang se dekh bhi nahi paayaa thaa
ki boli wo, 'ye hamaari aakhri mulaaquaat hai,
kal main kisi aur ki ho jaaungi,
banke dulhan kisi aur ki,
main tumse duur, bahut duur chali jaaungi,
saath hamaaraa jo thaa bas yahin tak thaa,
main kal tumhaare nazron se duur chali jaaungi,

is chaand ko dekh lo dhang se tum aakhri baar,
kal amawas hai, raat ke andhere me main kho jaaungi,
judaa hoke tumse, main jaane kis jahaan me chali jaaungi,
wo kasme, wo waade, hamaare bas yahin tak the,
nibhaane ko kuch rishtey, kuch rishton ko tod jaaungi,
main tumhaari thi, ab kisi aur ki ho jaaungi,

na karnaa yaad mujhe tum, naa aansoo bahaanaa,
aa jaaye yaad kabhi to mujhe yaad kar muskuraanaa,
main yeh soch ke khush ho jaaungi ki tum khush ho,
jaanaaa, main nibhaa naaa saki, tum ye waadaa nibhaanaa,
chaahe ho ghum hazaar, tum sadaa muskuraanaa'

seene se lag gayi mere wo, kaske mujhe pakad ke
aansoo pochhte huye apne, boli 'main khush hoon,
na sochna ki main judaa ho ke tumse dukhi hoon,
sach kehti hoon jaanaa, main bahut khush hoon,
achcha hai roz roz ka ye ronaa, ye jhagdaa khatam ho,
khush rahen mere gharwaale, aur main bhi rahun,
maan li hai maine unki baat, main khush hoon,
thaam lungi kisi aur ka haath, main khush hoon'

fir bahut pyaar se mere gaaalon ko chumaa usne
ek baaar nahi sau sau baar mujhe chumaa usne
seene se lag ke mere kuch der shaant rahi
fir boli, 'waqt ho chukaa mujhe jaanaa hai,
yahin tak thaa saath hamaaraa, mujhe jaanaa hai,
jaake gharwaalo kaa saath mujhe nibhaanaa hai,
tod chuki hoon rishtaa tumse, ye unhe bataanaa hai,
jaanaa, nibhaa saa saki saath tumhaara mujhe maaf karnaa,
majboori hai meri, mujhe gharwaalo kaa saath nibhaanaa hai'


bas aur kyaa.... rahaa nahi mere paas kuch kehne ko
rahaa nahi kuch baaki aur mera sunne ko
wo aakhri baar mere gale lag ke chali gayi us din
wo chaand mere zindagi ki kho gayi us din
sach, fir uske baad amaawas hi rahaa har din

yaad hai ab to bas uskaa wo rota huwaa chehraa
aakhri baar mujhse milke jaataa huwaa chehraa
bholaanaa bahut chaahaa maine use par bhulaa naa sakaa
chaand thaa yaar meraa, chaand saa uaka chehraa............

Saturday, September 1, 2012

Kaho naa

tum aaj bhi utne hi khoobsurat ho jitne kal the
wahi aankhen gehre samundar jaise
wahi honth muskuraate huye
wahi chehraaa maasoom saa
wahi hasee jo paagal kar de
kuch bhi to nahi badlaa

tum aaj bhi utne hi khoobsurat ho jitne kal the
wo maathe pe tumhaari safed bindi
wo aankhon me tumhaare kaajal
wo hothon ki laali tumhaare
wo gaalon ke dimple tumhaare
kuch bhi to nahi badlaa

tum aaj bhi utni hi meri ho jitni kal thi

kya huwa agar waqt ne humein judaa kar diya kuch palon ke liye
kya huwa agar hum na mile kuch saalon tak
dekho na, waqt ka hi to khel hai na ye
jo barson baad humein ek dusre ke saamne laa khadaa kiyaa
ek aise mod pe zindagi ke jab fir se main tanha hoon
aur tanha thik meri tarha tum bhi ho


kyun na hum apni tanhaayi ko fir se duur kar de
jo the gile shikwe unhe duur kar de
aao na , hum fir se kho jaaye ek dusre me
fir se kyun na hum mohabbat kar le
kuch is tarha karen mohabbat is baar
ki koi taqat jahaan ki na judaa kar sake
ho ek is baar hum to umra bhar ke liye


kaho na, kya tum saath doge mera is pal me
main tanhaa hoon, mera saath doge naa?
aaye ho is bar to hameshaa mere rahoge naa?
jaise pehle kehte the mujhe "jaanu"
fir se thik usi tarha kahoge naa?
tum mujhse fir se mohabbat karoge naa?
kaho naa... kaho naa....

Khataa meri to nahi

reh ke bhi duur tumse chaahat kam naa hui, isme khataa meri to nahee
chaahat hui hai tumse hadd se bhi zyaadaa, isme khataa meri to nahee
Aakhri salaam

har mulaaquaat ki tarha wo mulaaquaat bhi kuch khaas thi
thi nahi, par lagaa mujhe ki us din bhi wo mere paas thi
maaloom na thaa wo us din mujhe aakhri salaam kehne aayi thi
leke waade mujhse khush rehne ka, meri khushiyaan chhinne aayi thi
Yaadein

tanhaa si is raat me, main aaj tanhaa baithaa hoon
dhundli si kisi tasveer ko yaad karne baithaa hoon

aaj firse un puraane dino ki yaad aa gayi
wo yaad, jo kai barso se bhulaaye baitha thaa
aaj jaane kahaan se un dino ki yaad aa gayi
wo milna usse chori chupke
wo baatein karna ghanto tak
leke uska haath apne haathon me
kehna dil ki baat usse
wo din bhi kitne khaas the
jab wo mere paas the
aaj un dino ki fir se yaad aa gayi....