Friday, August 10, 2012

Pukaar


haan mujhe ehsaas hai ki maine vaadon ko toda hai,
karke vaadaa mohabbat ka tumse, maine muh moda hai,

ek khwaab tha khoobsurat sa
tumhe aankhon me basaane ka
tumhaare sang muskuraane ka
chhoot jaaye chaahe duniya saari
akele hi saath nibhaane ka
khushi ke geet gungunaane ka

par kismat ka khel dekho
kya se kya ho ke reh gaya
jo thaa mere dil ke kareeb
wo begaanaa ho ke reh gaya
kami na hone di wafaa ki maine
aur wo mujhe hi bewafaa keh gaya
wo saath jeewan bhar ka dekho
tukdo me bikhar ke reh gaya

maaloom hai mujhe ki haath maine tumhaaraa chhoda hai,
wo kasme, wo vaade pyaar ke, un sabko maine hi toda hai,

par kya tumhe yaad hai
ek vaadaa jo tumhaaraa thaa
wo vaadaa jo tumhe nibhaanaa thaa
bhool jaaun agar main vaade apne
to tumko hi mujhe samjhaanaa thaa
kya huwa jo ek bhool mujhse hui
'maafi', ye to tumhaaraa hi gehnaa thaa
"jaanu tum bhool rahe ho apne vaade"
ye mujhe aake yaad dilaanaa thaa

tum hi kaho main akele saath nibhaaun kaise
judaa ho ke tumse main koi geet gaaun kaise
tum hi to mere har geet ke shabd the jaanaa
bina shabd ke main ab koi geet banaaun kaise
main tanha hoon, main ab muskuraaun kaise

ruk jaate tum, maanaa galti meri thi, maine dil toda hai,
karke vaade wafaa ke bich raah pe maine saath chhoda hai,

aajaao na , jaanaa ab to aa jaao naa,
reh ke duur mujhse, mujhe sataao naa,
maantaa hoon kasoor mera tha sab, par
aake jaanaa mujhe maaf kar jaao naa

ab na kabhi main tumhe tadpaaungaa
vaade mohabbat ke main nibhaaungaa
aake lag jaao mere seene se ek baar
to main fir se khulke muskuraaungaa
jaanaa, main fir se gungunaaungaa
main fir se khushi ke geet gaaungaa...

No comments:

Post a Comment