Tuesday, August 28, 2012

Kal raat ki kahaani


achcha thaa main duur tumhaari yaadon ko bhulaake
tumne aake fir puraane yaadon ko taazaa kar diyaa
bhool chukaa thaa main sab kuch tumhe bhulaake
tumne aake fir se un zakhmon ko taazaa kar diyaa...

Ek kahaani sunaataa hoon aaj... kal raat ki kahaani.....


raat phone ki ghanti baji
phone uthaayaa to ek awaaz sunai di
ek aawaaz jo kuch jaani pehchaani thi
ek aawaaz jo kuch puraani si thi
maine poochhaa "haanji aap kaun"
aawaaz aayee 'main wahi hoon
jo kabhi tumhaari deewaani thi'

kuch der main chup rahaa
kuch der main khamosh rahaa
fir kuch der ruk ke maine
himmat kar ke poochhaa usse
'kaho kaisi ho, kahaan ho'

fir kyaa thaa, bas baatein hi baatein
wo apni sunaati rahee
main apni bataataa rahaa
kyaa beetaa, kaisaa beetaa
waqt dooriyon ka kaisaa beetaa

lagaa hi nahi ek pal bhi ki wo duur thi
yun lagaa jaise kal ki hi baat ho
mere haathon me uskaa haath liye
uski aankhon me gum saa hoon
bas dekh rahaa hoon uske chehre ko
aur mujhe kuch hosh nahee
wo dheere se muskuraati hui
apne aanchal me apna chehra chipaati hui
dheere se boli 'chhodo na mera haath,
mujhe sharm aati hai,
chhodo na koi dekh legaa'
aur main use samjhaataa huwaa
'darti ho kya, 
pyaar karti ho na mujhse'
bharosa hai na mujhpe'

bas fir unhi yaadon me kuch is tarha kho gayaa
usse baatein karte karte kaise 
waqt beetaa pataa hi nahi chalaa
bas baatein karte rahe
khoob saari baatein

fir ehsaas huwa use bhi aur mujhe bhi
waqt waisa nahi hai jaisa thaa
hum saath the jab, tab jaisaa thaa
waqt badal chuka hai
sab kuch badal chukaa hai
wo haseen mulaaquatein
wo pyaari pyaari baatein
phone pe baat karte huye bitaai raatein
ab kuch bhi to waisa nahi hai jaisa tha
log badal gaye, rishte badal gaye
aaj na main uska hoon, na wo meri hai
naa ye bedard waqt bhi hamaaraa hai

inhi khayaalon me khoye rahe hum bahut der tak
aur fir khayaal aayaa raat bahut ho chuki hai
hamaare bich baat bahut ho chuki hai
baatein to itni thi ki kai raatein kam pad jaayen
wo kehti rahe, main sunta rahu
main kehta rahu, wo sunti rahe
par waqt ko dekhte huye humne phone rakh diyaa


jaane fir uska kya haal huwaa
mujhe raat bhar neend nahi aayi
poori poori raat wo yaad aayi
aur ab bhi usi ke khayaalon me hoon
khoyaa huwa hoon...

aakhir kyun....
kyun usne itne din baad yaad kiya..
akhir kyun?????

No comments:

Post a Comment