Friday, August 31, 2012

Mujhe pyaar karna nahi aayaa

us ehsaas ka kabhi zubaan se izhaar karna nahi aayaa
meri kamzori thi, mujhe kabhi pyaar karna nahi aayaa

kehte hain ki mohabbat me log tut_ke bikhar jaate hain
maine mohabbat to kiya, bas tut_ke bikharna nahi aayaa

koshish bahut ki maine, ki saath uskaa mil jaaye mujhe
shaayad usko kabhi bhi mujhpe aetbaar karna nahi aayaa

Thursday, August 30, 2012

Bewafaa


jiski tasveer se maine apna ghar sajaayaa thaa kabhi
aaj kisi aur ke ghar mohabbat ke diye jalaa rahi hai
karke tanhaa mujhe kuch palon ka bas saath nibhaake
meri mohabbat ke kisse kisi aur ko wo sunaa rahi hai

kahun to kyaa kahun main, kyaa uski main taarif karun
jis dil mein rehti thi kabhi aaj usi ko jalaa rahi hai
wafaa ki moorat thi wo, wafaa bhi usne khoob ki hai
kiyaa waadaa kisi se aur kisi aur ke saath nibhaa rahi hai
Main use bhulaanaa chaahtaa hoon


chaahaa thaa jise kabhi khud se badh ke
main use aaj bhulaanaa chaahta hoon
jiske kareeb aane ke liye koshish bahut ki
aaj us shaqs se main duur jaanaa chaahta hoon

par kaise? koi bata de mujhe kaise bhulaaun
main aankhen band karun to wo dikh jaati hai
raat mere khwaabon me wo nazar aati hai
mere har saans ke saath wo yaad aati hai
lagta hai mere paas baithe wo muskuraati hai

uske har ek ehsaas se duur jaanaa chaahtaa hoon
main use aaj bhulaanaa chaahtaa hoon
koi bataa de mujhe ki use bhulaaun kaise
main uski har ek yaad se duur jaanaa chaahta hoon

laal har gulaab ko dekh uski yaad aati hai
botal ke sharaab ko dekh uski yaad aati hai
din kaa koi ek lamha nahi jab wo paas naa ho
subah se lekar shaam tak uski yaad aati hai

nahi seh paataa ab main ye dard judaai ka 
main har ek dard ko bhulaanaa chaahtaa hoon
nahi hai raah koi ab duur usse jaane ka to
thodaa araam mile, isliye mar jaanaa chaahtaa hoon

Tuesday, August 28, 2012

Wo yaad aataa rahaa



uskaa chehraa mujhe khwaabon me nazar aataa rahaa
maine  bhulaanaa  chahaa par  wo   yaad aataa  rahaa

main ek  tarfaa  apni mohabbat  ko  nibhaataa  rahaa
dard ko dabaake  seene  me main muskuraataa rahaa

waadaa kiyaa thaa  usse   ki   bhool  jaaunga use main
use yaad rakhaa, bas us  waade   ko  bhulaataa  rahaa

chal  rahaa  hoon  main , manzil  ka  kuch  pataa  nahi
le chali  zindagi   jahaan   main  wahaan  jaataa rahaa

yakeen  hai ,  kabhi   to   milegi ,  kahin  to  milegi wo
bas is ummeed me main apne kadam badhaataa raaaa

par  kadam  kis  taraf  , zindagi   nahi   maut  ki  taraf
har ek  din  main  maut ke  aur  kareeb   jaataa  rahaa

sambhaalnaa chaahaa  mere   yaaron ne  bahut mujhe
main  apnaa  haath  unse  har baar  chhudaataa rahaa
Kya tum lautaa paaoge


kyaa tum mujhe meri khoi hui mohabbat lautaa paaoge
jo hoon main, kya tum mujhe is haal me apnaa paaoge
maaloom hai mujhe ki kuch rahaa nahi ab pehle jaisa
par kyaa tum firse sab kuch pehle jaisa banaa paaoge
Maine bhi kiyaa thaa pyaar


ye khayaal mere bhi dil me aayaa hazaar baar
aaakhir kabhi maine bhi usi se kiyaa thaa pyaar

wo chali gayi duur humse is ka ghum nahee
raaton ko wo khwaab banke aati rahi kai kai baar

thaa nahi bas me unke khud ko roknaa us pal
jaanaa thaa chali gayi chhod ke meraa ye sansaar

mumkin nahi ye mere liye ab saath unka nibhaa paanaa
par ye bhi sach hai ki aaj bhi hai unse pyaar beshumaar...
Kal raat ki kahaani


achcha thaa main duur tumhaari yaadon ko bhulaake
tumne aake fir puraane yaadon ko taazaa kar diyaa
bhool chukaa thaa main sab kuch tumhe bhulaake
tumne aake fir se un zakhmon ko taazaa kar diyaa...

Ek kahaani sunaataa hoon aaj... kal raat ki kahaani.....


raat phone ki ghanti baji
phone uthaayaa to ek awaaz sunai di
ek aawaaz jo kuch jaani pehchaani thi
ek aawaaz jo kuch puraani si thi
maine poochhaa "haanji aap kaun"
aawaaz aayee 'main wahi hoon
jo kabhi tumhaari deewaani thi'

kuch der main chup rahaa
kuch der main khamosh rahaa
fir kuch der ruk ke maine
himmat kar ke poochhaa usse
'kaho kaisi ho, kahaan ho'

fir kyaa thaa, bas baatein hi baatein
wo apni sunaati rahee
main apni bataataa rahaa
kyaa beetaa, kaisaa beetaa
waqt dooriyon ka kaisaa beetaa

lagaa hi nahi ek pal bhi ki wo duur thi
yun lagaa jaise kal ki hi baat ho
mere haathon me uskaa haath liye
uski aankhon me gum saa hoon
bas dekh rahaa hoon uske chehre ko
aur mujhe kuch hosh nahee
wo dheere se muskuraati hui
apne aanchal me apna chehra chipaati hui
dheere se boli 'chhodo na mera haath,
mujhe sharm aati hai,
chhodo na koi dekh legaa'
aur main use samjhaataa huwaa
'darti ho kya, 
pyaar karti ho na mujhse'
bharosa hai na mujhpe'

bas fir unhi yaadon me kuch is tarha kho gayaa
usse baatein karte karte kaise 
waqt beetaa pataa hi nahi chalaa
bas baatein karte rahe
khoob saari baatein

fir ehsaas huwa use bhi aur mujhe bhi
waqt waisa nahi hai jaisa thaa
hum saath the jab, tab jaisaa thaa
waqt badal chuka hai
sab kuch badal chukaa hai
wo haseen mulaaquatein
wo pyaari pyaari baatein
phone pe baat karte huye bitaai raatein
ab kuch bhi to waisa nahi hai jaisa tha
log badal gaye, rishte badal gaye
aaj na main uska hoon, na wo meri hai
naa ye bedard waqt bhi hamaaraa hai

inhi khayaalon me khoye rahe hum bahut der tak
aur fir khayaal aayaa raat bahut ho chuki hai
hamaare bich baat bahut ho chuki hai
baatein to itni thi ki kai raatein kam pad jaayen
wo kehti rahe, main sunta rahu
main kehta rahu, wo sunti rahe
par waqt ko dekhte huye humne phone rakh diyaa


jaane fir uska kya haal huwaa
mujhe raat bhar neend nahi aayi
poori poori raat wo yaad aayi
aur ab bhi usi ke khayaalon me hoon
khoyaa huwa hoon...

aakhir kyun....
kyun usne itne din baad yaad kiya..
akhir kyun?????
Tum yahin ho

in hawaaon ko chhooke ke maine mehsoos kiyaa tumko
lagaa kahin duur nahi, mere kareeb tum kahin ho

mehek udte dhool ki jab aati hai har subah
mehsoos kiya tumko, lagaa tum yahin kahin ho

ugte suraj ke saath, khilte phoolon ke saath
jahaan dekhun, jidhar dekhun, tum har kahin ho

khuli aankhon se tumhe dhundta hoon, dikhte nahi
aankhen band kar lu to lagaa tum yahin kahin ho

ho mere paas kahin, mere kareeb, meri saanson me
dhadkano ki tezi ne batayaa tum dhadkano me kahin ho

ho yahin paas mere, is baat ka ehsaas hai mujhe
aajaao mere saamne na chhipo, tum jahaaan kahin ho...
Kyaa khaas hai

tum kehte ho ki tumhe mere dard ka ehsaas hai
is dard ke siwaa kya hai aisa jo mere paas hai
kuch sukhe gulaab, kuch puraane khat hain bas
inke siwaa mere jeewan me kuch bhi nahi khaas hai

Monday, August 27, 2012

Wo yaad aataa rahaa


naa mere din ka thikaanaa rahaa naa hi mere raaton ka rahaa
kisi cheez ka apni jagah rehna huwa to uski yaadon ka rahaa

subah se lekar har shaam tak bas usi kaa chehraa yaad rahaa
aabaad huwaa har kisi ka jahaan, bas ek mera barbaad rahaa

suraj ki roshni me dekhaa, chaand ki chaandni me bhi dekhaa
ek mera yaar hai jo meri nazron se hameshaa gumshudaa rahaa

use galiyon me, chaubaaron me paagalon ki tarha dhundta rahaa
naa milaa mujhe kahin, jaane kahaan chhiptaa chhipaataa rahaa

main deewaanaa usko yaad karke, usse duur bas tadaptaa rahaa
wo duur kahin baith ke meraa dard dekh bas muskuraataa rahaa
Samajh paate nahee hum


tumhaare kareeb hoke bhee khush nahee the
tumse duur jaake bhi khush nahee hain hum

kaisa rishta hai tumse samajh paate nahee
sochte hain ki pyaar karte nahee hain hum

mohabbat kya hai ye shaayad maloom nahee
ya khud ko hi samajh paate nahee hain hum

tum kareeb rehte ho to qadar nahee karte
judaa hoke tumse reh paate nahee hain hum

ye koi jaadu hai yaa bas bhram is dil ka
koi samjhaa de, samajh paate nahee hain hum...
Pyaar kiye jaao


pyaar karte ho, tum bas unhi se pyaar kiye jaao
wo chaahe na karein par tum beshumaar kiye jaao
kabhi to nazar padegi unki tumhaari aankhon pe
unhe bhi pyaar ho, us din ka intezaar kiye jaao

Sunday, August 26, 2012

Main parwaanaa hoon

main parwaanaa hoon, shamaa ke aas paas hi nazar aaungaa,
aashiq hoon shamaa kaa, shamaa me jal ke hi mar jaaungaa...
Hum tumhe yaad karte hain

kaise bataaye hum tumse kyun aadhi adhuri mulaquaat karte hain,
shayad maaloom nahi tumhe ki hum rab se kya fariyaad karte hain,
sote hain raaton ko adkhuli aankhon se is ummeed me ki tum aao,
khaa ke kasam kehte hain hum tumse zyaadaa tumhe yaad karte hain...
Mohabbat

mohabbat bhi ajeeb cheez hai jo kabhi aansoo to kabhi muskaan deti hai,
khwaabon ko sajaati hai phoolon se aur milan kaa yeh paigaam deti hai,
tut_ne lagte hain kabhi jo judaai ke ghum me aashiq dil, tab
mohabbat kareeb aajaati hai aur mehboob ke haathon ko ye thaam leti hai....

Friday, August 24, 2012

Tumne dekhaa nahi shayad


tumne sham ko dekhaa, par udte dhool ko dekhaa nahi shayad
khaali kamre ko dekhaaa, khushboo ko mehsoos kiya nahi shayad
ghadi ko dekhaa, uske sui ki aawaaz ko sunaa nahi shayad 
khule aasmaan ko dekhaa, upar chaand ko dekha nahi shayad

mehsoos karke to dekho tum ek baar
us udte dhool me main hoon
kamre ki khushboo me main hoon
ghadi ki aawaaz me main hoon
upar us chaand me main hoon

main par pal, har lamhaa
bas tumhaare hi aas paas hoon
bas tum mehsoos kar ke dekho
tum jahaan jahaan jaaoge
bas mera hi saath paaoge

tumne dhyaan se dekha nahi shayad
hawaa ke saath main hoon
ghataa ke saath main hoon
dhoop ke saath main hoon
barsaat ke saath main hoon
tumhaare khwaabon me main hoon
har haqeeqat me main hoon
bas tum mehsoos kar ke to dekho
main tumhaare aas paas hi to hoon....
Main tumse pyaar karta hoon

pyaar tumse karta hoon, main tumpe hi marta hoon
roz raat khwaabon me tumhe baahon me bharta hoon
tumne meri aankhon ko, dhyaan se dekha hi nahee
pyaar kaa izhaar tumse main har baar karta hoon...
Kyaa kiyaa usne


mere chitaa ke aag se apna ghar roshan kiyaa usne
mere mohabbat ke badle me bas nafrat hi diyaa usne

taarif me uske likhna chaahaa koi ghazal maine aaj
aaj sabko bataa dun kyaa kya mere saath kiyaa usne

vaade kiye hazaaron sangh jeene marne ke mere saath
jaate jaate un sab vaadon ko khud hi tod diyaa usne

khat jo likhe the maine raaton ko jaag ke use kabhi
mere hi saamne unhe samundar me bahaaa diyaa usne

phool gulaab kaa diyaa tha maine pehli mulaaquaat pe
wo gulaab apne kitaab se nikaalke lautaa diyaa usne

jaate jaate mujhe naam diyaa bewafaa kaa jaane kyun
poochhne par mere sawaal ka jawaab tak naa diyaa usne

janaa thaa to jaati, aakhir wajah to bataa ke jaati wo
zindagi ke majdhaar me hi saath meraa chhod diyaa usne

tanhaa rehtaa thaa zindagi mein uske aane se pehle main
nibhaake saath kuch pal ka fir se tanhaa kar diyaa usne

meri wafaa ka, mohabbat ka dekho na kya silaa diyaa usne
karke vaadaa zindagi dene ki, sazaa-e-maut de diyaa usne
Maine pyaar kiyaa


dil ki baaton ko kabhi hothon pe aane na diyaa
maine bas dil hi dil mein us se hi pyaar kiyaa
kuch zamaane ka darr tha, kuch majbooriyaan thi
dil me jo baat thi dil me hi maine rehne diyaa

khud se to kehta hoon haan maine pyaar kiyaa
karke usse pyaar maine bolo kya gunaah kiyaa
paane ki khwaaish hai, par uspe koi zor nahee
dil me use basaake bas usi se maine pyaar kiyaa

uski gehri do aankhen jo, karti hai baatein wo
khwaabon me jab aati hai, kat_ti nahi raatein wo
aankhon kaa kaajal wo, uska urta aanchal wo
karun kyaa taarif uski, karti hai mujhe paagal wo

dil ke itne paas hai wo, meri kitni khaas hai wo
bas use keh nahi paataa, dil me mere ehsaas hai jo
usse maine pyaar kiyaa, subah se lekar shaam kiyaa
usi ka bas maine naam liyaa, aur kuch na kaam kiyaa

pyaar koi jurm hai to, jurm maine hai kar liyaa
haan main sabse kehta hoon aaj, maine usse pyaar kiyaa
pyaar kiyaa, pyaar kiyaa, maine to bas pyaar kiyaa
khud ko kaise rokun  ab main, maine usse pyaar kiyaa...
Mera naam nahee


geeton me meraa naam hai bas, dil me meraa naam nahee
mere liye tumhaare paas koi subah nahi, koi shaam nahee...

Zakhm dil ke


dil ke zakhmon ko hum kaagaz pe utaar lete hain
dard ke naam par hum koi ghazal likh lete hain
log padhke waah waah karte hain hamaare dard pe
aur hum unki waah waahi pe bas muskuraa lete hain
Aatm vishwaas


karo bharosaa khud pe to mushkilein aasaan nazar aayengi
raah ki saari rukaawatein khud ba khud duur ho jaayengi

waqt ke saath, zindagi ke har ek gunn ko sikh jaaoge tum
bahut jald khushiyaan bhi tumhaare sangh muskuraayengi

raah-e-zindagi me kai baar hum tut ke bikhar jaate hain magar
saath sahi humsafar kaa mil jaaye to raahen aasaan ho jaayengi

na daro aane waale waqt se mere dost, himmat rakho
dekhna saari mushkilein chutkiyon me hal ho jaayengi.....
Dard mohabbat ka


ye aadat hoti hai logon ki, wo vaade nibhaate nahee
dard mohabbat ka kya hai, ye baat samajh paate nahee

tod dete hain sheese se bane dil ko wo tukdon mein
hum laakh chaah ke bhi un tukdon ko jod paate nahee

tadapte hain us mohabbat ke liye jo kabhi thaa hi nahee
wo hamaaraa thaa nahee kabhi, ye baat samajh paate nahee

karte hain hum duwaayein uski hi khushi ke liye magar
maaf kar den use ye baat dil ko hum samjhaa paate nahee

ye mohabbat bhi ajeeb cheez hai kya bataayen iske baare me
ho jaataa hai kisi aise se jo mohabbat ka maan rakh paate nahee

ye aadat hoti hai logon ki, wo vaade karke nibhaate nahee
dard mohabbat ka kya hai, ye baat wo kabhi samajh paate nahee
Main darta hoon


main ab to meri khaamoshi se darta hoon
main tanha meri tanhaayi se darta hoon

kehta nahee kisi se main dil ki baat apne
sun na le koi har baat, main darta hoon

rota hoon bas us pal jab baarish hoti hai
dekh na le koi aansoo mere, main darta hoon

kehne ko kehta hoon bhulaa chukaa use main
aaj bhi dil se bas usi se pyaar kartaa hoon

yun to main darta nahi mar jaane se magar
maut ke baad ki zindagi se main darta hoon

main ab to meri khaamoshi se darta hoon
main tanha meri tanhaayi se darta hoon...

Tumhi meri mohabbat ho


main raat apne bistar pe jab karwat badalta hoon
har karwat ke saath bas tumhaaraa naam leta hoon
shayad tum sun nahi paati meri awaaz meri jaanaa
tumhi meri mohabbat ho, tumse ye kehta rehta hoon

Thursday, August 23, 2012

Main bhula nai


tere labo ki wo hasi main bhulaa nahi
tere saath ki wo khushi main bhula nahi
bhoolne ko to bhool chuka hoon sab kuch
par teri wo mohabbat main bhulaa nahi

tere pyari pyaari baatein main bhula nahi
saath guzri wo haseen raatein main bhula nahi
yaad hai mujhe jaanaa teri har ek baat
tujh sangh hui mulaquaatein main bhula nahi

tere saanson ki mehek main bhula nahi
tere hothon ki laali main bhula nahi
kaisi bhulu tujhe main ye tu hi bataa
jaanaa, teri koi baat main bhula nahi...
Koi aur deewaanaa kahaan hai


tu shamaa hai maanaa hum parwaane to naa hain
jal jaaye koi ishq me aisa zamaanaa kahaan hai

ishq pe qurbaan huye honge kai aashiq, magar
ishq me jeenaa hai humein mar jaanaa kahaan hai

bahut zyaadaa tujhe guruur hoga apne husn pe lekin
zamaane me mujh jaisa koi aur deewaanaa kahaan hai

tu husn ki mallika aur hum dil ke hain baadshaah
jung nahi, ye ishq hai, tujhe haraanaa kahaan hai

majnu bhi hai, parwaanaa bhi, romeo aur farhaad bhi
un sabhi ka naam hai yahaan, hamaaraa kahaan hai

dost hai tu, par bataa mohabbat me buraai to naa hai
karke ishq tujhse teri dosti ko bhulaanaa kahaan hai

Wednesday, August 22, 2012

Aa bhi jaao tum


khuli baahen hain meri, aa bhi jaao tum
aake seene se mere ek baar lag jaao tum

hothon ki laali apni yun naa chhipaao tum
zulfon ko chehre se thodaa to hataao tum

kaanpte hothon ko apne mere paas to laao tum
jaadu se adaaon ke mujhe yun naa sataao tum

sharbati aankhon ka mujhe ras to pilaao tum
aa ke kareeb itne ab yun naa sharmaao tum

rehke duur khade mujhse mujhe naa sataao tum
daud ke aa jaao janaa seene se lag jaao tum

khuli baahen hain meri, aa bhi jaao tum
aake seene se mere ek baar lag jaao tum
Tumse hi pyaar karte hain


tumhi to ho jispe hum aetbaar karte hain
haan hum bas tumhi se pyaar karte hain
tumhe maaloom na ho shayad ye baat lekin
hum tumhi se pyaar beshumaar karte hain

lo tumhaare saamne hum iqraar karte hain
aankhen tumhi se hum do chaar karte hain
miloge to tumhe seene se lagaake kahenge
haan hum tumhi se bas pyaar karte hain...

Koi mujhse pyaar karta nahee


hawaa kaa koi jhaunkaa mere aangan me thehertaa nahee
aur ek lamha tanhaayee ka hai jo kabhi guzartaa nahee
kitne mausam aaye, aake nikal gaye har baar ki tarhaa
ghum to bas itna hai ki koi mujhse pyaar kartaa nahee

Tuesday, August 21, 2012

Tum naa kehte the


tum naa kehte the ki meraa saath nibhaoge
tum naa kehte the ki tanha jee naa paaoge
rehna pade agar ek pal bhi duur mujhse to
tum naa kehte the ki kabhi reh naa paaoge

ab jee rahe ho kisi aur ke sangh khushi se
kya huwa vaadaa saath nibhaane ka tumhaaraa
paagal main hi thaa jo aaj bhi tanhaa hoon
tum naa kehte the ki meraa saath nibhaaoge

wo raatein mulaquaatein kyun bhool gaye tum
wo pyaar bhari baatein kyun bhool gaye tum
karke saath nibhaane ka vaadaa mujhse
kyun mujhe yun tanhaa chhod gaye tum

tum naa kehte the ki ye duniyaa bahut buri hai
ab tum ki kaho kyun duniyaa jaise ban gaye tum
tum naa kehte the ki mohabbat haseen khwaab hai
kyun us haseen khwaab ko bhalaa tod gaye tum

kyun mere haathon me liya haath bhool gaye tum
kyun un haseen palon kaa saath bhool gaye tum
kyaa bhoolne ke liye hi mile the tum mujhse
kyun mujhse ki huyi har ek baat bhool gaye tum

tum naa kehte the ki mujhe na bhulaa paaoge
tum naa kehte the ki har pal saath nibhaaoge
kya huwaa aaj tumhaari kahi un baaton kaa
tum naa kehte the ki har vaadaa nibhaaoge

tum naa kehte the ki main tum bin mar jaaungaa
tum naa kehte the ki main tut ke bikhar jaaunga
chalo tumhaari kahi baat hi maan lete hain
ab tum bin main ye duniyaa hi chhod jaaungaa

khush raho tum apne naye sansaar me
main tum bin tanhaa hi chaalaa jaaungaa
duwa karunga ki bas khushiyaan hi mile tumhe
aur main ab mitti ke sangh mil jaaungaa

tum naa kehte the ki.....
tum naa kehte the ki.....
Main pyaar kar loon

baitho mere paas main tumse baatein kar loon
chhoo loon tumko main tumhe mehsoos kar loon

haath tumhaaraa haath me leke baithun kuch pal
dekh tumko kuch pal tumhe aankhon me bhar loon

god me tumhaare sar rakh ke so loon kuch pal
baitho mere paas tumse thodaa pyaar kar loon

kho na jaao tum main tumhe baahon me bhar loon
chhoo ke geeley hothon ko main gulaab kar loon

kholdo zulfon ko apne main unse raat kar doon
tum bheeg jaao ishq mein aisi barsaat kar doon

baitho mere paas main tumse baatein kar loon
chhoo loon tumko main tumhe mehsoos kar loon
Ghazal likh dun


sochaa ki aaj koi ghazal me tumhaare naam likh dun
dil me jo bhi baatein hain main wo tamaam likh dun

zulfon ko main tumhaare haseen koi shaam likh dun
hothon ko main tumhaare nashe ka koi jaam likh dun

dil pe apne naam tumhaaraa main sar-e-aam likh dun
tumse hi aaghaaz tumhi mere har ek anjaam likh dun....

Aajaao


aajaao aaj barson ki dooriyon ko mit jaane do,
saanson ko kuch palon ke liye thahar jaane do,
meri mohabbat me doob jaao tum kuch is qadar,
khud ko meri baahon me tutke bikhar jaane do...
Khwaab


khoobsurat se kuch khwaab raaton ko aksar jagaa jaate hain,
aake khwaabon me mere sanam mujhe aksar gudgudaa jaate hain,
wo ehsaas unki mouzudgi ka kitna pyaara hai kya bataaye hum,
aake kareeb mere kaano me mohabbat ke geet gungunaa jaate hain...
Kabhi to


jaane kitne hi baar hamaaraa naam likh ke mitaaye honge
kabhi to hum aapko hadd se bhi zyaadaa yaad aaye honge

dekh chidiyon ke jode ko kabhi to aap muskuraaye honge
kabhi to aap lehron ke sang beh jaane ko lalchaaye honge

takiye ko seene se lagaake jaane kitni baar aap soye honge
yaad me hamaare aap hazaaron baar band kamre me roye honge

hamaare poochhne pe kehte hain ki mohabbat nahi karte aap
aur humse milne ki ummed me jaane kitne diye jalaaye honge

kabhi na kabhi jarur aapke haseen khwaabon me aaye honge
aake khwaab me aapko hum apne seene se tab lagaaye honge

kabhi to aap mere geeton ko apne hothon pe sajaaye honge
jaanaa, kabhi to hum hadd se bhi zyaadaa yaad aaye honge...

Monday, August 20, 2012

Dard aashiqui kaa


dard aashiqui ka main kyaa bataaun tumhe
daag zakhmo ke main kaise dikhaaun tumhe

aadat hai tumhaari khel jaate ho har baar
dil khilona to nahi kaise samjhaaun tumhe

na milo mujhse to dard kam hota hai mujhe
milke bichhadne ka dard kaise bataaun tumhe

geelaa rumaal tha mera ye tumne dekha magar
geelaa aansuon se tha ye kaise samjhaaun tumhe

tum bin kaise din guzarte hai mere jaanaa
ye baat likh ke geeton me kaise bataaun tumhe

dard aashiqui ka main kyaa bataaun tumhe
daag zakhmo ke main kaise dikhaaun tumhe...

Saturday, August 18, 2012

Mera dard

har ek muskaan ke pichhe chhipa rehta hai
ek aisa shaks jo bahut duur rehta hai
yun to kabhi yaad uski aati nahi humein
par wo har lamha mere dhadkano me rehta hai

koi aisa jiske hasne se haste the kabhi
wo shaks jiske aansuon pe rona aataa tha
wo jo dil ke bahut kareeb tha mere kabhi
wo shaks jisse jude the mere har ek ehsaas

main aaj bhi unhi yaadon ke samundar me hoon
tairke nikalne ki koshish karta hoon har baar
par har ghadi aur zyaadaa doobta chalaa jaataa hoon
duur jaane ki koshish me aur kareeb hota chalaa jaataa hoon

ek shaks jisne khwaabon me aa aaa ke neenden gum kar di
ek shaks jisne saanson me samaake dhadkane tez kar di
agar mil jaaye kahin wo mujhe yunhi chalte chalte kabhi
poochhunga usse ki kya kasoor tha mera jo yu chhod gaye
kya saath isi liye nibhaayaa tha kabhi ki chhod jaaoge
muskaan chehre pe laaye the ye soch ke ki kabhi rulaaoge

kyun meri zindagi me aake meri khushiyon ko mujhse duur le gaye
le jaanaaa tha meri jaan le jaate, kyun meri muskaan le gaye
jise chaaha tha khud se badh ke maine kabhi
kyun wo mujhe bhulaake meri aaakhon me ansoo chhod gaye

kya mohabbat isi ka naam hai ki kisi ko tadapta chhod jaaye
nibhaake saath kuch lamhon ka use tanha chhod jaaye
suna tha kisi se ki mohabbat to ek khoobsurat ehsaas hai
par maaloom an huwa mujhe ki ye to kuch aur hi hai....

Friday, August 17, 2012

Kya ye mohabbat hai


kyun udaas sa rehta hoon main aajkal 
wo kabhi to ye baat poochhenge humse
achche nahi lagte hain hum gumsum se 
ye baat kabhi to jarur kahenge humse

kuch khayaal aise hi mere dil me aate jaate hain
kuch unki yaadon me doobke hum muskuraate hain
kabhi kho jaate hain hum unki tasveer me aur
kabhi unhi ke naam se khushi ke geet gaate hain

haan humein mohabbat nahi hai usne ye kehte hain
aur tasveer se unhi ke baatein karte rehte hain
ye kaisa ajeeb ehsaas hai jo ho ke bhi nahi hai
kuch dil me rakhte hain kuch zubaan se kehte hain

dekh le unhe to bas unhe dekhte hi reh jaate hain
chaah ke bhi hum unse kuch bhi nahi keh paate hain
mil lete hain unse banke koi khaas dost unke magar
jo rishta hai unse mera wo samjhaa nahi paate hain

log kehte hain ki hum kahi baaton ko dohraate hain
maaloom nahi dil ki baaton ko kaise chhipaate hain
koshish bahut karte hain ki pataa na chale kisi ko
par hum har kisi ko apne dil ka haal sunaate hain......

Thursday, August 16, 2012

Maangte kya hain


wo meri aankhon me doobke dekhte kya hain
aaina hai dil mera, wo talaashte kya hain

dil me jo bhi baat thi mere sab keh chuka
meri khaamoshi ki wajah poochhte kya hain

saans kya cheez hain jaan tak main de dun
mujhse wafaa ki nishaani maangte kya hain

wo hi hain sab kuch mere, unse hi ye jahaan
unke siwaa hum yahaan pehchaante kya hain

kar chuke hum apni mohabbat ka izhaar unse
ab to unke iqraar ke siwa maangte kya hain

aye khuda! haathon  me mere haath ho unka
fariyaad me  unke  siwaa maangte kya hain
Kya rakhaa hai


kya rakhaa hai in geeton mein, baaton mein, 
kya rakhaa hai bekaar ki mulaaquaaton mein,
mil paaun jo unse ji bharke to bahut hoga,
kya rakha hai bhalaa pyaar ki sougaaton mein... 

Tuesday, August 14, 2012

Bheegi si barsaatein


kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi se ye raatein hain
ho sanam tum mere saath mein
bheegi hui si mulaaqaatein hain

bheege huye mausam me aaj mujhe
tumhaare sangh bheeg jaane do
chhoo lene to tumhaare hothon ko
tumhaare zulfon me kho jaane do
bheegi hui barsaaton mein
kuch bheege huye se armaan hain
kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain

bheege huye labon se tumhaare
mere labon ko aaj bheeg jaane do
makhmal se naram gaalon ko tumhaare
zaraa haath to mujhe lagaane do
bhar loon tumhe main baahon me
aaj bheege huye hum dono hain
kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain

in kaajal si kaali raaton me
koyal si pyaari teri baaton me
ghum ho jaaun main kuch is tarha 
bheege huye in mulaaqaaton mein
bheega huwa mausam bhi hai
bheega huwa hai ye jahaan
kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain

saagar jaisi teri aankhon me
doob jaaun main kuch is tarha
chaahun tairke agar nikalna main
na nikal sakun teri aankhon se
ye bheegi hui teri aankhen hain
ye bheegi hui teri baatein hain
kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain

sar se lekar tere paaon tak
jaise bheegi hai tu sharaab mein
hothon ko tere main chum loon
jo bheege huye hain gulaab mein
bheegi hui teri khoobshoo hai
bheege huye kuch hum bhi hain
kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain

in bheegi hui barsaaton mein
tu bheeg jaane de mujhko aaj
in bheegi hui si raaton me
tu bheeg jaane de mujhko aaj

kuch bheegi si barsaatein hain
kuch bheegi si ye raatein hain...
Baat kya hai


jo hothon pe aake ruk jaaye wo baat kya hai
piya na ho baahon me bhalaa wo raat kya hai

yaadon se badh ke jahaan me saugaat kya hai
haathon me na ho haath wo mulaquaat kya hai
Main nikal jaaungaa


main shaam hoon, kuch hi pal me dhal jaaungaa
ek andhera hoon, kuch hi pal me nikal jaaungaa
kyun darte ho meri moujudgi se, daro mat tum
ek bura sapna hoon, pal bhar me nikal jaaungaa...

Monday, August 13, 2012

Use chaahta hoon main


haathon ki lakeeron ko dekh kabhi kabhi sochta hoon main,
kyun nahi wo milti jise hadd se zyaadaa chaahta hoon main,
meri har duwa me bas usi ka naam hota hai aur kuch nahi,
kuch nahi chaahta, bas uska ta-umra saath chaahta hoon main...
Mujhe intzaar hai


karte hain intzaar sab apne mehboob ka
mujhe intzaar hai pooran ke chaand ka
karke gayi thi waadaa wo 
aayegi pooran ki raat ko
ab to intzaar hai mujhe
ki pooran ka chaand ho
sar pe aasmaan ho
pooraa wo chaand ho
niche is zameen par
mera chaand mere saath ho

bas wo mere saath ho
haathon me uskaa haath ho
khoob barsaat ho
aur lambi wo raat ho
leke usko baahon me main
baithun saari raat wo
mujhe intzaar hai ki
aisi koi raat ho
mujhe intzaar hai pooran ki wo raat ho
baithun uske sangh main aur meri uski baat ho

karte hain intzaar sab apne mehboob ka
mujhe intzaar hai pooran ke chaand ka...

Dil humein sataataa hai


dil hi hasaataa hai, dil hi rulaataa hai,
judaa karke fir se dil ki milaataa hai,

kabhi to tadapta hai mohabbat ke liye ye,
kabhi mohabbat ko koi gunaah batataa hai,

paagal sa hai dil jo kuch samajhtaa nahi,
ye dil humein bahut zyaadaa sataataa hai, 

dil hi hasaataa hai, dil hi rulaataa hai,
judaa karke fir se dil ki milaataa hai....
Jo subah tera nazar aanaa huwaa


jo aaj baazaar me subah teraa nazar aanaa huwaa,
in sukhe huye hothon ka firse muskuraanaa huwaa,

dekh mujhe jo tere aankhon ka sharmaanaa huwaa,
mere is dil pe kisi chhuri ka chal jaanaa huwaa,

bheege hothon se tere jo kuch badbaraabaa huwaa,
haaye, bas pal bhar me hi mera mar jaanaa huwaa,

tere zulfon ka apne chehre par se hataanaa huwaa,
bhari dopahari me chaand ka nazar aajaana huwaa,

angdaai leke jo pichhe mud ke tune dekha mujhe,
khade khade mera ladkhadaa ke gir jaanaa huwaa,

uffff, ye husn tera aur ye qaatil adaayen teri,
kitne aashiqon ka tujhe dekh jaan se jaanaa huwaa,

sharmaa jaaye gulaab bhi tere gaalo ki laali dekh,
jo sajdhaj ke tera kisi bagiyaa se hoke jaanaa huwaa,

kya bataaun aaj tujhe dekh mera kaisa haal huwaa,
bin chooye kisi jaam ko mera behek jaanaa huwaa,

guzri to tu mere kareeb se jaanaa aaj subah,
teri khooshboo me mera aaj mehek jaanaa huwaa,

jo aaj baazaar me subah teraa nazar aanaa huwaa,
in sukhe huye hothon ka firse muskuraanaa huwaa...

Saturday, August 11, 2012

Meri soch

main aksar meri ek soch me kho jaataa hoon
laut ke un puraane panno me jeewan ke
main kabhi kabhi na jaane kyun kho jaataa hoon
sochta hoon, jo huwa kya wo theek tha
ya jo raha hai ab wo thik hai

soch meri mujhe majboor kar deti hai
ki main gum ho jaaun fir se un dino me
un guzren huye lamhon ke andhero me
main aksar doob jaataa hoon apni soch me


wo lamhe jo guzaare the unke sangh humne
wo kasme jo kabhi khaai thi unke sangh humne
wo kasme, wo vaade tut gaye, galti kiski thi
jo chhoot gaya saath unka , galti kiski thi

kho jaataa hoon aaj bhi usi soch me main aksar
ki jo paayaa wo sahi hai, ya jo khoya wo sahi tha....
Tumse milne ka bahaanaa naa raha

har shaam tumse milne ka bahana na raha,
aaj mere geeton me wo ehsaas na raha,
kabhi paon tale mere zameen na rahi,
kabhi sar pe mere aasmaan na raha,

kabhi baarish to kabhi aansoo me nahaata raha,
apne ghamon ko kuch is tarha bhigota raha,
mere apne jo bhi the wo mere apne na rahe,
zindagi me mere koi sahaara na raha...
Main tumhaaraa saath chaahta hoon

main haathon me bas tumhaara haath chaahta hoon,
umra bhar ke liye tumhaaraa saath chaahta hoon,
paake tumhe main paa loon ye jahaan saaraa,
pyaar bhari tumse ek do mulaaquaat chaahta hoon.....
Tasveer se dil behlaa leta hoon

tumhaare hone ke ehsaas se muskuraa deta hoon
tum ho paas, soch ke main khush ho leta hoon
ye kaisi deewangi hai meri samajh paataa nahi
naa dekh ke bhi tumko main tumhe dekh leta hoon

dekh tumhaari tasveer tumse baatein karta hoon
haathon se apne tumhaare hothon ko chhoo leta hoon
tumhaare na hone par bhi tumhaaraa ehsaas to hai
main tumhaari tasveer se hi dil behla leta hoon...
Mujhe mohabbat hai tanhaayi se

main tanha hoon, mujhe mohabbat hai meri tanhaayi se,
kyun milte ho pal bhar ke liye, dar lagta hai judaai se...
Tum zindagi ban gaye

meri saanson se mehek tumhaari aane lagi hai ab to,
ek ehsaas se tum jaane kaise meri har khushi ban gaye.
dhadakta hai ye dil mera ab tumhaare hi naam se, aur
tum jaan-e-jaanaa, mohabbat se meri zindagi ban gaye...
Wo kal aa jaayegaa

aayaa nahi hai wo aaj to kyaa, kal aajaayegaa,
id ka chaand hai, kabhi kabhi hi nazar aayegaa,
tum aankhen bichhaaye baithe ho jiski raahon me,
wo dil ka sukoon banke kal tumhe dikh jaayegaa...

Friday, August 10, 2012

Tum door ho ke bhi kareeb ho


kuch kuch haalat meri bhi tumhare jaisi hai
har chehre me tumhaaraa chehra
aisa lagta hai ki tum aas paas ho
yahin kahin ho, bas ek baar bulaaun main
aur tum chale aao
aake lag jaao mere seene se
aur kaho "jaanu, tum mere ho"

andhere kamre me roshni nahi karta 
is dar se ki tum chali na jaao
roshni me mujhe sab kuch dikhta hai
par andhere me bas tumhaari tasveer hoti hai
wo tasveer jo mujhe kareeb bulaati hai
tum ho yahi kahin, aisa mehsoos karaati hai

main jab waqt milta hai so jaataa hoon
bas isi ummeed se ki tum aaoge
tum mere khwaabo ko aake sajaaoge
haqeeqat me tum nazar nahi aate ho
par khwaab me aake mujhe chhed jaate ho

ye ehsaas tumhaare hone kaa
aake mere khwaabon me mujhe bhigone ka
apni zulfon me mujhe chhipaane ka
aur chupke se mere gaalo ko chho jaane ka
wo ehsaas tumhaare naram hothon ka
wo ehsaas tumhaare garam saanson ka
mujhe tadpaa ke paagal banaa jaata hai
mujhe bataate hain tum yahi ho
mere kareeb yahin kahin ho

ab to bas ye intzaar hai ki 
aake baahon me tumhe bhar loon
seene se lagaa loon tumhe
aur jee bhar ke pyaar kar loon
ye ghadiyaan intzaar ke kat_te nahi
aur ye baadal dooriyon ke hat_te nahi

kehta hoon in lamhon se ki guzar jaaye
ki wo waqt aajaaye kareeb ki tum milo
ho ghadi milan ki aur tum milo
tumse judaa hoke haal kuch ajeeb sa hai
dil to kehta hai ki tum kareeb ho
aur dimaag samjhaataa hai ki tum nahi ho
tum kahin nahi ho, tum kahin nahi ho....
Main paththaron ko tutte dekha hai


maine paththaron ko tut ke bikharte dekha hai,
zindagi ko maine maut ke liye marte dekha hai,
na ho samajh use mohabbat ki aaj to kya huwa,
maine paththar dil waalon ko pyaar karte dekha hai...
Jee lene do


aaj gaane do, dil me jo hai mere, wo sunaane do,
ud rahaa hoon badalon ki bheed me, mujhe udne do,
kho jaaun inme kahin main aaj, mujhe kho jaane do,
ladkhadaa jaaun, naa roko, khud se sambhal jaane do,

aaj main nashe me hoon, mujhe doob jaane do,
saahil ki talaash nahi mujhe, majdhaar me rehne do,
bheed me duniya ke tha ab tak, ab tanha ho jaane do,
main jaaun kahin bhi, naa roko mujhe, kho jaane do,

main deewaanaa hoon, mujhe hadd se guzar jaane do,
aaj mujhe gaane do, dil ke geet mujhe sunaane do,
rang me indradhanush ke mujhe aaj rang jaane do,
le jaaye kahaan ye pawan mujhe, uss sang jaane do,

main paagal hoon aaj, paagalpan me doob jaane do,
pee loon main aaj itna ki na hosh rahe, pee lene do,
ab tak mar raha tha main, zaraa aaj mujhe jee lene do,
na roko aaj mujhe, jo jee mein hai mere kar lene do,

aaj mann mera chaahe khul ke hasna, ise aaj has lene do,
kya pata ye pal na rahe kal tak, mujhe aaj jee lene do,
gaane ka mann hai mera aaj, mujhe gaa lene do,
na rahe kal ye zindagi,  mujhe aaj jee lene do...
Kuch to baat hai


baith akele me muskuraati hai wo kuch to baat hai,
aati nahi neend raaton me use ki kuch to baat hai,

chhupaati hai mujhse apne dil ki wo baat magar,
aakhon ko uske padh ke lagaa ki kuch to baat hai,

aaine ko dekh usse baatein karti hai subah shaam,
sajti hai, sawarti hai, to laga kuch to baat hai, 

jhoom uth_ti hai baarish ke aane ke ehsaas se wo,
bheeg jaati hai wo har baar ki kuch to baat hai,

baat karti hai sakhiyon se kuch ajeeb se aajkal,
uske badle mizaaz kyun hai, kuch to baat hai,

baat chaahe na kahe humse wo, marzi hai uski,
par hai yakeen humein is baar kuch to baat hai....
Wo dauda chalaa aayegaa


dil ki har dhadkan me hai, wo labon tak utar aayega,
dil tera uski yaad me tadapke yun geet gaayegaa,
wo tadapke reh jaayegaa, tere geeton ki aawaaz mein,
todke saare bandhano wo tere paas daudaa chalaa aayegaa...
Tere liye


tere liye hi main gaataa hoon,
tere hi geet gungunaataa hoon,
dhadkan bhi tu, saanse bhi tu,
tere liye hi muskuraataa hoon,

tujhse hi jeena, tujhse hi marna,
tere liye sab kuch main karta hoon,
jaan le tu ye baat meri jaanaa,
tujhpe hi to main bas marta hoon,

tere liye mere hothon pe baatein,
tere liye bas hain meri raatein,
yun to kisi se main milta nahi,
teri liye meri har mulaquatein...
Pukaar


haan mujhe ehsaas hai ki maine vaadon ko toda hai,
karke vaadaa mohabbat ka tumse, maine muh moda hai,

ek khwaab tha khoobsurat sa
tumhe aankhon me basaane ka
tumhaare sang muskuraane ka
chhoot jaaye chaahe duniya saari
akele hi saath nibhaane ka
khushi ke geet gungunaane ka

par kismat ka khel dekho
kya se kya ho ke reh gaya
jo thaa mere dil ke kareeb
wo begaanaa ho ke reh gaya
kami na hone di wafaa ki maine
aur wo mujhe hi bewafaa keh gaya
wo saath jeewan bhar ka dekho
tukdo me bikhar ke reh gaya

maaloom hai mujhe ki haath maine tumhaaraa chhoda hai,
wo kasme, wo vaade pyaar ke, un sabko maine hi toda hai,

par kya tumhe yaad hai
ek vaadaa jo tumhaaraa thaa
wo vaadaa jo tumhe nibhaanaa thaa
bhool jaaun agar main vaade apne
to tumko hi mujhe samjhaanaa thaa
kya huwa jo ek bhool mujhse hui
'maafi', ye to tumhaaraa hi gehnaa thaa
"jaanu tum bhool rahe ho apne vaade"
ye mujhe aake yaad dilaanaa thaa

tum hi kaho main akele saath nibhaaun kaise
judaa ho ke tumse main koi geet gaaun kaise
tum hi to mere har geet ke shabd the jaanaa
bina shabd ke main ab koi geet banaaun kaise
main tanha hoon, main ab muskuraaun kaise

ruk jaate tum, maanaa galti meri thi, maine dil toda hai,
karke vaade wafaa ke bich raah pe maine saath chhoda hai,

aajaao na , jaanaa ab to aa jaao naa,
reh ke duur mujhse, mujhe sataao naa,
maantaa hoon kasoor mera tha sab, par
aake jaanaa mujhe maaf kar jaao naa

ab na kabhi main tumhe tadpaaungaa
vaade mohabbat ke main nibhaaungaa
aake lag jaao mere seene se ek baar
to main fir se khulke muskuraaungaa
jaanaa, main fir se gungunaaungaa
main fir se khushi ke geet gaaungaa...

Thursday, August 9, 2012

Pyaar aayaa

teri maasoom si baaton me mujhe pyaar nazar aayaa,
jahaan bhi dekhun, har taraf tu hi tu nazar aayaa,
tujhe dekhun, tujhe chaahun, tujhe god me le loon,
tere aane se mera jeewan khushiyon se jagmagaayaa....
Tumhaaraa intzaar kar rahe hain


dekho wo kaale badal kaise tumhe nihaar rahe hain,
tum aao to barse, tumhaaraa intzaar kar rahe hain,

mere geet tumhaare naam se tumhe pukaar rahe hain,
tum aao to gaaye, tumhaaraa intzaar kar rahe hain...
Ye kaisi mohabbat


yeh kaisi mohabbat hai tumhaari jo bin bulaaye aati nahi,
aur yaadein tumhaari aisi hain jo bin rulaaye jaati nahi...
Raat kat_te nahi


ye nazren tumhaari raahon se hat_te nahi,
ye lamhe tumhaare intzaar me kat_te nahi,
kat jaate hain din tumhaare bin magar,
ye kaali raatein tum bin mere kat_te nahi....
Tum nahi aaye


kya tum naraaz ho mere kisi baat se, kyun tum nahi aaye,
karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,

har raat ke andhere ke baad suraj aayaa, par tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye,

aayi holi, diwaali, id, christmas har baar par tum nahi aaye,
aayaa nazar id me bhi chaand humko magar nazar tum nahi aaye,

likhe kai khat tumhaare naam se, jawaab bankar tum nahi aaye,
aayi khabar tumhaare har jeet ki, magar kabhi tum nahi aaye,

aaye mere har khwaab me, magar haqeeqat me nazar tum nahi aaye,
banke reh gaye ek ummeed, jise poori kabhi kar tum nahi paaye,

nahi thaa pyaar humse tumhe to pyaar ka waadaa kiya kyun tha,
lo ab to maut bhi mere kareeb aa gayi, par abhi tum nahi aaye,

karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye....

Wednesday, August 8, 2012

Wo rishta tod chali mujhse


wo kaanch ki chudiyaan jo use maine
apni pehli mulaquaat pe diya tha
mujhe lautaate huye boli wo
'jab tum hi mere na rahe to
main in chudiyon ka kya karungi,
koi pooch le agar meri sooni kalaai ka raaz
tum mere nahi rahe, main aisa keh dungi'
dukh huwa sunke bahut mujhe uski baat ka
yaad aayaa wo vaadaa pehli mulaaquaat ka
haathon me leke haath mera 
kuch vaade kiye the usne mujhse
tod ke wo vaade saare
tod chali wo rishta mujhse
maine usko roka bahut
pyaar se samjhaayaa bahut
jo dawaa thi mere dard ki
usi ne mujhe tadpaayaa bahut....
Confused dil mera


'confused' hai dil mera, ye kuch bhi samajhta nahee,
karna hai kya ise, ye khud kabhi kuch karta nahee,
darta hai ye pyaar se aur pyaar bhi karta hai ye,
pyaar ka apne pyaar se ye izhaar kabhi karta nahee,

bulaataa hai use 'chatting' pe, karta hai usse 'chat' bhee,
par jo kehna chahiye baat wo, kabhi usse kehta nahee,
phone karta hai ye usko, 'sms' bhi khoob karta hai ye,
par un saare 'messages' me 'I love you' rehtaa nahee,

khwaabon me hai dekha karta, wahi hai meri 'dream girl',
bas 'dream' me hi kehta hai, 'reality' me kyun kehta nahi,
yun to bahut 'bold' hai, 'dashing' bhi hai aur 'smart' bhi,
kya faida in khoobiyon ka jab dil ki baat kehta nahee,

sochta hai kabhi 'propose' kar de, kabhi pichhe hat_ta hai,
'confuse' hoke dil mera ye kuch bhi keh paataa nahee,
milta hai use roz lekin, tab bhi lagta hai ki 'lonely' hai,
tadapta hai ye dil mera ye 'lonely' ab reh paataa nahee....
Ek baar mehsoos karke dekho


main behta hoon tumhaare rago me lahu banke,
ek baar tum mehsoos karke to dekho,

rehta hoon tumhaare saanso me khoshboo banke,
ek baar tum mehsoos karke to dekho,

maangti ho duwaa mere saath ki, main saath hoon,
zaraa ek baar khud se poochh ke dekho,

tumhaare har ek dard ki main dawaa hoon, raahat milegi,
ek baar tum apne dil ki sunke to dekho,

main tumhaaraa tha, tumhaaraa hi hoon, rahunga bhi tumhaara,
bas ek baar tum mera aetbaar kar ke dekho...
Tumhaari saanson ki mehek


tumhaari saanson ki mehek se aaj bhi mehekta rehta hoon main,
tumse hi mujhe mohabbat hai apne yaaro se ye kehta hoon main,
dhunta hoon tumhe khwaabon me, haqeeqat me tumhe maangta hoon,
tum nahi to kuch nahi hai, ab tanha har pal rehta hoon main...
Dil ki baat


darta bhi hoon, marta bhi hoon,
pyaar unse main karta bhi hoon,
jab bhi milne ki ho baat unse,
har baar main sanwarta bhi hoon,

kehna hai, kuch kehna hai mujhe,
unke dil me bas rehna hai mujhe,
karta hoon main kai baatein unse,
par kehta nahi jo kehna hai mujhe...
Dil ki baat batlaaun kaise


ek uljhan hai dil me mere, main wo suljhaaun kaise,
mohabbat hai unse bepanaah, ye unhe batlaaun kaise,
chaahaa kitni baar maine, keh dun dil ki baat unse,
dil me jo bhi baat hai wo zubaan tak main laaun kaise,

jo tadap hai dil me mere, usko kam main kar paaun kaise,
bechain hai aaj har saans meri, chain ab main paaun kaise,
jaan hai meri jaan hai wo, ye usko main samjhaaun kaise,
kehne ko har baat keh dun, par dil ki baat batlaaun kaise...

Tuesday, August 7, 2012

Raho duur mujhse


raho duur mujhse, kuch na mil paayega tumhe mere paas
dard ka samundar hai, aur uusi me tum bhi doob jaaoge
ho ke guum meri duniyaa me barbaadiyon ke ek din tum
khud ko barbaad karke tanhaayion me tanha reh jaaoge
Hum kya karen


ek hum hain, ek hamaaraa dil hai jo unke siwa kuch sochta nahi,
na soche ek bhi baar wo hamaare baare me to bolo hum kya karen,
tadapte rehte hain hum subah se shaam tak paane ko unki mohabbat,
reham na ho unke dil me hamaare liye to bhalaa hum kya karen,

sau sitam ho unke, tofhe me humein maut hi kyun na de den,
na nikle uff tak hamaare muh se to bolo hum kya karen,
chahte hain unhe hum kitna ye bataa sakte nahi unko kabhi,
na chaahe wo humein kabhi ek pal bhi to bolo hum kya karen,

is ummeed se likhte hain ki wo padhen, taarif karen,
par wo to mudke dekhte hi nahi, kaho ab hum kya karen,
roz unke naam pe, bade pyaar se kuch na kuch likhte hain,
karam na ho kabhi unke nazron ki to bhalaa hum kya karen....
Kabhi baarish to kabhi baadal


kabhi baarish to kabhi baadal keh doon,
main tumhe koi khoobsurat ghazal keh doon,
kahun kya main taarif me tumhaare,
kabhi tumhe main taaj mahal keh doon,

zulfon ka tumhaare jaadu jo hai jaanaa,
chaahun main tumhe haseen shaam keh doon,
doob jaaun tumhaari aankhon me jo main,
main tumhe nashe ka koi jaam keh doon,

dekhun tumhe to bas dekhtaa hi rahu main,
tum roshni ho, main tumhe dhoop keh doon,
raat ke andhere me kabhi dekh loon tumko,
chaand se haseen tumhaaraa roop keh doon,

khushi ka main tumhe jwaar keh doon,
kabhi gulaab to kabhi bahaar keh doon,
basi ho mere ang ang me kuch is tarha,
kabhi lahu to kabhi khumaar keh doon,

kabhi baarish to kabhi baadal keh doon,
main tumhe koi khoobsurat ghazal keh doon...

Monday, August 6, 2012

Kal ki wo shaam


bitaayi ek shaam fir se tumhaare sangh humne,
to un beete huye kai shaamon ki yaad aa gayi,
liya haathon me jo tumhaaraa haath maine kal,
to yaadon me mere wo pehli mulaquaat aa gayi,

pyaar kabhi kam nahi hota, ye ehsaas huwa,
kal kee shaam kuch to mere saath khaas huwa,
doob ke dekha fir se gehri aankhon me maine,
koi to hai mera jo mere dil ke aur paas huwa,

tohfe me jab tumhe maine wo laal gulaab diya,
tumne sharmaake use aanchal me chhipa liya,
ek gulaab hi to tha, koi keemti samaan nahi,
jaane tumpe us gulaab ne asar kya khaas kiya,

kal shaam jheel ke kinaare baithna achcha lagaa,
kandhe pe mere tumhaaraa sar rakhna achcha lagaa,
yun laga jaise hum barso se nahi mile tumse, kal
tumse shaam mera milna mujhe bahut achcha lagaa....