Monday, August 6, 2012

Wo guzre din yaad aate hain


haathon me haath liye school jaane ki baat ho,
chaahe tiffin me saath baith khaane ki baat ho,
chupke se classroom me shaitaaniyaan karna,
ya teachers ki milke hasi udaane ki baat ho,
wo din jo guzar gaye aaj bhi yaad aate hain,
wo beete lamhe school college ke yaad aate hain,

bunk karke classes movies jaane ki baat ho,
ya kisi ke saath date pe jaane ki baat ho,
attendance me wo kisi aur ki proxy lagaanaa,
aur kabhi kabhi chori pakde jaane ki baat ho,
wo badmaashiyaan humein aaj bhi yaad aate hain,
wo beete lamhe school college ke yaad aate hain,

wo dostonn ke saath hasi mazaak ki baatein,
wo sang sang jaagte huye bitaayi raatein,
jaake canteen me ladkiyon ko dekha karna,
aur unpe khoob comment karne ki baatein,
wo un dino hi shaitaaniyaan yaad aate hain,
wo beete lamhe school college ke yaad aate hain,

lagta hai kal ki hi baat ho jab hum saath the,
palat ke album ke panne dekhta rehta hoon,
ab to bas phone pe hi baatein ho paati hain,
har baar ek re-union ki baat dosto se kehta hoon,
wo waade milne ke ab waade hi ban ke reh jaate hain,
wo beete lamhe school college ke bahut yaad aate hain...
Hum hi bewafaa ho rahe hain


mohabbat andheron se hum karne lage hain,
apne hi saaye se ab hum darne lage hain,
mohabbat zindagi se ki thi kabhi humne,
ab to hum zindagi se hi darne lage hain,

naa kisi ne dhokha nahi diya humein kabhi,
hum to bas khud ki kismat pe ro rahe hain,
kami nahi ki humne kabhi wafaa karne me,
unki nazar me hum hi bewafaa ho rahe hain...

Saturday, August 4, 2012

Hum tumse duur na jaayenge

aaaye hain to naa jaayenge, ab saath ta-umra nibhaayenge,
tumse shuru ho tumpe khatam ho, zindagi ab hum yun bitaayenge...

koi shikwa na ho koi shikakaayat na ho, kuch aisa kar jaayenge,
mohabbt me jeene marne ki ab har kasam ko hum nibhaayenge,

jaanaa sach kehte hain, na kabhi duur tumse abhi hum jaayenge,
jo thaamaa hai tumhaaraa haath humne, wo haath chhod na paayenge,

dekho koi khwaaab tum agar, har khwaab pooraa hum kar jaayenge,
koi ghum na ho tumhaare paas kabhi, kuch aisa hum kar jaayenge,

laal mehekte gulaabon se mohabbat ki bagiyaa hum sajaayenge,
tum yaad karoge har janam, kuch aisa asar hum kar jaayenge....
Haan main tumhe chaahtaa hoon

baadalon ki aad me chhip ke tumhe dekhta jaataa hoon,
kehta nahi tumse par tumhe bahut zyaada main chaahta hoon
unhi baadalon se barasti boonden tumhe bhigo jaati hain,
boond banke tumhaare hothon ko chhoo ke nikal jaataa hoon,

aawaaraa koi hawaa ka jhaunka banke kabhi aataa hoon,
hoke tumhaari zulfon se main chupke se guzar jaataa hoon,
dheere se tumhaare kaano me kuch keh ke chalaa jaataa hoon,
pyaar hai tumse mujhe main bina kahe hi keh jaataa hoon,

haan ye sach hai jaana ki main tumko bahut chaahtaa hoon,
keh sakta nahi tumse par apne yaaron ko main bataataa hoon,
dikh jaao agar saamne to kya kahun samajh paataa nahee,
dekh ke tumhaare husn ko main madhosh sa ho jaataa hoon,

banke koi khwaab main tumhaare aankhon me aataa jaataa hoon,
hoke tumhaare aankhon se tumhaare dil se guzar jaataa hoon,
tum samajh paati nahi ki kaun thaa, kahaan se aayaa thaa,
bas khwaabon me tumhaare aake tumhe gudguda ke jaataa hoon,

jaanaa, tum chaahe na maano ye sach hai main tumhe chaahtaa hoon,
jo keh naa paaya hothon se aaj likh ke tumhe ye batlaataa hoon,
agar waqt mile to padh lena mera likha ye geet kabhi meri jaanaa,
aaj kehta hoon , tumhe duniya me har kisi se badh ke chaahtaa hoon,

yun to kai geet likhe, kai gazal likhe tumhaare naam se,
wo har geet panno me likh ke tumse chhipaataa jataa hoon,
"naa, mujhe mohabbat nahi kisi se" ye jhoot tumse kehtaa hoon,
par jo baat mere dil me hai, aaj wo sach tumhe bataataa hoon,

main kehta nahi par tumhe hadd se zyaadaa main chaahta hoon,
lo aaaj cheekh cheekh ke ye sach tumhe main bataataa hoon,
haan main tumhe chaahta hoon, haan main tumhe chaahta hoon,
meri jaana ye sach hai, hadd se bhi zyaadaa tumhe main chaahtaa hoon...

Friday, August 3, 2012

Paas mere aayaa naa karo


humein aadat hai andheron ki, humein roshni se jalaayaa naa karo,
hum khush hai apni tanhaayion me, tum ghadi ghadi aayaa naa karo,

humein aadat hai thokron ki, tum humein gale se lagaayaa naa karo,
kaanton pe sone ki aadat hai, sej meri phoolon se sajaayaa naa karo....

Thursday, August 2, 2012

Ae hawaa mil aanaa usse


ae hawaa kabhi guzre uski gali se to mil aanaa usse,
mera haal bataanaa aur uska haal tu sun aanaa usse,
kehna us se ki main aaunga milne, wo intezaar kare,
likhen hain kuch geet uski yaad me wo sunaanaa use,

tadapta hoon roz, har ghadi baahon me bharne ko use,
dil bhi mera kuch paagal sa hai pyaar karne ko usse,
aadat chhoot chuki hai khud ko aaine me dekhne ki ab,
dil ka armaan hai sirf ek baar kuch sawarne ko usse,

wo milegi to main rangeen phoolon se sajaa dungaa use,
zulfon se khelunga aur seene se main lagaa lungaa use,
karunga itna pyaar ki na jaa payegi chhod ke wo mujhe,
ghum saare leke us se khushiyon se sajaa dungaa use,

ae hawaa kabhi guzre uski gali se to ye tu kehna usse,
rahun jahaan bhi main, par karta hoon bas pyaar usse,
ye doori hai jo wo hai bas kuch hi lamhon ki, kehna
jab milegi mujhse to mil jaayengi khushiyaan beshumaar use... 
Ek lamha guzarta nahee


har mulaaquaat ke baad use mujhse shikaayat rahee,
ki itne saalon se kyun main usse kabhi milaa nahee,
mila to tha pichhle hafte ye samjhaataa thaa use,
to kehti hai ki mere bagair ek lamha guzartaa nahee...

Tuesday, July 31, 2012

Soch apni, samajh apni


main kuch kehta hoon to wo hasee me udaa deti hai,
aur baat baat pe wo mujhe bholaa bhaalaa kehti hai,
main aadi nahi hoon shaharon ke aise chhal kapat ka,
jisse pyaar karta hoon wo pari mere dil me rehti hai,

ye meri kahaani nahi bas ek khayaal hai...ek ladki jo paagal hai is adhunik yug ke rang me dhalne ko aur ek ladka jo ab bhi puraane sanskaaron ka maan karta hai, pyaar mohabbat me vishwaas rakhta hai... bas ek soch... 

koshish to khoob karti hai lubhaane ki apni adaaon se mujhe,
kabhi baahon ke gheron me leti hai to kabhi chumti hai mujhe,
main har baar daant ke use samjhaataa hoon ki hai thik nahi ye,
"zindagi ke maze hain" har baar ye baat wo samjhaati hai mujhe,

kehti hai "kya rakha hai kisi ek ke pyaar me umra guzaarne me,
mazaa to zindagi ka hota hai ghaat ghaat ka paani peene me",
samjhaataa hoon use ki main nahi hoon shayad is yug ka insaan,
mujhe to achcha lagta hai bas apne mehboob ke saath jeene me,

kehti hai mujhe, "mehboob to wo hota hai jo kuch pal saath ho,
koi aisa shaks jiske saath bas do ya chaar gin ke mulaquaat ho",
par kaise samjhaataa main us naasamajh ko ki meri samajh kya hai,
chalo jaane do, samjhe wo wahi jo uski samajh me aati baat ho,

mumkin nahi samjhaanaa har kisi ko mohabbat kya cheez hoti hai,
kisi ke liye dil behlaane ka zariya to kisi ki zindagi hoti hai,
koi waqt pe samajh jaataa hai to koi waqt jaane pe samajhta hai,
kya kahen, ye to har kisi ki apni apni kismat ki baat hoti hai....

Friday, July 27, 2012

Humein kuch na haasil huwa


koshish kar ke dekh liya kai kai baar humein kuch na haasil huwa,
jise apne samjha uske dil me jagah banaane me kabhi na kaabil huwa,

aaye kai log meri zindagi me aake kuch palon ka saath bhi nibhaayaa,
par us pal bhar ke saath se mujhe ghum ke siwa kuch na haasil huwa...


Kya kam hai


kya kahen hum tumse ki humne kya khoya hai
kal bhi kuch hamaara nahi thaa, na aaj hai
ek ummeed ki kiran dikhi thi tum me mujhe
tum aaj nahi ho meri to bhala kya ghum hai

har kisi ko mere haal pe taras aataa hai
nahi aayaa tumko taras to kya ghum hai
paake tumhe paa liya tha saaraa jahaan
aaj tum nahi to pataa chalaa kya kam hai

juda hoke tumse ab kuch achcha lagta nahi
tum ho yaadon me, aur ye aankhen num hain
kehne ko to saaraa jahaan mera hai magar
koi apna nahi mera, na koi hum dum hai...
Wo ek din jaan jaayegaa


tum karti raho mohabbat wo ek din maan jaayega,
tumhaare dil ki haalat wo ek din jaan jaayega,
ek saath dono dilon me ek sa ehsaas ho mumkin nahi,
aaj nahi hai, par wo mohabbat jald pehchaan jaayega...
Tum mujhe kya samajh rahe ho


naa main wo nahi hoon jo tum mujhe samajh rahe ho
main kankad hoon aur tum mujhe kanak samajh rahe ho
chand lamhe saath guzaar ke jaane kya dekha mujhme
jaane kyun tum mujhe apna hum safar samajh rahe ho

tinka hoon hawaa ke saath jaane kahaan chalaa jaaunga
jiska khud ka pataa nahi use apna pataa samajh rahe ho
samundar hai jeewan mera, kinaare ki koi khabar nahi
jaane kyun tum is majhdhaar ko saahil samajh rahe ho

bahaaron ka mere jeewan se duur tak koi rishta nahi
kyun murjhaaye phoolon ko taazaa gulaab samajh rahe ho
mere chehre pe jo muskaan hai uspe mat tum yakeen karo
ye to bas dikhaawaa hai jise tum khushi samajh rahe ho

koi khushi nahi paas mere, bas ghum hi hai har taraf
kyun is veeraane ko tum basaa koi shahar samajh rahe ho
andheraa hai har taraf mere, ujaale ki koi ummeed nahi
main to koi kafan hoon, tum mujhe jeewan samajh rahe ho

naa main wo nahi hoon jo tum mujhe samajh rahe ho
main kankad hoon aur tum mujhe kanak samajh rahe ho...

Thursday, July 26, 2012



Tumse milna to bas ek bahaanaa thaa

tumhe bhulaake tumse bahut duur mujhe jaanaa thaa
tumhaari yaadon se duur naya jahaan basaanaa thaa
har nishaani tumhaare pyaar ki mita di maine magar
na mita paayaa wo pyaar jise dil se mitaanaa thaa

wo faislaa duur jaane kaa tumse meraa apnaa thaa
tumse duur rehna hai mujhe dil ko samjhaanaa thaa
ab judaa ho ke tumse tumhaari yaad kyun aati hai
yaad kar rahaa hoon use jisko mujhe bhulaanaa thaa

khush tha main tanhaayion me wo ek zamaanaa thaa
tumse milna to dil behlaane ka ek bahaanaa thaa
kise pataa thaa ki dil hi tumko hum de baithenge
hume to dil behlaake tumse duur chale jaanaa thaa...

Wednesday, July 25, 2012

Woh


sakhiyon ke sangh har subah meri gali se guzarti hai woh,
jhuki nazron ko uthaake, mujhe dekh muskuraati hai woh,
nazar mil jaaye meri nazron se to sharmaa jaati hai woh,
har baar kaise kaise mere dil me ehsaas jagaati hai woh...
Raat bhar soyaa nahee


dekh meri laal aankhon ko poochha behna ne mere
kyun bhaai 'kya raat bhar ek pal tum soye nahee'
ab kaise bataataa use ki main kahaan khoya tha
jiski yaadon me kho ke main raat bhar soyaa nahee

dekha tha use bus stop pe office se aate samay
dekhta raha use is tarha ki bus pakad paayaa nahee
uske chale jaane par bhi main khoya tha usi me yun
ki ghar to wapas aagaya par usko bhool paayaa nahee

subah ka intezaar tha, fir shaam tak mujhe rukna tha
aayegi is shaam bhi maine khud ko samjhaayaa yahee
subah se lekar shaam tak ek pal chain paayaa nahi
jiska intezaar tha, us shaam wo aayaa nahee

raat ghar jaake mera mann bhi kuch lagaa nahee
uski yaadon me rahaa jisse main mil paayaa nahee
chalo aaj nahee to kal sahee, wo mil jaayegi wahee
na mili jo kal bhi wo to samjhun meri kismat me nahee....
Tumhe chahnaa hai


ye imtihaan hai, isme awwal aanaa hai,
saari hadon se tumhe guzar ke jaanaa hai,
wo tumhe na chaahe abhi, par kab tak,
ek roz use bhi tumko chahnaa hai....