Friday, August 9, 2013

Jab baatein hui ishaaron mein

jab baatein huyi un se ishaaron mein
tab khabar chhap gayi akhbaaron mein

jaa pahunchi aasmaan tak khabar apni
hone lage charche chaand taaron mein

har baat mein baat bas unki hai aayi
agar kissa chhidaa kahin yaaron mein

ab nazar hamaari unko hi dhundti hai
galiyon mein to kabhi baazaaron mein

rog chaahat kaa kuch yun lagaa humko
ab naam aayaa hamaaraa beemaron mein

bheege labz baarish mein ehsaason ke
kai ghazal banne lage bahaaron mein

yeh baat kehne se ab kyaa ghabraanaa
maashooqaa hai hamaari hazaaron mein

Wednesday, August 7, 2013

Mujhe tadpaayaa naa karo

jhooti mooti baatein mujhse banaayaa naa karo
yun meri tasveer ko dekh sharmaayaa naa karo

jaantaa hoon main tumhe mujh se mohabbat hai
dil ki baaton ko mujh se chhipaayaa naa karo

jaante ho tum bhi meraa kyaa haal hai tum bin
yun jaan ke har baat mujhe tadpaayaa naa karo

baitho der tak mere saamne ki dekh loon tumhe
yun mujhse roz naye bahaane banaayaa naa karo

kahin neeyat mein khot naa aajaaye mere kabhi
yun mohabbat ke liye mujhe tarsaayaa naa karo

jaante ho main deewaanaa hoon tumhaare liye
haalat pe mere is tarhaa muskuraayaa naa karo
Judaai

jin raahon se tum duur gaye the
un raahon ko dekhtaa jaataa hoon
kabhi to laut ke aaoge tum, main
khud hi khud ko samjhaataa hoon

tasveer tumhaari dekh dekh kar 
akele hi main muskuraataa hoon
kamre ki deewaaron se ghir kar
tumhaare geet gungunaataa hoon

koi dekh naa le kahin aansoo mere
baarish mein bheegtaa jaataa hoon
chhipaa ke baarish ke paani mein 
apne hi aansooo main bahaataa hoon

ret pe tumhaaraa naam likh kar
khud hi use main mitaataa hoon
lehren unhe bahaanaa chaahe to
mitti se lipat main jaataa hoon

koi nahi jo sambhaale mujhe ab
har kadam pe main ladkhadaataa hoon
bas tumhaare ek deedaar ki khaatir
deewaano saa bhataktaa jaataa hoon

zindagi hi mere saath nahi ab, main
zindagi kaa saath nibhaataa hoon
kabhi to phir se milogi tum mujhse
bas is ummeed se jeetaa jaataa hoon...

Tuesday, August 6, 2013

Zindagi

waqt ne kuch is tarha se li angdaai hai
ki zindagi hum par fir se muskuraai hai

jab mile chaar logo se to maaloom huwaa
samjhe the zindagi kaa naam tanhaai hai

jisse dar kar ab tak bhaag rahe the hum
maaloom huwaa woh apni hi parchhaai hai

baahen failaake jab humne aawaaz di tab
zidagi hamaare baahon mein laut aai hai

dil chaahtaaa hai ab khushi se jhoomnaa
zindagi yeh khushiyon ki shaam laai hai
Asmanjas

aankhon aankhon mein woh izhaar kar jaate hain
kuch kahe binaa woh saamne se guzar jaate hain

unki deewaangi nahi to bhalaa yeh aur kyaa hai
sirf hamaaraa naam sunke woh sanwar jaate hain

shaayad kami hum mein hai abtak keh nahi paaye
manaa naa karden woh yeh sochke dar jaate hain

kitni baar koshish ki keh den dil ki baat hum unse
magar zubaan par laate laate hum thahar jaate hain

pehle aanaa hotaa thaa hamaari gali mein unkaa
ab unke deedaar ke liye unke shahar jaate hain

naa woh kehte hain naa hum se kahaa jaataa hai
koshish mein guzar kai raat dopahar jaate hain

din guzaar dete hain unki khidki ke saamne hum
aur raatein bas unki yaad mein guzar jaate hain
Kaise muskuraaungaa

jin raahon pe teraa haath pakad ke chalaa thaa
main ab un raahon pe akele kaise chal paaungaa

jo tu naa hogi thaamne ko meraa haath paas mere
yakeen hai ki main har kadam par fisal jaaungaa

jaantaa hoon meri muskaan pe tu jaan lutaati thi
tu hi bataa tujhse dur ho ke kaise muskuraaungaa

deke umra bhar kaa pyaar tu mujhse judaa ho gayi
bin tere pyaar ke tujhse alag kaise jee paaungaa

jaantaa hoon meraa har ashq tere liye dard hi hai
tu hi bataa apne aansuon ko ab kaise rok paaungaa
Maine kahaa thaa naa

naa jaanaa chhod ke mujhe, maine kahaa thaa naa
naa jee paaungaa tujh bin, maine kahaa thaa naa

aadat si ho gayi thi tere haathon se bani roti ki
yeh aadat aasaani se naa chhutegi, kahaa thaa naa

haan tere sanskaaron ki wajah se hi main, main hoon
magar ab mujhe kaun sikhaayegaa, yeh bataa do naa

teri roti aankhon ko har baar apne haathon mein liyaa
naa jaanaa apne is laadle se duur, maine kahaa thaa naa

dekh naa tere jaane se kitnaa tanhaa ho gayaa hoon main
naa koi ab kar sakegaa tere jitnaa pyaar, kahaa thaa naa 
Dil meraa nishaanaa ban gayaa

hamaari mohabbat ka fir ek nayaa afsaanaa ban gayaa
jabse yeh aashiq un ke husn kaa deewaanaa ban gayaa

ek baar milke dobaaraa milne ki khwaahish zaahir ki
firse unki mehfil mein jaane kaa bahaanaa ban gayaa

is zameen pe barson se baarish ki ek boond naa padi
bas unke ek naam se dekho mausam suhaanaa ban gayaa

tinkaa tinkaa jod ke jo khandar banaayaa thaa kabhi
woh aayenge sunke yeh khandar aashiyaanaa ban gayaa

jinko paane ke liye sab nazren bichhaaye baithe the
apnaa unse judaa rishtaa dushman zamaanaa ban gayaa

ab qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zaroorat unhe
unki nazar bani teer, dil meraa nishaanaa ban gayaa

unke aankhon ki masti, unke labon ki laali, uffffff
us hasi kaa har andaaz jaise qaatilaanaa ban gayaa

har dard ko sehne ki dil mein taaqat kahaan se aayi
shamaa mein jal jaane ko dil ab parwaanaa ban gayaa

Monday, August 5, 2013

Mohabbat baar baar kar loon

aajaao paas mere ki main tumse thodaa pyaar kar loon
doob ke tumhaari aankhon mein unpar aetbaar kar loon

kyaa baat hai tumhaari aankhon me kyaa bataaun tumse
aashiq hoon unkaa, un se mohabbat baar baar kar loon

kab se pyaasi hain dil ki dhadkane mohabbat paane ko
rahaa nahi jaataa ab, naa kaho aur intezaar kar loon

lagaa ke seene se tumhein main mitaa doon duriyon ko
laa ke paas apne tumhe main baahon kaa haar kar loon

jaadoo tumhaare chehre kaa kuch is tarhaa kaa hai ki
apne dil ko qurbaan uspe har baar mere yaar kar loon

Sunday, August 4, 2013

Mohabbat nibhaane aayaa hoon

ret pe naam likh ke mitaataa thaa
aaj kuch alag kaam kar aayaa hoon
jis ret pe naam likhaa thaa uskaa
us ret ko main ghar le aayaa hoon

shaayad is dil ko aaraam miley ab
main sirf yahi soch ke aayaa hoon
mere toote dil ke tukdon ko, main
haathon mein uthaa ke laayaa hoon

mujhe aashiq kaho yaa kaho paagal
main to dil ko lutaane aayaa hoon
tasveer ko uske seene se lagaa ke
aaj ek waadaa nibhaane aayaa hoon

ise junoon kaho yaa kaho mohabbat
main fir se kuch gaane aayaa hoon
har ghazal apni usi ke naam karke
mehfil mein gungunaane aayaa hoon

jo aaj tak kisi se naa keh paayaa
woh main sabko bataane aayaa hoon
elaan-e-chaahat mehfil mein karke
main mohabbat nibhaane aayaa hoon
Laakhon mein meraa yaar hai

bajaaun koi dhun ki aaj haathon mein guitar hai
dosti kaa din hai aur mere saath meraa yaar hai

khushnasib hoon main, meraa yaar mere saath hai
binaa dost ke ho zindagi, to zindagi bekaar hai

bachpan se leke aajtak meraa dost mere saath hai
dost se meri har khushi, aur dost se sansaar hai

har lamhaa jo saath hai sukh dukh baatein meraa
hai agar woh saath mein, har din hi tyohaar hai

jo saath naa chhode kahin ghum ho yaa ho khushi
hai dosti hai zindagi mujhe dost pe aetbaar hai

woh nahi to kuch nahi, us se hai sab kuch meraa
aataa hai hothon pe mere yeh baat baar baar hai

seene se jiske lagke main bhool jaaun ghum sabhi
sach hai yeh baat ki laakhon mein meraa yaar hai

Saturday, August 3, 2013

Deewaanaa aajkal huwaa

jabse natkhat tumhaari aankhon kaa kaajal huwaa
yeh dil meraa fir se mohabbat mein paagal huwaa

jab chehre se apne zulfon ko hataayaa tumne tab
yeh dil meraa barasne ko pyaar kaa baadal huwaa

koshish laakh karlo tum, main duur jaaun tum se
yeh dil meraa tumhaare aur kareeb pal pal huwaa

yun asar kiyaa hai tumhaari aankhon ne mujh par
dil meraa lutne ko tum par paagal har pal huwaa

thaa yeh aashiq barson se haseen har chehre kaa
yeh dil meraa dekh tumhe deewaanaa aajkal huwaa

Friday, August 2, 2013

Chaand saa haseen chehraa

chaand saa haseen ek chehraa dekhte hain
uspe ghani zulfon kaa pehraa dekhte hain 

jab bhi paani laane jaati hai jheel mein
uspal paani ko hote sunehraa dekhte hain

hum un aankhon ki taarif mein kyaa kahen
jinhe samundar jitnaa gehraa dekhte hain

paagal dil apnaa jo ruktaa hi nahi kahin
sirf un par hi jaake thehraa dekhte hain
Mujhe andheron mein rehne do

mujhe aadat nahi mohabbat ki, mujhe nafraton mein rehne do
main kyaa karungaa muskuraa ke, mujhe ghamon mein rehne do

chaar pal kaa saath deke, hai har kisi ne thukraayaa mujhe
naa sambhaalo aake mujhe, tum mujhe thokaron mein rehne do

kitne hi sapne ban ke toote hain, mere apne hi aakhon mein
naa karo koshish sach karne ki, inko aankhon mein rehne do

aadat nahi hai mujhe ab, naazukh phoolon ke sangh rehne ki
naa do phoolon ka haar mujhe, ab mujhe kaaton mein rehne do

naa karo zidd mujhe roshni me le jaane ki, naa jaa paaungaa
dar lagtaa hai zamaane se, ab mujhe deewaaron mein rehne do

khush hoon main ghum ke andheron mein, ab bas andheraa rahe
naa jalaao chiraag koi, tum mujhe ab andheron mein rehne do

Thursday, August 1, 2013

Aisaa kaam karte hain

chalo aaj hum kuch aisaa kaam karte hain
apni hi barbaadi kaa intezaam karte hain

jo baat keh nahi paaye aaj tak hum tumse
us baat kaa elaan sar -e- aam karte hain

jo dhadkane bas tumhaare liye hain dilme
unn dhadkano ko tumhaare naam karte hain

hum khwaab mein tumhaaraa chehraa dekhte
tumhaari baatein subah- shaam karte hain

ret pe tumhaaraa naam likhke mitaate hum
tum se hi mohabbat hum tamaam karte hain
Meri kahaani

dil me dard, aankhon mein thodaa paani hai
mere zindagi ki bas itni si hi kahaani hai

kitaab mein rakhaa huwaa sukhaa gulaab koi
mere paas ek yahi mohabbat ki nishaani hai

mohabbat ko rangeen bataayaa thaa logon ne
dekho kitni berang si meri yeh jawaani hai

kehte hain log kabhi main muskuraataa thaa
main unse kehtaa hoon woh baat puraani hai

bich samundar mein, kashti mere jeewan ki
dekhun jidhar bhi main, paani hi paani hai

koi saathi nahi hai, koi apnaa nahi meraa
jeewan banjar meraa, duniyaa veeraani hai

chalne ko chaltaa hu, kyun yeh maloom nahi
raaste anjaane hain aur manzil anjaani hai

dhundtaa hi rehtaa hoon, kisko maloom nahi
kahin to milegi mujhe jo meri deewaani hai

ab tak koi yun naa milaa jisko apnaa kehdu
jeetaa main hoon lekin, jeenaa bemaani hai