Mujhpe jaan lutaate ho naa
aaj bhi chhip chhi p ke mere geeton ko padhne yahaan aate ho naa
padh ke apni taarif un geeton me mann hi mann muskuraate ho naa
milte the mujhse to kehte the ki mohabbat nahi hai tumhe mujhse
magar aaj bhi tum mere likhe khaton ko padh ke sharmaate ho naa
kyun karte ho aisaa, kyun tadpaate ho mujhe mujhse duur reh ke
jaantaa hoon main, tum aaj bhi mere dard pe tadap jaate ho naa
rokaa hai kisne tumhe, kyaa majbooriyaan hain, kuch to kaho tum
aaj bhi tum dil hi dil is deewaane pe apni jaan lutaate ho naa
dekhtaa hoon aaine me khudko, mujhme tumhaaraa aks dikhtaa hai
aaj bhi mohabbat banke tum mere jism me, ruuh me, samaate ho naa
meri saansen hain tumse, mere dil ki har ek dhadkan tumhi se hai
kaho naa, band aankhon se bhi meri har tadap ko dekh paate ho naa
ek dum tanhaa hoon main, akelaa hoon, tum bin kuch nahi main
mere dard ko, meri mohabbat ko aaj bhi tum samajh to paate ho naa

No comments:
Post a Comment