Wednesday, January 2, 2013

Jab dekhte the tumhe

yun to tumse milne se pehle kabhi huwaa nahi aisa, magar
hum tumko dekh lete the to bas dekhte hi reh jaate the

tumhaari aawaaz, tumhaaraa chehraa, har andaaz tumhaaraa
milke tumse ek lamhaa bhi hum hosh me nahi reh paate the

sunaa thaa kabhi bachpan mein ki mohabbat ek samundar hai
banke nadi, tumse milne, tumhi ko samundar keh jaate the

kho jaate the kabhi baadalon ki aad me, fir banke barsaat
behtaa paani banke samundar se milne ko hum beh jaate the

karwatein badalte rehte the poori raat hum tumhaari yaad me
tum milogi subah, bas ye soch har dard ko hum seh jaate the

dekh tumhaaraa chehraa hamaare dilko chain mil jaataa thaa
tumhaaraa pyaaraa chehraa dekh hum muskuraate reh jaate the

saansen tumse judi thi, hum tumhe apni jaan keh jaate the
aur har baar tum ye sunte hi kaise sharmaake reh jaate the

saaraa jahaan kam pad jaataa thaa meri khushi ke liye uspal
aur tum, apne hi aanchal me uspal simat ke hi reh jaate the

No comments:

Post a Comment