Friday, March 19, 2010

Wo Beete Lamhe

tere shahar jaata tha jab main,
milne tujhse banke deewana,
bhoola nahi hoon aaj bhi wo din,
jab mili thi mujhse pehli baar,
wo teri masoom si nazar,
jaane kaisa asar kar gayi,
mujhko dekh tera muskurana,
aaj bhi wo pal yaad aata hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

chori chori chupke chupke,
milne jab aati thi mujhse,
nazrein churaake har kisi se,
jab tu mila karti thi mujhse,
ghanto tak hum baatein karte,
ghum aur khushiyaan baanta karte,
un palon ki kuch baatein hain,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

pagal banke milta tha tujhse,
hosh na rehta tha ek pal ka,
saath jo hota tha kuch pal ka,
mere liye wo jannat sa tha,
baatein jab karti thi mujhse,
jaane kahaan main kho jaata tha,
shahad si meethi baatein teri,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

sang beeta wo waqt tha aisa,
kam tha lekin tha wo pyara,
kabhi kabhi ye sochta hoon main,
kaash wo waqt wapas laa pata,
kuch palon ki khushiyaan dekar,
jaane kahaan wo aaj kho gayi,
un dino ki kuch yaadein hai,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

No comments:

Post a Comment