Monday, March 15, 2010

Main Akela

ab mujhe na dard hai,
na yaadon me aati hai koi,
ab mujhe na pyaar hai,
na dil me rehti hai koi,
aaj panchhi hoon main azaad,
na saath mere hai koi,
aasmaan saara hai mera,
na aaj bandhan hai koi...

aaj udta hoon akela,
pankh faila ke gagan me,
aaj gaata hoon akela,
na sang mere gaata hai koi,
hasta bhi hoon main akela,
rota bhi hoon main akela,
aaj main hoon apne dhun me,
na mujhe rokta hai koi...

sochta hoon main kabhi ye,
kaash hoti mere sang tu,
pyaar thi meri hamesha ,
par le gaya tujhko koi,
main akela hoon to kya hai,
hota hai kiska koi,
aaye the is jahaan me akele,
na saath jayega koi...

No comments:

Post a Comment