Tuesday, May 31, 2016

Geele se kuch lamhein hain



kuch os ki geeli boondein hain
kuch geele se woh sawere hain
mere geele se us takiye pe
bas geele se kuch lamhein hain

jo tanhaa akele kaatein hain
woh tanhaa si meri raatein hain
hai ab saath nahi koi mere
yaadein hain, bas yaadein hain

kabhi shaam sunehri hoti thi
kabhi raat nashili hoti thi
un lamhon ki kuch yaadein hain
jo saath humne guzaarein hain

nagmein hain, kuch shikwe hain
kuch aadhi adhuri baatein hain
kuch toote huwe se kasmein hain
aur kuch aadhe se afsaane main


Wajah behtar de do



khwaahishon ko mere par de do
aur fir bas utni si umar de do
raat ke saaye se dar naa jaaun
sar chhipaane ko ek ghar de do

shor bahut hai aas paas mere
sukun bharaa ek shahar de do
ehsaas mere jal rahe hain saare
bas thandi si ek dopahar de do

dard ki aadat to ab ho hi chuki
muskuraane kaa bas hunar de do
zindagi ke din kam hain bahut
jeene ki wajah koi beh-tar de do


Naam teraa



geet likhne baithaa hoon
kore se ek kaagaz par
alfaaz mere tikte hi nahi
kaagaz ke in panno par

udte phirte ehsaas mere sab
titli jaise machalte hain
jahaan kahin bhi hawaa chali
sangh hawaa ke hi chalte hain

aaj kore se is kaagaz par
naam teraa hi likh du main
isse behtar geet koi fir
kahaan koi main likh paaun

tere sapne, teri yaadein
in mein hi main jeetaa hoon
teri hi bas baatein hain
kaagaz ke in panno par

geet koi main likh du aaj
kaagaz ke kuch tukdo par
naam teraa hi likh du main
aaj apne saare geeton par

Wednesday, May 25, 2016

Mohabbat ho jaane do



thodaa saa deewaanaa hoon, thodaa aur ho jaane do
tumhaari sharbati aankhon mein humein kho jaane do

khol do zulfein apni ki baarish saa kuch ho jaaye
unhi boondon ko hamaaraa tann mann bhigo jaane do

kab se pyaase hain hum ek boond mohabbat ke liye
naa roko aaj khud ko tum ki mohabbat ho jaane do

bhar lo humein tum apni narm si baahon mein jaanaa
aur apni hi baahon ke ghere mein humein so jaane do

'Hriday' to banaa hi hai mohabbat karne ke liye
mohabbat ke naam se ek aur afsaanaa ho jaane do

saanson ko samaa jaane do ek duje ki saanson mein
aaj humein tum do jism aur ek jaan ho jaane do


Tuesday, May 17, 2016



jaise bheege huwe se kuch ehsaas hain
jaise un mein bhi baat kuch khaas hai
chaah kar bhi aaj kuch ban paaye naa
har lafz hi jaane kyun aaj udaas hai
 
 
thode thode bheege huwe se lamhein
thode thode bheege huwe se hum hain
sangh mere tum bhi bheege jaao naa
zindagi ke yeh lamhein bahut kam hain


aakar baahon mein mere bheeg jaao naa
bhool jaao jo bhi tumhaare ghum hain
doob jaao aake meri aankhon mein tum
jaanaa bas tumhaare liye hi to hum hain


Monday, May 16, 2016



bikne lagi hai mohabbat jab se baazaaron mein
sajne lage hain geeley khwaab in aankhon mein




bikne lagi hai mohabbat jabse baazaaron mein
hone lage hain mash-hoor hum bhi yaaron mein


Humne woh shahar chhod diyaaa



aansuon ko ab jagah mil gayi
khwaabon ne ghar chhod diyaa
jahaan roz aanaa jaanaa thaa
humne woh shahar chhod diyaa

ab to bas kuch yaadein hain
aur puraani kuch tasveerein
aage hamaaraa ab hogaa kyaa
humne har fikar chhod diyaa

kuch duur tak saath chale the
kasmein bhi kuch nibhaaye the
apnaa jis mein koi saath nahi
humne woh safar chhod diyaa

jaate jaate woh kasam de gaye
ab kabhi pyaar naa karnaa tum
mohabbat achchi koi cheez nahi
humein samjhaakar chhod diyaa

bachi hui kuch saansein hain
bache huwe kuch dhadkan hain
humne tanhaayi se ghabraakar
ab marne ka darr chhod diyaa



 
 
humein bhulaakar kehte hain, fikar bahut hai
dil se khel jaane kaa unmein hunar bahut hai
 
 

 
 
tanhaa zindagi ke safar mein humein
unhone tanhaa is  qadar chhod diyaa
waadaa umar bhar nibhaane kaa karke
kuch duur saath chalke muh mod liyaa
 
 

Saturday, May 14, 2016

Duwaa kiski thi



bejaan aur berang si zindagi hamaare siwaa kiski thi
kisne thaa khoyaa sab kuch, kahaani bhalaa kiski thi

dil thaa tootaa hamaaraa, bhalaa dosh hum kis ko den
ilzaam bewafaai kaa humpar aayaa, to wafaa kiski thi

ghar huwaa neelaam hamaaraa kisi ki khushi ki khaatir
kyaa bataayein hum kisi se ki aakhir khataa kiski thi

bas dard hi dard rahaa har pal zindagi mein hamaare
haath they humne uthaaye, hui poori duwaa kiski thi

hum deewaane the jo dil lagaa baithe hasi chehre se
qatl kisne kiyaa aur humein mili jo sazaa kiski thi

mil nahi paayaa sukoon dil ko kabhi, kisi bhi tarhaa
kiski thi zameen, kiskaa aasmaan aur hawaa kiski thi


Thursday, May 12, 2016

Kaun ho tum
 


kabhi milnaa khudse fursat se
to jaan jaaogi kaun ho tum
baat karke dekhnaa kabhi apne aap se
pehchaan jaaogi khud ko tum...

poochhnaa khud se kabhi
khud ke hi baare mein...
kyaa main kisi mard ki jaageer hoon?
kyaa main pairon tale raundi gayi dhool hoon?
yaa fir kisi ke dil behlaane kaa saamaan hoon?
jisne bhi chaahaa khelaa mere armaano se
kamzor si cheez samajh ke sabne hai todaa mujhe
kisi bejaan si cheez ki tarhaa
meraa istemaal kiyaa gayaa
kyaa hai meri pehchaan...

dekhnaa jawaab yahi aayegaa...
tumse hi bas tumhaare liye...
papa ki dulaari beti ho tum
unke muskuraane ki wajah ho tum
maa kaa sanskaar ho tum
unki pehchaan ho tum...
bhaai ke haathon mein dhaagaa baandhne waali
bhaai ki taaqat ho tum...
pati kaa har kadam par saath nibhaane waali
ek jeewan sangini ho, humsafar ho tum...
ek maa ho tum.... haan maa....
jiskaa shabdon mein varnan naamumkin hai...
aur kyaa kahun ki kaun ho tum...


jaago.. pehchaano khud ko...
ek ablaa naari nahi...
shakti ho tum....
haan shakti ho tum...




Zindagi kyaa cheez hai



surkh hothon ki woh laali, zulfon kaa jaadu tumhaare
dekh kar ke hum samajh gaye, dillagi kyaa cheez hai
jheel si aankhein tumhaari, doob hi jaayen naa hum
dekhaa unhe jo gaur se to jaanaa tishnagi kyaa cheez hai


bikhre huwe the lafz saare, khud ba khud hi jud gaye
dekhaa tumhe to jaan gaye ki shaayari kyaa cheez hai
zindagi ko itne kareeb se, dekhaa kahaan thaa kabhi
dekhaa tumhe to jaan gaye ki zindagi kyaa cheez hai


zulfon mein chehraa chhipaake muskuraake chal diye
seekhey koi tumse aakar ki jaadugari kyaa cheez hai
aksar log kehte hain humein ki rog kaunsaa hai yeh
ishq karte to samajhte ki aashiqui kyaa cheez hai



Wednesday, May 11, 2016



meri baahon mein aakar tum, toot ke bikhar jaao
hoon main deewaanaa koi, thodaa aur tum kar jaao


 
 
baarish ki boondein ho jaise
chhan chhan si barasti hui
haan bilkul aisaa hi lagtaa hai
jab tum muskuraati ho...

baarish ki boondon mein
pankh failaake naachtaa mor koi
haan bilkul waisaa hi lagtaa hai
jab tum chalti ho....
 
 

Tuesday, May 10, 2016

Thodaa saa khumaar to aaye



sukhey huwe gulaabon mein fir se bahaar to aaye
is banjar bhoomi par mohabbat ki fuhaar to aaye

jis chehre ko dekhne ke liye paagal hote hain hum
woh haseen chehraa hamaare saamne ek baar to aaye

woh seene se lagaale humein bhi to kyaa baat ho
hamaare is dil ko bhi thodaa saa qaraar to aaye

kab tak yunhi dard ke geet hum sunaate rahenge
in geeton mein kabhi thodaa saa khumaar to aaye

hazaaron ki ummeed to kabhi thi hi nahi yaaron
hamaare geeton mein waah waahi do chaar to aaye

behek jaaye kabhi hamaari aankhon ko dekhte hi
hum par kabhi us hasi chehre ko aetbaar to aaye

kabhi to meherbaan ho upar waalaa hum par bhi
is badnaseeb par bhi kabhi kisi ko pyaar to aaye



Monday, May 9, 2016

Ishq kabhi puraanaa nahi hotaa



har raat taaron kaa jaise tim-timaanaa nahi hotaa
yahaan mohabbat kaa pooraa har afsaanaa nahi hotaa

hamaare liye hi sahi, chalo koi baat nahi yaaron
warnaa sabke liye itnaa buraa zamaanaa nahi hotaa

khataa itni ki bas ki anjaane mein dil lagaa baithe
warnaa is tarhaa se hamaaraa lut jaanaa nahi hotaa

poochhte hain log humse ki kitni mohabbat hai unse
mohabbat ko naap len aisaa koi paimaanaa nahi hotaa

har baar unki berukhi ko hasi mein udaa diyaa humne
duniyaa kaa har shaqs hum saa deewaanaa nahi hotaa

wo kehte hain humse, bhulaa denaa puraani baaton ko
koi samjhaye unhe ke ishq kabhi puraanaa nahi hotaa


Sunday, May 8, 2016

Main sambhal kahaan paayaa hoon



amundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon

ladkhadaake gir padaa kuch duur chal kar main
tere bin tanhaa kabhi chal kahaan paayaa hoon

kismat mein thaa nahi milnaa hamaaraa shaayad
lakeeron ko main bhi badal kahaan paayaa hoon

lafz sab bikhre pade hain tere chale jaane se
unhein jodkar banaa ghazal kahaan paayaa hoon

achchaa lagtaa hai band kamre mein akele rehnaa
apni tanhaai se baahar nikal kahaan paayaa hoon

aadat si ho chuki hai shaayad gham mein jeene ki
apni aadat ko fir main badal kahaan paayaa hoon

samundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon


Friday, May 6, 2016

Yun muskuraanaa naa hotaa


kaash usdin unkaa khidki pe aanaa naa hotaa
humein dekh unkaa yun muskuraanaa naa hotaa

naa jhukaate apni nazrein humein dekhkar woh
is tarhaa se unkaa agar sharmaanaa naa hotaa

chalte rehte hum apne hi raah par roz ki tarhaa
palatke us taraf dekhne kaa bahaanaa naa hotaa

na aaye hote nazar mein mohalle ke logo ke hum
yun dushman hamaaraa saaraa zamaanaa naa hotaa

naa miley hote unse to baat hi kuch aur hoti
naam pe hamaare mohabbat kaa afsaanaa naa hotaa

dekh humein us din naa woh muskuraate agar to
shaayad 'Hriday' is tarhaa deewaanaa naa hotaa


mohabbat pe hai tan nyochhawar, mohabbat pe hai dhan nyochhawar
mohabbat se hi hum hai jaanaa, mohabbat pe hai jeewan nyochhawar

Thursday, May 5, 2016

Pankh failaanaa chaahtaa hoon



main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon

bujh gayaa hai jo chiraag kuch pal jal jaane ke baad
roshni ke liye use firse main jalaanaa chaahtaa hoon

udnaa chaahtaa hoon khule aasmaan mein bahut oonchaa
panchhiyon ki tarhaa main pankh failaanaa chaahtaa hoon

jinhone aansuon ke siwaa kabhi kuch diyaa hi nahi mujhe
un rishton se main ab peechhaa chhudaanaa chaahtaa hoon

bataao kab tak yunhi dard mein doobaa rahun main yaaron
mohabbat ke geeton se mehfilon ko sajaanaa chaahtaa hoon

failaake baahein tez hawaaon mein main fir ek baar
paagal hawaaon ko seene se main lagaanaa chaahtaa hoon

chot khaai hai maine mohabbat mein jaantaa hoon main
firse mohabbat kar ke mohabbat ko aazmaanaa chaahtaa hoon

buri nahi hai mohabbat cheez koi, yeh sach hai yaaron
karke mohabbat main duniyaa ko yeh bataanaa chaahtaa hoon

main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon




Wednesday, May 4, 2016

 
anjaani sadak par chale jaa raha hoon, naa meraa thikaanaa koi
naa hai yahaan koi meraa apnaa aur naa hi mujhe pehchaanaa koi

Monday, May 2, 2016

Woh jaane kidhar gaye



hawaa ke jhaunke they jo ab guzar gaye
kaanch ke tukde the, tutke bikhar gaye

kissa dard kaa, sunaayein bhi to kaise
kuch zakhm the puraane jo ab bhar gaye

kuch rishton ko apnaa kahaa thaa kabhi
jinse jodaa thaa woh jaane kidhar gaye

koshish bahut ki chhalak jaane ki magar
dard aankhon tak aakar bas thahar gaye