Saturday, November 7, 2015

Hum kyaa dekhein



dekh liyaa teri aankhon ko, ab sharaab koi hum kyaa dekhein
dekh liyaa tere hothon ko, ab ghulaab koi hum kyaa dekhein

teraa chehraa hai in aankhon mein, tu hi tu hai har pal mein
hai dekh liyaa tujh ko humne, ab khwaab koi hum kyaa dekhein

teraa chalnaa, teraa hasnaa, har pal teri hi bas baatein hain
tujhse behtar jaan-e-jaan, cheez laajawaab koi hum kyaa dekhein

yeh sach hai, kal tak hamaari aadat thi, padhne ki kitaabon ko
ek padh liyaa jo chehraa teraa, ab kitaab koi hum kyaa dekhein

hamaare andhere is jeewan mein, koi chiraag bankar hai tu aayi
ek tujhse hi ghar roshan hai, ab aaftaab koi hum kyaa dekhein

kyaa ghalat hai, kyaa sahi hai, iskaa humein kuch pataa nahi
hum karne lage mohabbat tujhse, ab hisaab koi hum kyaa dekhein

dekh liyaa teri aankhon ko, ab sharaab koi hum kyaa dekhein
dekh liyaa tere hothon ko, ab ghulaab koi hum kyaa dekhein

No comments:

Post a Comment