Saturday, June 27, 2015

Manaanaa aasaan nahi hotaa



gulaab kahin koi khil kahaan paayaa murjhaane ke baad
kashti kabhi koi nikal kahaan paai doob jaane ke baad

haqeeqat aaine ki to har koi jaantaa hai ki kyaa hai
aainaa kabhi jud kahaan paayaa hai toot jaane ke baad

kab tak rok paayenge aansuon ko aankhon mein hum apne
chhalak jaataa hai jaam paimaane se bhar jaane ke baad

nibhaanaa aasaan kahaan hai rishton ko is zamaane mein
manaanaa aasaan nahi hotaa kisi ko rooth jaane ke baad

is zindagi ki kahaani bhi kuch aisi hi hai mere yaaraa
koi apnaa kabhi laut kahaan paayaa chale jaane ke baad


No comments:

Post a Comment