Tuesday, February 18, 2014

Tujhe Kyaa Inaam Dun

kyaa tohfaa tujhe main aaj ki haseen shaam dun
keh dun bahaar tujhe yaa main koi aur naam dun

kaanpte geele lab tere jo kareeb aajaayen mere
main un labon ko tere apne labon kaa jaam dun

tadap badh jaaye jab tere dhadkano ki kabhi 
seene se lagaa kar apne main tujhe aaraam dun

umar bhar baithaa rahun tere nazar ke saamne
apni nazron ko bas tujhe dekhne kaa kaam dun

koi haseen ghazal likh dun naam par main tere
yaa bas ishaaron se hi tujhe koi paighaam dun

dene ke liye tujhe chaand bhi tod kar laa dun
tu hi bataa de tujhe main aaj kyaa inaam dun...

Friday, February 14, 2014

Kyaaa kahun
kuch likhaa nahi arse se, aaj kuch likhne kaa mann ho aayaa
liyaa kaagaz kalam haath mein to, chehraa teraa nazar aayaa
maasoom si teri do aankhein, un aankhon kaa kyaa kahun
guzri hain jo teri yaad mein, un raaton kaa kyaa kahun

achchaa lagtaa hai teri tasveer se baatein karte rehnaa
kyaa mazaa hai, kyaa bataaun, un baaton kaa kyaa kahun

bheeg jaataa hoon aksar main tere hone ke ehsaas se hi
main mujhe bheegaane waali un barsaaton kaa kyaa kahun

yaad aati hain ab bhi tujhse hui woh mulaquaatein meri
chhip chhipke tujhse hui un mulaaquaaton kaa kyaa kahun

teraa sharmaanaa, teraa yunhi khilkhilaa kar has denaa
uuufff tujh sangh mehsoos kiye ehsaason kaa kyaa kahun

band aankhon se sirf tujhe hi mehsoos kiyaa har jagah
jab jab dikhaa teraa chehraa un khwaabon kaa kyaa kahun

shuru karun to kabhi khatam hi naa ho woh daastaan apni
dil mein chhipaa teraa naam, teri yaadon kaa kyaa kahun.....


Wish you a very Happy Valentine's Day.

Thursday, February 13, 2014

Mujhe mohabbat hai

tum ho nahi khwaab, main yeh kaise aetbaar karun
choo loon tumhe, ki ab kuch aur mere yaar karun

aajaao kareeb, main bhar loon tumhe baahon mein
jee bhar ke tumhi se ab, jaanaa main pyaar karun

kho jaaun ab shaam si ghani zulfon mein tumhaare
doob ke aankhon mein, un aankhon kaa deedaar karun

paagal banaati hain mujhe, nashili aankhein tumhaari
rok loon khud ko, to kabhi khud ko hi beqaraar karun

naam jab bhi aaye meraa, tumhaare naam ke saath aaye
dil kyaa cheez hai, main jaan bhi tumpar nisar karun

poochhte hain log ab wajah mere badle huwe andaaz ki
keh dun mujhe mohabbat hai, yaa ab bhi inkaar karun

Wednesday, February 12, 2014

Kyaa baat ho

yunhi kabhi chalte chalte woh mil jaayen to kyaa baat ho
zindagi mein fir ek baar unse mulaquaat ho to kyaa baat ho

hum to jee rahe hain hamaari zindagi bas jeene ke liye hi
humein jeene ke liye koi maksad mil jaaye to kyaa baat ho

hawaayein aaj bhi waisi hi hain jaise pehle chalaa akarti thi
magar in hawaaon mein mehek unki ghul jaaye to kyaa baat ho

thak gaye hain hum sooni si deewaaron se baat kar kar ke
koi hamaaraa bhi haal hum se aake poochh le to kyaa baat ho

chal rahe ho hum anjaan kisi raah par aankhein jhukaaye
nazar uthaate hi unkaa chehraa dikh jaaye to kyaa baat ho

khuli zulfen, gulaabi honth, sharbati aankhen nahi maangte
bas ek ehsaas hi ho unke kareeb hone kaa to kyaa baat ho

aadat chhoot gayi hai likhne ki unke chale jaane ke baad
humein fir se koi aake likhnaa sikhaa jaaye to kyaa baat ho

badi sooni hai zindagi hamaari ek unke chale jaane ke baad
kaash woh aake hamaari baahon se lipat jaayen to kyaa baat ho