Sunday, December 8, 2013

Teri yaadein

tere zulfein yaad aati hain jab bhi yahaan shaam hoti hai
aur har roz hum ghar laut_te un panchhiyon ko dekhte hain
jo sawere chaaron ki talaash mein ghoslon se udd gayi thi
ek ummeed si jagti hai ki ek din tu bhi laut aayegi... ghar apne...

aake fir ek baar meraa yeh ghar, apne rang mein sajaa degi
fir se saweraa waisaa hi hogaa jaisaa huwaa kartaa thaa
jab tu thi, kareeb mere, meri baahon mein, har pal, har lamhaa
jab raat kaa andheraa teri roshni se duur ho jaataa thaa...

yaad to hogaa tujhe bhi, woh haseen se lamhe tere mere saath ke
jab ghanton hum ek dusre kaa haath thaamke baaton mein khoye rehte the
jab waqt kaa pataa hi nahi chaltaa thaa kaise guzar jaayaa karti thi
doobe rehte the hum, guum se rehte the hum ek duje ki aankhon mein...

aksar woh teri khilkhilaati hasi paagal banaa jaati hai mujhe
meri chhoti chhoti baaton ko kitne dhyaan se tu sunti thi
kabhi apne naakhoon ko daanton se kaat_ti, kabhi apni anguthi se khelti
kabhi main chhuu loon teraa haath to kaise sharmaa jaayaa karti thi...

yaad hai naa kaise tu pyaar se mujhse kehti thi 'Chhodo naa'
jab main teri kalaayi apne haathon mein thaam letaa thaa
apnaa chehraa chhipaane ki koshish mein tu kaise laal ho jaayaa karti thi
uuuuuffffff ek ek lamhaa un mulaaqaaton kaa jaise ab bhi jiwit ho...

haan sach hai, bas duur huwe hain hum jismon se, rooh se nahi
ab bhi mere har ehsaas mein tu aakar mujhe cheed jaati hai
din mein, raat men, jo bhi karun main, har us kaam mein tu dikhti hai
har baar mujhe ehsaas dilaati hai ki tu ab bhi kareeb hai... mere paas hai...

jaantaa hoon main ki teri duniyaa alag hai ab, mujhse bahut judaa hai
bas yahi wajah hai ki main kehtaa nahi ki tu aajaa sab chhod ke ... paas mere
magar main bas is ummeed se jeetaa jaataa hoon ki kabhi to fir milegi mujhse
bas ek baar.. bas ek deedaar ke liye main tadaptaa rehtaa hoon.... sach...

duur se hi sahi.. kabhi mujhe nazar aa jaaye.. duniyaa ke kisi kone mein
bas ek jhalak tujhe dekh loon... mehsoos kar loon tujhse fir se ek baar...
dekh loon tujhe to shaayad har shaam fir aisi sooni naa lage.. kuch khaas ho...
ek chehraa teraa... shaam ke rang ko bhi badal degaa.... tere hi rang mein...hai naa...
Mehsoos karke dekho naa

aag bahut hai ab bhi zaraa apni saanson ko chhoo kar ke dekho naa
khaamoshi har baat keh jaati hai tumse, mehsoos kar ke dekho naa
kuch baatein jo dil se zubaan tak aate aate thahar jaati hain
un baaton ko tum apni samundar si aankhon se keh kar ke dekho naa

tumhaari har baat ko tumhaari khushboo se mehsoos kar letaa hoon
jo kahaa nahi aaj tak tumse, aao aaj tumse main woh baat kehtaa hoon
hai mohabbat mujhe tumse is jahaan ke har chehre se badh ke jaanaa
dhadkano par naam tumhaaraa likh ke saans tumhaare naam se hi letaa hoon
Gudgudaa jaati ho mujhe

har baar khwaab me aake tum chhed jaati ho mujhe,
chhupke se aake paagal kar jaati ho tum mujhe,

tanha raat ke tanhaayi me tum aa jaati ho,
meri tanhaaiyo ko dur kar baahon me bhar leti ho mujhe,

har muskuraate chehre me tumhaara hi chehra dikhta hai,
aur apni pyaari muskaan se tum gudguda jaati ho mujhe,

har shabd mera tumse hi shuru hoke tumpe hi khatam hota hai,
tum ho mere geeton me har pal aur bahut yaad aati ho mujhe,

har geet main bas tumhaare hi naam pe to likhta hoon jaana,
bheege hothon pe sajaake tum har baar gunguna jaati ho mujhe...
Pyaar kar loon

ek baar fir se main tujhse milke tujhe pyaar kar loon,
tujhe baahon me bharke main fir se iqraar kar loon,

kahin beet na jaaye ye mausam mohabbat bhara,
tere pyaar ko main jeewan bhar k liye sweekar kar loon,

kya pata kal na rahe ye mausam jaisa aaj hai khila,
aaja mere sanam mere kareeb ki main tera aetbaar kar loon,

chhoo loon hothon ko tere apne kaanpte hothon se,
ki ek baar fir se main apni hasratein poori kar loon,

kho jaun zulfon me main tere aaj kuch is qadar,
thoda khud ko paagal aur thoda tujh ko deewaana kar doon,

aaja meri baahon me aake bikhar ja tu fir ek baar,
tere jism ko khud me lagaake main khud se thoda pyaar kar loon...
 Jaise  huwaa karti thi

haan aaj bhi ye raat waisi hi hai jaisa hua karti thi,
raat me pyaar ki wo baat waisi hi hai jaisa hua karti thi,

aaj bhi mere khwaab me tum mere baahon ke ghere me hoti ho,
angraayi waise hi leti ho jaisa ki pehle liya karti thi,

ye doorie ka ehsaas hota hai jab main aankhen kholta hoon,
band aankhon me mere paas hoti ho jaise pehle hua karti thi,

ye pyaar bhi waisa hi hai, ye khumaar bhi wisa hi hai,
bas doorie jismon ki hai, par dil me aaj bhi ho jaise hua karti thi....


Jeewan

ye jeewan hai kabhi hasati hai to kabhi rulaati hai,
kabhi sukoon deti hai to kabhi bahut sataati hai,

raahi hain hum is jeewan me, humein manzil bulaati hai,
chalna hamaara kam hai, sukh dukh to jeewan ka saathi hai,

mumkin hi nahi ki har lamha bas khushiyon se bharaa,
ek pal pyaar hota hai to kabhi dard bhare geet sunati hai,

ye jeewan hai mere dost, kabhi hasaati hai, kabhi rulati hai,
aur kabhi kabhi hamaare dard ko dekh ye khud muskuraati hai,

ye jaawan hai kabhi hasati hai to kabhi rulaati hai,
kabhi sukoon deti hai to kabhi bahut sataati hai....
Meri mohabbat

bharke tujhe baahon me tera ho jaaunga,
teri mohabbat me main tujhme kho jaaunga,

jab bhi tu pukaare mujhe, dauda chala aaunga,
saaya banke tera main tere saath reh jaaunga,

paake tujhe paaya hai maine ye jahaan saara,
ab is jahaan ko chhod tere dil me theher jaaunga,

aa meri jaana ki main tere hi liye aaya hoon,
tujhko apni mohabbat se main paagal kar jaaunga,

aaj apni mohabbat me main tujhko bhigo jaaunga,
baahon me bharke tujhe tere hothon ko chhuu jaunga,

andheron ko duur karke ujaale ab laa dunga,
apni chaahat se teri duniya roshan kar jaaunga...

Kuch bhi

na kaho aisa ki tumhe matlabi kaha hai humne,
matlabi to hum hain jo saath chhod gaye majdhaar me,

duniya mein kai chaahne waale mile kai gaye,
badte rahe hum apni zindagi me aur tum rahe kataar me,

ek aur dil toda hai humne jaane anjaane me hi sahi,
chaaha tumne humein par dagaa diya hai humne pyaar me,

kya kahen tumse ye samajh k baahar hai hamaare,
aajaayen kareeb tumhaare ya bitaane de tumhe ghadiyaan intezaar me.....
Ehsaas

jab dil me jasbaaton ki aandhi aati hai,
eshaas shabd ban gazal ka roop le leti hai,

aansuon ki dhaara behti hai tab is qadar,
ki dil ke armaano ko wo doobo deti hai,

suukh jaate hain aansoo bhi kuch palon k baad,
aur khushi naya rang leke saamne aa jaati hai,

toofan jo uth_te hain dil me dabe dabe se,
ek roz tadap ke un deewaaron ko tod deti hai,

raat andheri hoti hai ye maaloom hai humein,
par har subah suraj andhere ko duur kar deti hai...
Aajkal

kuch is tarha ka haal hai mere dil ka aajkal,
chehre pe mere khilte nahi kabhi muskaan aajkal,

kuch to khoya hai maine shayad in kuch dino me,
yahi wajah hai saath rehke bhi tanha hoon aajkal,

khush hoon soch ke main aane waale pal ke baaare me,
par shayad koi apna sa duur hai mujhse aajkal,

ghira hoon apno ke daayre me, pyaar karte hain sab,
par shayad kisi khaas ki kami khalti hai aajkal,

jaane ye kaisa ehsaas hai kuch paake bhi na paane ka,
bahut tadpaati hai mujhe meri jeeti hui haar aajkal....
Tumhaari yaadon mein rehtaa hoon

main tumhaari baahon me na sahi tumhaari chaahon me rehta hoon,
chaahe tumse meelon duur hoon par tumhaari yaadon me rehta hoon,

mehek tumhaare saanson ki aaj bhi mere saanson ko mehkaati hai,
kya hua agar tumhaare saamne nahi, tumhaari dhadkano me rehta hoon,

tumhaare har ek geet me main hi rehta hoon ye hai pata mujhe,
yaaron ki mehfil me main bas tumhaaare hi geet sunaata hoon,

jaanta hoon kya betaabi hai tumhaare dil ki, kyun paagal ho tum,
main kisi aur ki nahi bas tumhaare yaadon ki qaid me rehta hoon,

lab khaamosh hai tumhaare aaj, uski wajah bhi jaanta hoon main,
samajhta hoon sab par nasamajh ban main ab bas chup rehta hoon,

har shaam yaadon ka aake chhedna kisi toofaan se kam nahi hota,
main ek bikhra hua tinka, toofaan se har pal ladta rehta hoon,

kasak to aaj bhi uth_ti hai is hriday me tumhaare pyaar ki,
par main, haar ke apni zindagi, is zindagi ko jeeta rehta hoon....

Saturday, December 7, 2013


saanson mein saans aajaati hai ek tere naam se
ho tu kareeb zindagi guzar jaati hai aaraam se

uufff teri aankhen, uufff tere lab, kyaa kahun
nashaa teraa badh ke hai jahaan ke har jaam se

jin zulfon mein kabhi hum kho jaayaa karte the
jinki godi mein sar rakh ke so jaayaa karte the

woh aankhein samundar se bhi gehri thi us hasi ki
jinhe dekh hum aksar paagal ho jaayaa karte the

Friday, December 6, 2013

Yaadein

tumse judaa ho ke bhi main tumhaari koi baat nahi bhoolaa
guzar gaye kai saal magar woh pehli mulaquaat nahi bhoolaa
yun to keh detaa hoon yaaron se ki mujhe mohabbat nahi
magar haqeeqat yeh hai ab tak tumhaara saath nahi bhoolaa

har roz ek baar hi sahi tumhe yaad main kar letaa hoon
tumhaari baaton ko soch soch akele hi muskuraa letaa hoon
koi dekh letaa hai agar mujhe yun haste huwe kabhi to
koi puraani baat hai keh ke main hasi mein udaa detaa hoon

chhip chhip ke tumhaari tasveer kaa deedaar kar letaa hoon
fir aankh band kar kuch der yaadon mein doob jaataa hoon
kuch alag hi ehsaas hotaa hai aaj bhi puraani yaadon mein
doob unn dino ki yaad mein main aaj ko hi bhool jaataa hoon...