Monday, December 6, 2010

Khwaab

bahut khoobsurat se ban jaate hain ye khwaab,
tanhaayi me saath nibhaaate hain ye khwaab,
lagta hi nahi ki hum tumse kabhi miley hi nahi,
bin mile hi mila dete hain tumse hume ye khwaab,

har shaam intezaar rehta hai humein bhi raat ka,
yakeen hain ki koi sajaane aayega hamaare khwaab,
tanha bistar pe pade karte hain intezaar neend ka,
haqeeqat se pyaare lagte hain aajkal ye khwaab,

kuch to khaas hai in nasheeli raaton me o jaana,
ki tumhaare saath ka ehsaas dilaate hain ye khwaab,
hum chaahte hain ki so jaaayen umra bhar k liye,
agar tum yunhi sajaate raho har pal hamaare khwaab,

haan ye khwaab nahi tumhaara saath hai meri jana,
haan ye khwaab nahi tumhaara pyaar hai meri jana,
khwaab to ek bahaana hai tumhaare saath ka,
tumhara pyaar hi to meri zindagi hai meri jaana....

No comments:

Post a Comment